Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Manqabat

Maa Fatima

Shadman Raza

2021Urdu
2021UrduSayyida Fatima Zahra
Maa Fatima is a 2021 Urdu Manqabat recited by Shadman Raza in praise of Sayyida Fatima Zahra. Its verses express gratitude, devotion and the blessings associated with the Prophet’s household. Read the Roman Urdu lyrics, Urdu-script text and English translation.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide

Lyrics

Maa Fatima Lyrics

WA
Now Playing
AZADARIVERSE · LISTEN & READ

Maa Fatima

Maa Fatima

Shadman Raza

YouTube loads when you open Listen.

Maa Fatima

Shadman Raza

LYRICS

No verified timing yet · read alongside the video

Maa Fatima
Ya Fatima Yeh Rizq Hai Jitna Mere Ghar Mein ×2
Sab Aapke Bachchon Ka Hai Sadqa Mere Ghar Mein
Ya Tahira, Ya Marziya, Ya Fatima ×2

Roshan Hai Diya Jashn-e-Wila Ka Mere Ghar Mein ×2
Hai Roshni ×2, Suraj Se Ziyaada Mere Ghar Mein
Sab Aapke Bachchon Ka Hai Sadqa Mere Ghar Mein
Ya Tahira, Ya Marziya, Ya Fatima ×2

Utra Hai Koi Noori Qabila Mere Ghar Mein ×2
Har Samt Hai ×2, Jannat Ka Nazaara Mere Ghar Mein
Sab Aapke Bachchon Ka Hai Sadqa Mere Ghar Mein
Ya Tahira, Ya Marziya, Ya Fatima ×2

Hai Nasb Alam Hazrat-e-Abbas Ka Chhat Par ×2
Daakhil Nahin ×2, Ho Sakta Andhera Mere Ghar Mein
Sab Aapke Bachchon Ka Hai Sadqa Mere Ghar Mein
Ya Tahira, Ya Marziya, Ya Fatima ×2

Hai Aaj Mere Ghar Pe Fida Arsh Ka Har Ghar ×2
Aaya Hai ×2, Muhammad Ka Gharana Mere Ghar Mein
Sab Aapke Bachchon Ka Hai Sadqa Mere Ghar Mein
Ya Tahira, Ya Marziya, Ya Fatima ×2

Mushkil Ko Kaha Naad-e-Ali Padh Ke Yeh Maine ×2
Dobara ×2, Palat Kar Nahin Aana Mere Ghar Mein
Sab Aapke Bachchon Ka Hai Sadqa Mere Ghar Mein
Ya Tahira, Ya Marziya, Ya Fatima ×2

Hai Ne'matein Jitni Bhi Woh Hain Bakhshish-e-Zahra ×2
Wallah Nahin ×2, Kuchh Bhi To Mera Mere Ghar Mein
Sab Aapke Bachchon Ka Hai Sadqa Mere Ghar Mein
Ya Tahira, Ya Marziya, Ya Fatima ×2

Ae Bint-e-Payambar Tere Har Ek Adu Par ×2
Hota Hai ×2, Shab-o-Roz Tabarra Mere Ghar Mein
Sab Aapke Bachchon Ka Hai Sadqa Mere Ghar Mein
Ya Tahira, Ya Marziya, Ya Fatima ×2

Sab Shadmaan Hain Aaj, Sohail, Ahl-e-Mawaddat ×2
Maujood Hai ×2, Khud Fatima Zahra Mere Ghar Mein
Sab Aapke Bachchon Ka Hai Sadqa Mere Ghar Mein
Ya Tahira, Ya Marziya, Ya Fatima ×2

Details

Lyrics Details

Category
Manqabat
Year
2021
Personalities
Sayyida Fatima Zahra, Hazrat Abbas, Imam Ali, Prophet Muhammad
Themes
Devotion to Sayyida Fatima Zahra, Gratitude for blessings, Love of Ahlul Bayt
Original language
Urdu

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.