Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Farsh E Aza

Irfan Haider

2014Urdu
2014UrduImam HussainMuharram
Farsh E Aza is a devotional noha recited by Irfan Haider, inviting the followers of Imam Hussain (AS) to preserve the mourning of Karbala wherever they may be. Through the recurring call Chalo Chalo Ke Jahan Farsh-e-Aza Le Jaye, the kalaam reflects on the continuing traditions of majlis, matam, the standard of Hazrat Abbas (AS), and the sacrifices of the Ahlulbayt. Read the Roman Urdu lyrics, Urdu script and English translation.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Noha
Year
2014
Occasion
Muharram, Ashura, Arbaeen
Original
Urdu
Album
Aie Gul E Narjis Biya Biy, Vol. 22

Lyrics

Farsh E Aza Lyrics

WA
Now Playing
AZADARIVERSE · LISTEN & READ

Farsh E Aza

Farsh E Aza

Irfan Haider

YouTube loads when you open Listen.

Farsh E Aza

Irfan Haider

LYRICS

No verified timing yet · read alongside the video

Hussain Hussain Hussain Ya Hussain
Hayya Ala Khairil Amal
Hussain Hussain Hussain Ya Hussain
Ya Hussain, Ya Hussain

Farzand-e-Zahra Aba Abdillah
Sada De Rahe Hain Maqtal Se

Tumhein Rasool Ki Beti Ka Salam
Har Jagah Majlisein Bapa Karna
Karbala Walon Se Wafa Karna
Zindagi Waqf-e-Karbala Karna
Sunnat-e-Zainab-o-Sajjad Nibhane Ke Liye

Chalo Chalo
Chalo Chalo Ke Jahan Farsh-e-Aza Le Jaye
Chalo Chalo (×2)

Hussaini Fikr Ko Zinda Rakho, Badhao Qadam
Nazar Mein Rakho Alamdar-e-Karbala Ka Haram (×2)
Kaisi Qismat Kahan Ki Taqdeerein
Chhod Kar Dehr Ki Yeh Jageerein
Tod Kar Waqt Ki Yeh Zanjeerein
Apne Bachchon Ko Alamdar Banane Ke Liye
Chalo Chalo
Chalo Chalo Ke Jahan Farsh-e-Aza Le Jaye
Chalo Chalo (×2)

Zameen Se Arsh-e-Mualla Ka Fasla Hai Bohot
Magar Hussaini Qabeele Ka Hausla Hai Bohot (×2)
Bint-e-Zehra Pe Bharosa To Karo
Apni Takhleeq Pe Socha To Karo
Saath Woh Dengi Iraada To Karo
Chand Par Parcham-e-Abbas Lagane Ke Liye
Chalo Chalo
Chalo Chalo Ke Jahan Farsh-e-Aza Le Jaye
Chalo Chalo (×2)

Jahan Hussain Nahi Ho Woh Koi Ghar To Nahi
Qasam Hussain Ki Yeh Kaam Bhi Mushkil To Nahi (×2)
Marefat Kya Hai Batane Ke Liye
Roz Meraj Pe Jaane Ke Liye
Uski Tauqeer Badhane Ke Liye
Hauz-e-Kausar Pe In Ashkon Ko Milane Ke Liye
Chalo Chalo
Chalo Chalo Ke Jahan Farsh-e-Aza Le Jaye
Chalo Chalo (×2)

Arsh Ho Khuld Ho Kausain Ya Karbal Ki Zameen
Tum Azadar Ho Tum Par Koi Pabandi Nahi (×2)
Haisiyat Apni Khudara Samjho
Yeh Bhi Zehra Ki Hai Ata Samjho
Kya Hai Yeh Zikr-e-Karbala Samjho
Saari Duniya Ko Azakhana Banane Ke Liye
Chalo Chalo
Chalo Chalo Ke Jahan Farsh-e-Aza Le Jaye
Chalo Chalo (×2)

Shah-e-Dilgeer Ki Hamsheer Ka Matam Na Ruke
Saans Ruk Jaye Yeh Shabbir Ka Matam Na Ruke (×2)
Duniya Walon Ne Isko Kya Jana
Kya Hai Shabbir Ka Yeh Afsana
Qaidkhana Ho Ya Azakhana
Maqsad-e-Hazrat-e-Shabbir Bachane Ke Liye
Chalo Chalo
Chalo Chalo Ke Jahan Farsh-e-Aza Le Jaye
Chalo Chalo (×2)

Ek Halqa Ho Azadaro Baraye Matam
Hai Isi Baat Mein Poshida Baqa-e-Matam (×2)
Sabke Seenon Mein Ho Tazeem-e-Aza
Hone Dena Nahi Taqseem-e-Aza
Haan Ise Kehte Hain Tanzeem-e-Aza
Halqa-e-Matam-e-Shabbir Badhane Ke Liye
Chalo Chalo
Chalo Chalo Ke Jahan Farsh-e-Aza Le Jaye
Chalo Chalo (×2)

Kya Kabhi Bhool Sake Shaam-e-Ghareeban Ka Dhuaan
Dast-e-Shabbir Pe Asghar To Kabhi Laashe Jawan (×2)
Goonji Maqtal Mein Yeh Zainab Ki Sada
Ro Ke Yeh Khaak-Nasheenon Se Kaha
Raah-e-Koofa Ho Ke Bazaar-e-Jafa
Mere Mazloom Ka Paigham Sunane Ke Liye
Chalo Chalo
Chalo Chalo Ke Jahan Farsh-e-Aza Le Jaye
Chalo Chalo (×2)

Jab Mila Hukm-e-Rihai To Yeh Zainab Ne Kaha
Qaidiyo Aao Karein Matam-e-Shabbir Bapa
Aao Fizza Padho Hadis-e-Kisa
Marsiya Tum Padho Kulsoom Zara
Zakiri Tum Karo Ae Zainul Iba
Aisa Matam Ho Mere Bhai Ka
Goonj Uthi Mazhar-o-Irfan Sada
Khuld Se Aa Gayi Hai Maa Zehra
Noha Sunne Ko Mere Baqir Ka

Ya Abbasa Hussaina (×2)
Ya Mazlooma Hussaina
Ya Asghara Hussaina
Ya Akbara Hussaina
Ya Qasima Hussaina
Ya Zainaba Hussaina
Ya Sakina Hussaina
Ya Aliya Hussaina
Ya Fatima Hussaina

Hussain Hussain

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Year
2014
Personalities
Imam Hussain, Imam Zainul Abidin
Occasion
Muharram, Ashura, Arbaeen
Original language
Urdu
Album
Aie Gul E Narjis Biya Biy, Vol. 22

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.