Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Manqabat

Ali Hai Ali

Anjuman-e-Zulfiqar-e-Haidery

Urdu
UrduImam AliEid-e-Ghadeer
Ali Hai Ali is an Urdu manqabat reflecting on praise of Imam Ali and his courage. Read the Roman Urdu lyrics, Urdu script and English translation.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Manqabat
Occasion
Eid-e-Ghadeer, Muharram
Original
Urdu

Lyrics

Ali Hai Ali Lyrics

WA

Ali Hai Ali
Tajdaar E Imamat Wasi E Nabi Ali Hai Ali
Baaday Khatmay Rasul Laa'iqay Sarwari Ali Hai Ali

Baat Ye Toh Bohot Hi Hai Asaan Si
Kya Karein Mustafa Gar Na Samjhay Koyi
Saaf Alfaz Mein Keh Rahay Hain Nabi
Mein Hoon Jiska Mere Baad Uska Wali

Goonjti Thi Sada Run Mein Jab Amr Ki
Aaye Madday Muqabil Meray Hai Koyi
Dekh Kar Soorma'on Ka Chehra Nabi
Soch Mein Thay Ke Haider Ne Awaz Di

Yoon Toh Lekar Gaye Run Ko Lashkar Sabhi
Jangay Khaibar Magar Fatha Hona Saki
Ab Chala Hai Alam Lekay Aisa Jari
Khaak Ho Jayegi Marhabi Antari

Bistaray Mustafa Par Dilay Mustafa
Raat Bhar Chaen Ki Neend Sota Raha
Toolaey Ahle Shar Khauf Se Cheekh Utha
Subha Uth Kar Jo Haider Ne Angraayi Lee

Hukmay Mabood Se Tornay Buth Kadaa
Jab Chalay Sooey Kaaba Habib E Khuda
Aagay Peechay Sabhi Thay Magar Ye Bata
Doshay Ahmed Pe Mairaj Kis Ko Mili

Dou Jahan Mein Nahi Koyi Aisa Jari
Maut Ne Jiskay Aagay Sipar Daal Dee
Thay Jawan Dekhnay Ke Liye Toh Sabhi
La Fatha Ki Sanad Jis Ko Haq Se Mili

Saaya E Mustafa Mein Pala Aur Barha
Ye Sharaf Kab Kisi Aur Ko Hai Mila
Khaas Mehraabay Kaaba Mein Paida Huwa
Sajda E Haq Mein Jis Ko Hai Zarbat Lagi

Dashtay Ghurbat Mein Jis Waqt Haq Ka Wali
Mooh Pe Daalay Naqab Aya Zainab Barhi
Barh Ke Jis Dam Lagaam E Faras Thaam Lee
Daal Kar Baahein Gardan Mein Bola Jari

Fat'ha Karli Hai Shabbir Ne Karbala
Kal Se Hoga Shuru Aik Naya Maarka
Karkay Darbar Mein Khutba E Haq Ada
Shaam Walon Ko Batla De Zinda Abhi

Meri Lakhtay Jigar Marhaba Marhaba
Sheeray Maadar Ka Tunay Bharam Rakh Liya
Naaz Farma Rahay Hain Habib E Khuda
Tera Ehsaan Mund Aye Meri Laadlee

Details

Lyrics Details

Category
Manqabat
Personalities
Imam Ali, Prophet Muhammad, Imam Hussain, Sayyida Zainab
Occasion
Eid-e-Ghadeer, Muharram
Themes
AZH Bayaz devotional poetry
Original language
Urdu

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.