Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Karbala Mojizah Hai

Irfan Haider

2016Urdu
2016UrduImam AliMuharram
Karbala Mojizah Hai is the title noha from Irfan Haider's 2016 album Karbala Mojizah Hai, Vol. 25. The poetry reflects on the spiritual importance of Karbala, the healing soil of its sacred land, pilgrimage to Imam Hussain's shrine, and the enduring legacy of Ashura. Its final section recalls Bibi Zainab's grief on Shaam-e-Ghareeban.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Noha
Year
2016
Personalities
Imam Ali, Imam Hussain
Occasion
Muharram, Ashura, Arbaeen
Original
Urdu
Album
Karbala Mojizah Hai, Vol. 25

Lyrics

Karbala Mojizah Hai Lyrics

WA
Now Playing
AZADARIVERSE · LISTEN & READ

Karbala Mojizah Hai

Karbala Mojizah Hai

Irfan Haider

YouTube loads when you open Listen.

Karbala Mojizah Hai

Irfan Haider

LYRICS

No verified timing yet · read alongside the video

Karbala, Karbala, Karbala (×2)
Karbala...

Zinda Thi, Zinda Hai, Zinda Rahegi
Yeh To Dil Walon Ki Baat Hai Is Ko Samjhenge Dil Wale (×2)
Jis Ke Seene Mein Dil Hi Nahi Hai Woh Kya Samjhega
Karbala Kya Hai (×2)

Jageer-e-Akbar Karbala
Hurr Ka Muqaddar Karbala
Hai Deen Ka Mehwar Karbala
Karbala...

Karwan-e-Aza Saari Duniya Ko Batla Raha Hai
Karbala Mojizah Hai (×4)

Karbala Ki Zameen Par Karoron Bashar
Shauq-e-Deedar Mein Aate Hain Saal Bhar
Jis Taraf Ho Nazar
Har Taraf Sar Hi Sar
Aisa Majma Na Yasrab Na Kaabe Mein Dekha Gaya Hai
Karbala Mojizah Hai (×4)

Saari Duniya Ki Khatir Dawa Ban Gayi
Be-Saharon Ki Khatir Asa Ban Gayi
Khoon-e-Shah-e-Huda
Is Jagah Jab Gira
Jis Ko Tum Khaak Kehte Ho Duniya Ki Khatir Shifa Hai
Karbala Mojizah Hai (×4)

Jab Watan Se Kahin Bhi Koi Jayega
Saath Saughat Pardes Ki Layega
Zaaer-e-Karbala
Noha Karta Hua
Jo Raha Be-Kafan Us Ke Dar Se Kafan Le Chala Hai
Karbala Mojizah Hai (×4)

Haq Likho Haq Parho To Gawah Ast Hussain
Karbala Deen Hai Deen-Panah Ast Hussain
Keh Raha Hai Qalam
Mujh Ko Rab Ki Qasam
Maine Sirr-e-Shahadat Ki Tafseer Mein Yeh Kaha Hai
Karbala Mojizah Hai (×4)

Do Jahan Ke Liye Ek Maseeha Bhi Hai
Karbala Karbala Ek Wazifa Bhi Hai
Har Maraz Ki Dawa
Hai Shifa Hi Shifa
Mil Gayi Jis Ko Beenayi Woh To Yehi Jaanta Hai
Karbala Mojizah Hai (×4)

Zarf Ko Aazmati Hai Karbobala
Ishq Karna Sikhati Hai Karbobala
Parh Namaz-e-Wafa
Raaz Khul Jayega
Apne Mabood Se Lau Lagane Ka Ek Rasta Hai
Karbala Mojizah Hai (×4)

Fikr-e-Batil Se Hai Munharif Karbala
Sab Zameenon Se Hai Mukhtalif Karbala
Tum Ne Dekhi Kahin
Khoon Ugalti Zameen
Yeh Gawahi To Sadiyon Se Ashoor Bhi De Raha Hai
Karbala Mojizah Hai (×4)

Karbala Mein Jo Shaam-e-Ghareeban Hui
Shaam-e-Ghareeban (×3)
Dekha Zainab Ne Aate Hain Sher-e-Khuda
Baap Ko Dekha Beti Ne Ki Iltija
Aa Gayi Shaam-e-Ghareeban Baba (×2)
Haaye Irfan-o-Mazhar Yeh Noha Tha Zainab Ka

Baba... Baba... Baba...

Ek Din Mein Mere Ghar Ko Sitamgaron Ne Loota
Pamaal Kiya Laashon Ko Khaimon Ko Jalaya
Abbas Ke Baazu Kate — Main Ujar Gayi
Bachche Mere Maare Gaye — Main Ujar Gayi
Duniya Se Jab Asghar Gaye — Main Ujar Gayi
Haan Main Ujar Gayi Baba

Hussain Ya Hussain, Ya Hussain, Ya Hussain Ya Hussain (×4)

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Year
2016
Personalities
Imam Ali, Imam Hussain
Occasion
Muharram, Ashura, Arbaeen
Original language
Urdu
Album
Karbala Mojizah Hai, Vol. 25

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.