Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Chehlum Karo Karbala Mein

Irfan Haider

2017Urdu
2017UrduImam HussainArbaeen
Chehlum Karo Karbala Mein is an Urdu Arbaeen noha recited by Irfan Haider and written by Mazhar Abidi. It calls devotees to commemorate the martyrs of Karbala, follow the example of Bibi Zainab and Imam Zainul Abidin, and undertake the devotional walk from Najaf to Karbala. Read its Roman Urdu, Urdu and English lyrics on AzadariVerse.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Noha
Year
2017
Occasion
Arbaeen, Safar
Original
Urdu

Lyrics

Chehlum Karo Karbala Mein Lyrics

WA
Now Playing
AZADARIVERSE · LISTEN & READ

Chehlum Karo Karbala Mein

Chehlum Karo Karbala Mein

Irfan Haider

YouTube loads when you open Listen.

Chehlum Karo Karbala Mein

Irfan Haider

LYRICS

No verified timing yet · read alongside the video

Hussain (×3)

Ghareeb-e-Zahra Ke Naukar Yeh Aashiqan-e-Aza
Rah-e-Wafa Pe Chale Hain Musafiran-e-Aza
Dua-e-Fatima Zahra Ke Sayeban Ki Tarah
Chale Hain Janib-e-Manzil Yeh Karwan-e-Aza

Salam Zaaeran-e-Hussain
Salam Aashiqan-e-Hussain (×2)
Safar-e-Ishq-e-Hussain (×2)

Hussainiyon...
Hussainiyon Tumhein Karbobala Bulati Hai
Safar-e-Ishq Par Chalo Saath Mere Hussainiyon
Sunnat-e-Bibi Zainab Ko Poora Karo
Hal-Min Ki Sada Par Labbaik Kaho

Labbaik Ya Hussain (×4)
Rasm-e-Sajjad Poori Karo (×2)
Karbala Ke Shaheedon Ka
Chehlum Karo Karbala Mein (×2)
Ya Hussain
Chehlum Karo Karbala Mein (×2)

Zaaeran-e-Hussain
Karbala Ka Yeh Gham (×2)
Dil Mein Zinda Rahe Ek Pal Na Ho Kam
Saal Bhar Majlisein Hon Rahe Aankh Nam
Baad-e-Ashoor Haathon Mein Le Kar Alam (×2)
Qafila Ek Tarteeb Do
Karbala Ke Shaheedon Ka
Chehlum Karo Karbala Mein (×4)

Jis Ki Chadar Ko Tum
Roye Ho Umr Bhar (×2)
Jis Ka Ek Roz Mein Lut Gaya Saara Ghar
Apne Marqad Mein Kehti Hai Woh Nohagar
Main Bhi Jaati Hoon Tum Bhi Karo Yeh Safar (×2)
Hukm-e-Zainab Ki Takmeel Ho
Karbala Ke Shaheedon Ka
Chehlum Karo Karbala Mein (×4)

Sabr Ka Woh Khuda
Yaani Zain-ul-Iba (×2)
Pehen Kar Beriyan Khoon Rota Raha
Karbala Se Soo-e-Shaam Paidal Gaya
Chhoot Ke Zindan Se Phir Soo-e-Karbala (×2)
Jis Tarah Woh Chala Tum Chalo
Karbala Ke Shaheedon Ka
Chehlum Karo Karbala Mein (×4)

Baap Ki Yaad Mein
Dil Jalati Hai Woh (×2)
Qaidkhane Mein Gham Yun Manati Hai Woh
Apne Baba Ko Ab Bhi Bulati Hai Woh
Karne Chehlum Soo-e-Dasht Jaati Hai Woh (×2)
Gar Sakina Ke Ghamkhwar Ho
Karbala Ke Shaheedon Ka
Chehlum Karo Karbala Mein (×4)

Hai Safar Ishq Ka
Ek Musalsal Safar (×2)
Qarya Qarya Safar Sehra Jangal Safar
Sardi Garmi Ho Din Raat Paidal Safar
Karbala Tak Najaf Se Woh Paidal Safar (×2)
Mere Hamrah Tum Bhi Karo
Karbala Ke Shaheedon Ka
Chehlum Karo Karbala Mein (×4)

Door Hogi Thakan
Us Ghari Ahl-e-Gham (×2)
Karbala Mein Rakhoge Jo Pehla Qadam
Hogi Pesh-e-Nazar Qabr-e-Shah-e-Umam
Ek Maa Ki Fughan Sun Ke Royenge Hum (×2)
Mere Zakhmon Ka Marham Bano
Karbala Ke Shaheedon Ka
Chehlum Karo Karbala Mein (×4)

Aashiqan-e-Hussain
Ishq Imaan Hai (×2)
Ishq Ka Yeh Safar Dil Hai Aur Jaan Hai
Haan Yeh Irfan-o-Mazhar Ka Ailaan Hai
Bint-e-Zahra Ka Zahra Ka Armaan Hai (×2)
Un Ka Armaan Poora Karo
Karbala Ke Shaheedon Ka
Chehlum Karo Karbala Mein (×4)

Allahumma-rzuqna Fid-Dunya Ziyarat-al-Hussain

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Year
2017
Personalities
Imam Hussain, Imam Zainul Abidin
Occasion
Arbaeen, Safar
Original language
Urdu

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.