Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Haq Kar Gaye Maadar Ke Ada Saare Ke Saare

Sachey Bhai

Urdu
UrduSayyida ZainabMuharram
Haq Kar Gaye Maadar Ke Ada Saare Ke Saare mourns the sacrifice of Aun and Muhammad, the young sons of Sayyida Zainab, in Karbala. It recalls their mother’s loving counsel, their devotion to Imam Hussain and the loss of the children she raised.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Noha
Occasion
Muharram, Ashura
Original
Urdu

Lyrics

Haq Kar Gaye Maadar Ke Ada Saare Ke Saare Lyrics

WA

Haq Kar Gaye Maadar Ke Ada Saare Ke Saare
Mamu Pe Fida Hogaye Zainab Ke Dulaaray

Samjhati Thee Bachon Ko Baray Pyaar Se Zainab
Bhoolay Se Na Jaana Kabhi Darya Ke Kanaray

Pyaasi Hai Sakina Rahay Har Aan Yehi Dhyaan
Paani Ka Tasawur Na Ho Zehnon Mein Tumharay

Maa Sadqay Gayi Aaj Hai Marnay Mein Barha Naam
Mein Khush Hoon Milein Khaak Mein Armaan Jo Saaray

Ghoron Se Giro Bhi Toh Sada Run Se Na Dena
Dekho Mein Khafa Hoongi Jo Mamu Ko Pukaaray

Kum Sin Ho Toh Kya Bintay Ali Ke Ho Jigar Band
Iss Sin Mein Barha Naam Tha Naana Ka Tumharay

Mein Khaimon Se Dekhoongi Jari Kaun Hai Tum Mein
Lalkaar Ke Pehlay Jo Binay Saad Ko Maaray

Waada Jo Kiya Maa Se Wafa Kar Gaye Dono
Pyaase Hi Laray Pyaase Hi Dunya Se Sidharay

Sad Hayf Hai Aye Dashtay Bala Teri Zameen Ne
Sab Cheen Liye Zainab E Muztar Ke Saharay

Paala Tha Jinhay Godh Mein Woh Jaa Basay Run Mein
Ab Kaun Hai Zainab Ko Jo Maa Kehkay Pukaaray

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Personalities
Sayyida Zainab, Imam Hussain, Hazrat Abbas, Bibi Sakina
Occasion
Muharram, Ashura
Themes
Sacrifice of Aun and Muhammad, The grief of Sayyida Zainab, Loyalty to Imam Hussain
Original language
Urdu

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.