Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Hazrat-e-Abbas

Nadeem Sarwar

2023Urdu
2023Urdu
Hazrat-e-Abbas is a 2023 Noha recited by Nadeem Sarwar, with poetry by Nadeem Sarwar and Jawad Jaffri and special thanks to Dr. Hilal Naqvi. This powerful kalaam praises Hazrat Abbas Alamdar (AS) as the loyal commander of Imam Hussain’s (AS) army, the bearer of the sacred alam, and the grief-sharer of thirsty Bibi Sakina (SA). Read the Roman Urdu lyrics, Urdu lyrics, and English translation of Hazrat-e-Abbas on AzadariVerse.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide

Lyrics

Hazrat-e-Abbas Lyrics

WA
Now Playing
AZADARIVERSE · LISTEN & READ

Hazrat-e-Abbas

Hazrat-e-Abbas

Nadeem Sarwar

YouTube loads when you open Listen.

Hazrat-e-Abbas

Nadeem Sarwar

LYRICS

No verified timing yet · read alongside the video

Jaan Alamdar Alamdar Alamdar ×2

Sher aaram kare jab to Asad hota hai
Soche hamlay ka to Zarghaam kaha jata hai
Hota Zaigham hai banata hai woh jab mansooba
Jab nazar garhe Ghazanfar jo dabochay Hamza
Rok de saans hadaf ki to hai Abbas magar
Kar de do tukre shikar apna to
Haider Haider Haider Haider

Abbas-e-Alamdar ×8

Hazrat-e-Abbas Alamdar Alamdar, Lashkar-e-Shabbir ka Salar Alamdar ×2
Abbas hai Bawafa
Abbas hai La-Fatah
Jaise Ali Haider-e-Karrar Alamdar
Abbas-e-Alamdar Abbas-e-Alamdar

Aisa na Salar dobara hua
Aisa na Sardar dobara hua
Kaise Jari Shah ke lashkar mein thay
Aisa na Jarrar dobara hua
Maidan mein jama raha, aada mein dāta raha ×2
Dekha na aisa koi Jeedar, Alamdar

Abbas-e-Alamdar Abbas-e-Alamdar
Hazrat-e-Abbas Alamdar Alamdar
Lashkar-e-Shabbir ka Salar Alamdar

Alamdar-e-Bawafa Alamdar
Alamdar-e-Karbala Alamdar

Hazrat-e-Abbas Alaihis-Salaam
Jitna bada naam hai waisa hi kaam
Kitna buland aap ka Maula maqam
Aap ke mashkoor hain saare Imam
Dil dil mein basa hua, ghar ghar mein saja hua ×2
Pak alam aur Alamdar

Abbas-e-Alamdar Abbas-e-Alamdar
Hazrat-e-Abbas Alamdar Alamdar
Lashkar-e-Shabbir ka Salar Alamdar

Abbas hai Bawafa
Abbas hai La-Fatah
Jaise Ali Haider-e-Karrar Alamdar
Abbas-e-Alamdar Abbas-e-Alamdar

Aisa Jari sher hai Sher-e-Ali
Sher bhi is sher se darte hain ji
Is ko zaroorat nahi talwar ki
Ghaiz ki kaafi hai nazar ek hi
Lakhon se ruka nahi, faujon se daba nahi ×2
Naam hai Abbas, khabardar, Alamdar

Abbas-e-Alamdar Abbas-e-Alamdar
Hazrat-e-Abbas Alamdar Alamdar
Lashkar-e-Shabbir ka Salar Alamdar

Alamdar-e-Bawafa Alamdar
Alamdar-e-Karbala Alamdar

Jang ki khatir to na Ghazi gaya
Us ka to dil Mashk-e-Sakina mein tha
Pyaas pe Sadaat ki qurban hua
Warna yeh nau lakh ka lashkar tha kya
Pani jo na laa saka, darya pe hi so gaya ×2
Pyasi Sakina ka woh Ghamkhwar, Alamdar

Abbas-e-Alamdar Abbas-e-Alamdar
Hazrat-e-Abbas Alamdar Alamdar
Lashkar-e-Shabbir ka Salar Alamdar

Abbas hai Bawafa
Abbas hai La-Fatah
Jaise Ali Haider-e-Karrar Alamdar
Abbas-e-Alamdar Abbas-e-Alamdar

Parcham-e-Abbas pe aaya karo
Saaye mein is ke sada baitha karo
Chahte ho gar dua manzoor ho
Noha Sakina ka sunaya karo
Parcham se jure raho, Ghazi se wafa karo ×2
Mil ke kaho saare Azadar

Abbas-e-Alamdar Abbas-e-Alamdar
Hazrat-e-Abbas Alamdar Alamdar
Lashkar-e-Shabbir ka Salar Alamdar

Alamdar-e-Bawafa Alamdar
Alamdar-e-Karbala Alamdar

Jab hua Shabbir se Ghazi juda
Khaima-e-Sadaat mein Kohraam tha
Zainab-o-Kulsoom ki goonji sada
Haye re Abbas mera na raha
Hum sab pe fida hua, Ghazi ab nahi raha ×2
Aal-e-Muhammad ka Madadgar, Alamdar

Abbas-e-Alamdar Abbas-e-Alamdar
Hazrat-e-Abbas Alamdar Alamdar
Lashkar-e-Shabbir ka Salar Alamdar

Jaan Alamdar Alamdar Alamdar ×2

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Year
2023
Original language
Urdu

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.