Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Manqabat

Ali Ali Hai Ali Wali Hai

Sachey Bhai

Urdu
UrduImam AliEid-e-Ghadeer
Ali Ali Hai Ali Wali Hai is an Urdu manqabat reflecting on the virtues and spiritual leadership of Imam Ali. Read the Roman Urdu lyrics, Urdu script and English translation.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Manqabat
Occasion
Eid-e-Ghadeer
Original
Urdu

Lyrics

Ali Ali Hai Ali Wali Hai Lyrics

WA

Ali Ali Hai Ali Wali Hai

Badal Raha Hai Nizamay Aalam
Qadam Qadam Inqilabay Paiham
Magar Hamari Zaban Pe Har Dam
Ali Ali Hai Ali Ali Hai

Ye Naamay Naami Hai Ismay Azam
Issi Se Milta Hai Azmay Mohkam
Sanad Mili Jis Ko La Fatha Ki
Woh Marday Maidaan Yehi Ali Hai

Khuda Ne Talwar Jis Ko Bheji
Nabi Ne Jis Ko Di Apni Beti
Ye Martaba Kis Ne Aur Paaya
Kisay Ye Rifat Bhala Mili Hai

Zabanay Aadam Pe Ya Ali Hai
Zabanay Khatam Pe Ya Ali Hai
Woh Ibtida Thi Ye Inteha Hai
Azal Ali Hai Abad Ali Hai

Ali Ka Dar Sajda Gaahay Aalam
Yahan Pe Shaahon Ke Sar Bhi Hain Khum
Daray Ali Ki Hai Ye Bulandi
Jabeen Malak Ki Jhuki Huwi Hai

Mayaanay Khum Woh Nabi Ka Khutba
Dikha Rahay Hain Wasi Ka Chehra
Idhar Buland Ho Rahay Hain Mola
Udhar Se Ayat Utar Rahi Hai

Ghubare Dil Ka Hai Rukh Pe Chaaya
Alam Ali Ne Hai Run Mein Paaya
Kisi Ka Chehra Damak Raha Hai
Kisi Ki Rangat Urhi Huwi Hai

Utha Ke Sar Jab Bhi Zoray Baatil
Huwa Hai Islam Ke Muqabil
Idhar Kaha Ya Ali Zaban Se
Udhar Se Fath O Zafar Mili Hai

Nabi Ne Khud Raasta Dikhaya
Ke Ya Ali Keh Ke Hai Pukaara
Ali Se Phirnay Ka Hai Nateeja
Jo Aaj Dunya Bhatak Rahi Hai

Details

Lyrics Details

Category
Manqabat
Personalities
Imam Ali, Prophet Muhammad
Occasion
Eid-e-Ghadeer
Themes
AZH Bayaz devotional poetry
Original language
Urdu

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.