Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Manqabat

Ghar Fatima Zehra Ka Ajab Shaan Ka Ghar Hai

Sachey Bhai

Urdu
UrduSayyida Fatima ZahraAyyam-e-Fatimiyah
Ghar Fatima Zehra Ka Ajab Shaan Ka Ghar Hai celebrates the honour and spiritual station of Sayyida Fatima Zahra’s household. Its verses praise the family of the Prophet Muhammad as a home of revelation, faith, Imamate and purity, reflecting on the love and reverence due to the Ahlulbayt.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide

Lyrics

Ghar Fatima Zehra Ka Ajab Shaan Ka Ghar Hai Lyrics

WA

Ghar Fatima Zehra Ka Ajab Shan Ka Ghar Hai
Ye Wahi Ki Manzil Hai Ye Quran Ka Ghar Hai

Islam Ke Mahol May Eman Ka Ghar Hai
Momin Ki Munafiq Ki Ye Pehchan Ka Ghar Hai

Kuch Log Maray Jaatay Hain Iss Ranj O Mehan May
Iss Ghar Ka Jo Darwaza Hai Masjid Ke Sehan May

Allah Ne Iss Ghar Ko Nabuwat Se Nawaza
Dunya May Isse Deen O Shariyat Se Nawaza

Ismat Se Imamat Se Wilayat Se Nawaza
Har Fard Ko Quran Ki Aayat Se Nawaza

Saanchay May Mashiyat Ke Ye Afraad Dhalay Hai
Sab Chadaray Tatheer Ke Saaye May Palay Hai

Ye Azm Ke Faulaad Issi Ghar May Milenge
Ye Noor Ke Ajsaad Issi Ghar May Milenge

Iss Satha Ke Afraad Issi Ghar May Milenge
Jibreel Ke Ustaad Issi Ghar May Milenge

Makhlooq Ki Bas Aakhri Sarhad Nazar Aaya
Jis Fard Ko Dekha Wo Mohammad Nazar Aaya

As’haab Mukarram Hain Magar Apni Jagah Par
Ghayr Apni Jagah Lakhtay Jigar Apni Jagah Par

Khaar Apni Jagah Ghonchaye Tar Apni Jagah Par
Sang Apni Jagah Laal O Gohar Apni Jagah Par

Pehlu May Jo Baitha Ho Usay Dil Nahi Kehte
Rehro Kabhi Rehbare Manzil Nahi Kehte

Allah Re Izzo Sharafay Bintay Risalat
Qandeelay Haram Shamay Shabistan E Imamat

Rehmat Jo Mohamed Hain Toh Ye Paraye Rehmat
Wo Kullay Nabuwat Hain Toh Ye Juzway Nabuwat

Aasaan Na Kaho Maarifat E Khatmay Rasul Ko
Jo Juz Ko Na Samjha Ho Woh Kya Samjhega Kul Ko

Details

Lyrics Details

Category
Manqabat
Personalities
Sayyida Fatima Zahra, Prophet Muhammad, Imam Ali, Imam Hasan, Imam Hussain
Occasion
Ayyam-e-Fatimiyah
Themes
Virtues of Sayyida Fatima Zahra, Purity and spiritual rank of Ahlulbayt, The household of the Prophet
Original language
Urdu

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.