Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Bismillah Alamdar

Kazmi Brothers

2025Urdu
2025UrduImam HussainMuharram
Bismillah Alamdar is a 2025 noha recited by Kazmi Brothers 110. Imam Hussain honours Hazrat Abbas as the standard-bearer of his army on Ashura, reflecting his courage, faith and the sorrow of parting. Read the Roman Urdu, Urdu lyrics and English translation on AzadariVerse.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Noha
Year
2025
Personalities
Imam Hussain
Occasion
Muharram, Ashura
Original
Urdu
Album
Moharram Album 2025-1447

Lyrics

Bismillah Alamdar Lyrics

WA
Now Playing
AZADARIVERSE · LISTEN & READ

Bismillah Alamdar

Bismillah Alamdar

Kazmi Brothers

YouTube loads when you open Listen.

Bismillah Alamdar

Kazmi Brothers

LYRICS

No verified timing yet · read alongside the video

Abbas
Ya Abbas ×2
Subh-e-Ashur Pukare Yeh Shah-e-Karb-o-Bala
Ho Kahan Bazu-e-Shabbir, Sakina Ke Chacha
Aaya Shabbir Ki Awaz Pe Woh Rab-e-Wafa
Shah Pukare Ae Mere Bhai, Ae Baba Ki Dua
Fatima Zahra Ki Umeed Bano
Afsar-e-Lashkar-e-Tauheed Bano
Abbas ×3
Bismillah Alamdar, Afsar-e-Fauj-e-Khuda, Bismillah Alamdar
Bismillah Alamdar, Bismillah Alamdar
Aks-e-Shah-e-La Fata, Bismillah Alamdar

Afsar Kabhi Aisa Kisi Lashkar Ne Na Paya
Rutba Kabhi Aisa Kisi Safdar Ne Na Paya
Abbas, Ya Abbas
Jaansar Un Ke Wafadar Kahan Milta Hai
Aap Ke Jaisa Alamdar Kahan Milta Hai
Mere Baba Ke Zabardast Pisar
Ae Mere Bhai, Mere Zor-e-Qamar
Abbas ×3
Bismillah Alamdar

Shah Bole Yeh Farman-e-Khudawand-e-Jali Hai
Farzand-e-Nabi Main Hoon To Farzand-e-Ali Hai
Tu Agar Noor-e-Jali Hai To Jali Ban Ke Dikha
Baith Ash'al Pe Zamane Ko Ali Ban Ke Dikha
Maut Ko Aa Gayi Yeh Sun Ke Qaza
Choom Kar Ghazi Ko Sarwar Ne Kaha
Abbas ×3
Bismillah Alamdar

Sultanon Ke Sultan Ne, Waliyon Ke Wali Ne
Maanga Hai Tumhein Apni Duaon Mein Ali Ne
Abbas, Ya Abbas ×2
Parcham-e-Azmat-e-Tauheed Ke Haqdar Ho Tum
Main Hoon Meyaar-e-Khuda Aur Mera Meyaar Ho Tum
Badr Mein Arsh Se Utra Jo Alam
Saunpte Hain Woh Tumhein Aaj Se Hum
Abbas ×3
Bismillah Alamdar

Dam Kis Mein Hai Nazron Se Teri Nazrein Milaye
Haibat Teri Toofanon Ko Khatir Mein Na Laye
Abbas, Ya Abbas
Tu Agar Chahe To Baazi Ko Palat Sakta Hai
Jumbish-e-Abru Se Kaunain Ulat Sakta Hai
Aao Baba Ki Zirah Bhi Pehno
Dosh Par Un Ki Aba Bhi Pehno
Abbas ×3
Bismillah Alamdar

Seh Paunga Kaise Main Bhala Teri Judai
Kis Dil Se Tujhe Kar Doon Main Rukhsat Mere Bhai
Abbas, Ya Abbas
Jao Ab Bint-e-Payambar Se Basharat Le Lo
Jis Ne Pala Hai Tujhe Us Se Ijazat Le Lo
Maa Ne Haathon Se Jo Kurta Tha Siya, Kehna Shabbir Ne Woh Maang Liya
Abbas ×3
Bismillah

Sun Kar Yeh Bayaan Zainab-e-Muztar Ne Sada Di
Pardes Mein Yeh Kaisi Khabar Haaye Suna Di
Abbas, Ya Abbas
Kyun Kar Dil-e-Umeed-e-Jahan Tod Rahe Ho
Sunti Hoon Ke Ab Tum Bhi Hamein Chhod Rahe Ho
Aur Phir Bibi Ne Ro Kar Akhtar
Ek Taweez Yun Bandha Keh Kar
Abbas ×3
Bismillah

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Year
2025
Personalities
Imam Hussain
Occasion
Muharram, Ashura
Original language
Urdu
Album
Moharram Album 2025-1447

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.