Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Haye Hussain Ibn Ali

Nadeem Sarwar

2024Urdu
2024Urdu
Haye Hussain Ibn-e-Ali is a 2024 Noha from Nadeem Sarwar’s 45th album / 1446 AH, recited in Urdu and Pashto. Written by Nadeem Sarwar and Jawad Jaffri, with composition by Nadeem Sarwar, Ali Shanawar, and Ali Jee, this kalaam reflects on the eternal Azadari of Imam Hussain (AS), the grief of Karbala, the thirst of Bibi Sakina (SA), the martyrdom of Hazrat Abbas (AS), and the message preserved by Bibi Zainab (SA). Read the Urdu and Pashto lyrics with English translation on AzadariVerse.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Noha
Year
2024
Language
Pashto, Urdu
Original
Urdu

Lyrics

Haye Hussain Ibn Ali Lyrics

WA
Now Playing
AZADARIVERSE · LISTEN & READ

Haye Hussain Ibn Ali

Haye Hussain Ibn Ali

Nadeem Sarwar

YouTube loads when you open Listen.

Haye Hussain Ibn Ali

Nadeem Sarwar

LYRICS

No verified timing yet · read alongside the video

Haye Hussain Ibn-e-Ali
Hussaina Hussaina Mazloom-e-Karb-o-Bala ×4
Hussain Hussain Ya Hussain Ya Hussain Jaan Hussain ×2

Sada rahegi tumhari yeh Azadari
Haye Hussain Ibn-e-Ali

Dilon mein gham ho, labon par ho sada jaari
Haye Hussain Ibn-e-Ali

په ژړا ژړا نن هم څه شور و ماتم دی دا د حسين غم دی، وای

Dilon mein gham ho, labon par ho sada jaari
Haye Hussain Ibn-e-Ali

Hussain Hussain Ya Hussain Ya Hussain Jaan Hussain

Hum rahein ya na rahein, gham yeh aabad rahe
Har qadam Karb-o-Bala dam-ba-dam yaad rahe
Jab talak saans chale, jab talak jaan rahe
Silsila jaari rahe, Shah ka matam na ruke
Dilon mein yaad rahe hamesha tumhari
Haye Hussain Ibn-e-Ali

Woh Hussain Ibn-e-Ali, Dilbar-e-Salle Ala
Jo sar-e-Karb-o-Bala be-khata maara gaya
Apna sab deen ke liye jis ne qurban kiya
Pyaasa duniya se gaya, be-kafan bhi jo raha
Sara zamana karta rahega yeh aah-o-zari
Haye Hussain Ibn-e-Ali

Kehta hai sara jahan Badshah Ast Hussain
Kehte hain peer-o-jawan Rehnuma Ast Hussain
Hai yehi wird-e-zabaan Deen Panah Ast Hussain
Keh rahi hai yeh Aazan Lailah Ast Hussain
Sitam hai aap si hasti pe sitam jaari
Haye Hussain Ibn-e-Ali

Jab Sakina ne kaha haye pyase hain Chacha
Pani laane ke liye phir Alamdar gaya
Shor darya pe hua, Bawafa maara gaya
Haye matam tha bapa, goonji Zainab ki sada
Akela reh gaya aada mein mera bhai
Haye Hussain Ibn-e-Ali

Uska matam hai bapa jis ki hai Karb-o-Bala
Kalma Quran ke liye jis ne sab waar diya
Jis ka Akbar na raha, jis ka Asghar na raha
Jis ka Ghazi na raha, jis ka lashkar na raha
Asr ka waqt tha aur tumhari tanhai
Haye Hussain Ibn-e-Ali

Baad-e-Sheh kya na hua, poochho Zainab se zara
Jis ne bhai ki tarah har sitam dil pe saha
Kabhi Bazaar-e-Jafa, kabhi Darbar-e-Jafa
Jis ne khutbon se sada Sheh ka gham zinda rakha
Hai aaj bhi yeh Zainab ki sada jaari
Haye Hussain Ibn-e-Ali

Dilon mein gham ho, labon par ho sada jaari
Haye Hussain Ibn-e-Ali

Sada rahegi tumhari yeh Azadari
Haye Hussain Ibn-e-Ali

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Year
2024
Languages
Pashto, Urdu
Original language
Urdu

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.