Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Rahe Salamat Ishq E Hussaini

Irfan Haider

2012Urdu
2012UrduImam HussainMuharram
Rahe Salamat Ishq E Hussaini is a powerful devotional noha recited by Irfan Haider, with poetry attributed to Mazhar Abidi. It celebrates the enduring love of Imam Hussain (AS), the preservation of Azadari, the courage of the martyrs of Karbala, and the devotion of those who maintain mourning assemblies, standards and processions. Its concluding passage remembers the companions and members of the Ahlulbayt who sacrificed their lives at Karbala.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Noha
Year
2012
Personalities
Imam Hussain
Occasion
Muharram, Ashura, Arbaeen
Original
Urdu
Album
Rahe Salamat Ishq E Hussain, Vol. 20

Lyrics

Rahe Salamat Ishq E Hussaini Lyrics

WA
Now Playing
AZADARIVERSE · LISTEN & READ

Rahe Salamat Ishq E Hussaini

Rahe Salamat Ishq E Hussaini

Irfan Haider

YouTube loads when you open Listen.

Rahe Salamat Ishq E Hussaini

Irfan Haider

LYRICS

No verified timing yet · read alongside the video

Ya Hussain
Hussain Maula Hussain

Seena Pe Bol Raha Hai
Hussain Ibn-e-Ali
Lahu Mein Apne Naha Kar
Hazaar Sadme Utha Kar
Yazidiyat Ko Mita Kar
Khuda Ke Deen Ka Parcham Buland Maine Kiya

Kisi Yazid Mein Taqat Kahan Jhukaye Mujhe
Safar Ba Nok-e-Sina Par Pasand Maine Kiya
Sune Yeh Saara Zamana Hussain Ki Aawaz

Ashhadu An La Ilaha Illallah
Ashhadu Anna Muhammadan Rasulullah
Ashhadu Anna Aliyyun Waliullah

Qubool Is Liye Neze Ki Nok Ki Maine
Mera Kata Hua Sar Dushmanon Se Past Na Ho
Main Sar Uthaye Hue Dushmanon Se Kehta Hoon
Hussain Hota Wahi Hai Jise Shikast Na Ho

Mere Azadaro, Ae Mere Ghamkhwaro
Tumhare Azm Ko Mera Salam

Maula Hussain Sarkar Farmate Hain
Yeh Mera Ishq Hai Jo Lahu Ban Ke
Tumhari Ragon Mein Daud Raha Hai

Rahe Salamat Ta Qayamat
Rahe Salamat Ishq-e-Hussaini
Rang-e-Wafa Dikhlata Hai
Warna Kaun Kisi Ki Khatir
Apna Khoon Bahata Hai

Rahe Salamat Ta Qayamat
Rahe Salamat Ishq-e-Hussaini
Rang-e-Wafa Dikhlata Hai

Yeh Kaale Kapde Jo Zeb-e-Tan Hain
Ishq-e-Hussaini Ki Hai Daleel
Jhule Amari Taziyadari
Seena-Zani Pani Ki Sabeel
Ahl-e-Aza Ko Yeh Tehzeeb
Ishq-e-Hussain Sikhata Hai

Yeh Chhote Bachche Aur Shab-Bedari
Yun To Bada Mushkil Hai Safar
Socho Agar Tum Ahl-e-Zamana
Ishq-e-Hussaini Ka Hai Asar
Ishq-e-Hussain Hi In Bachchon Ko
Farsh-e-Aza Tak Lata Hai

Dekho Zara Tum Kaabe Mein Ja Kar
Sirf Musalman Honge Wahan
Farsh-e-Aza Woh Wahid Jagah Hai
Apne Paraye Sab Hain Jahan
Aata Wahi Hai Farsh-e-Aza Par
Jisko Hussain Bulata Hai

Woh Jo Bina-e-Farsh-e-Aza Hai
Hum Hain Usi Bibi Ki Duaein
Ishq-e-Hussaini Tha Uske Dil Mein
Aur Humko Wirse Mein Mila
Jisko Mila Wirse Mein Yeh Matam
Ahl-e-Aza Kehlata Hai

Ishq-e-Hussaini Dil Mein Basa Kar
Zinda Rakhi Ghazi Ne Wafa
Jisne Wafa Ko Zinda Rakha Hai
Bali Sakina Ka Hai Chacha
Usko Dua Deti Hai Sakina
Jo Bhi Alam Ko Uthata Hai

Ishq-e-Hussaini Se Hain Namazein
Ishq-e-Hussaini Farsh-e-Aza
Ishq-e-Hussaini Sholon Pe Chalna
Seena-Zani Zanjeer-o-Qama
Ishq-e-Hussaini Ki Taqat Se
Matami Khoon Mein Nahata Hai

Suno Mazhar-o-Irfan
Ae Azadaran-e-Man
Yahi Woh Shuhada-e-Karbala Hain
Jinhon Ne Halmin Ki Sada Par Labbaik Kaha
Aur Mere Ishq Mein
Apni Jaanon Ka Nazrana Pesh Kiya

Muslim Bin Awsaja, Anas Bin Haris
Burair-e-Hamdani, Hanzala Bin Asad
Abdur Rahman Ghaffari, Saif Bin Haris
Hurr, Habib, John, Abu Samama
Umro Bin Ansari, Shojab Bin Abdullah
Abis Bin Shabib, Abdullah Ghaffari
Wahb-e-Kalbi, Abu Shahasa
Shabib Bin Abdullah, Ammar Ibn-e-Hasan
Junada Bin Kaab, Junada Bin Haris
Saeed Ibn-e-Haris, Zuhair Ibn-e-Qain
Saif Bin Malik, Noman Ibn-e-Umar
Nafi Ibn-e-Hilal, Salman Ibn-e-Mazarib
Ali Bin Hurr, Musab Riyahi
Sawar Ibn-e-Umair, Umar Bin Jandab
Zarghama Bin Malik, Aslam Ghulam-e-Turki
Imran Bin Kaab, Qareeb Bin Abdullah
Muslim Bin Kaseer, Naeem Bin Aglan
Abdullah Bin Sabeet, Umar Bin Khalid
Saeed Ibn-e-Abdullah, Jabir Ibn-e-Hajjaz
Bakar Ibn-e-Hai, Hajjaj Bin Masrooq
Abdullah Bin Muslim, Muhammad Bin Muslim
Jafar Ibn-e-Aqeel, Abdur Rahman Ibn-e-Aqeel
Habsha Bin Qais, Zahid Bin Umro
Sawair Ibn-e-Umro, Nasar Bin Abi Naizar
Abdullah Bin Umair, Umro Bin Ansari
Habab Bin Aamir, Habab Bin Haris
Haris Ibn-e-Binhan, Jundab Ibn-e-Hajeer
Ammar Ibn-e-Abi Salama, Munjaeb Bin Sahem
Muhammad Bin Saeed, Muhammad Bin Abdullah
Aun Bin Abdullah, Qasim Ibn-e-Hasan
Muhammad Bin Hasan, Muhammad Bin Ali
Abdullah Bin Ali, Imran Ibn-e-Ali
Jafar Ibn-e-Ali, Abdullah Bin Hasan
Abbas Ibn-e-Ali, Ali Asghar
Ali Akbar, Maula Hussain

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Year
2012
Personalities
Imam Hussain
Occasion
Muharram, Ashura, Arbaeen
Original language
Urdu
Album
Rahe Salamat Ishq E Hussain, Vol. 20

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.