Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Aao Ek Kaam Karein Karbala Aam Karein

Nadeem Sarwar

2002Urdu
2002UrduImam HussainMuharram
Aao Ek Kaam Karein Karbala Aam Karein is an Urdu Noha recited by Nadeem Sarwar in the 2002 Karbala Aam Kare (Volume 22) collection. It reflects on azadari. Read Roman lyrics, the Urdu/Shahmukhi text, and an English translation with the YouTube recording.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Noha
Year
2002
Occasion
Muharram, Ashura
Original
Urdu
Album
Karbala Aam Kare (Volume 22, 2002)

Lyrics

Aao Ek Kaam Karein Karbala Aam Karein Lyrics

WA
Now Playing
AZADARIVERSE · LISTEN & READ

Aao Ek Kaam Karein Karbala Aam Karein

Aao Ek Kaam Karein Karbala Aam Karein

Nadeem Sarwar

YouTube loads when you open Listen.

Aao Ek Kaam Karein Karbala Aam Karein

Nadeem Sarwar

LYRICS

No verified timing yet · read alongside the video

Aye mere des ke logo, meri aawaaz suno
Meri aawaaz mein maqtal ka yeh aaghaaz suno
Kya khabar tum na raho
Kya khabar hum na rahein
Aao ek kaam karein, Karbala aam karein

Jis tarah Sani-e-Zahra ne ise aam kiya
Ek zanjeer ki jhankaar ne woh kaam kiya
Jis tarah se shuhada ne safar-e-Shaam kiya
Yaani naizon se buland aur bhi Islam kiya
Hum isi tarz-e-qayaadat ki ada aam karein
Kya khabar tum na raho
Kya khabar hum na rahein
Aao ek kaam karein, Karbala aam karein

Yeh jo majlis hai madaawa hai har ek gham ke liye
Ek saugaat hai yeh deeda-e-purnam ke liye
Soz-e-dil chahiye tehzeeb-e-Muharram ke liye
Koi tafreeq nahin halqa-e-maatam ke liye
Rone waalon ke liye farsh-e-aza aam karein
Kya khabar tum na raho
Kya khabar hum na rahein
Aao ek kaam karein, Karbala aam karein

Aao dekho ke yeh khaima yeh alam kis ka hai
Khoon se naam yeh sehra mein raqam kis ka hai
Abhi tareekh se aage yeh qadam kis ka hai
Saari duniya ko bata dein ke yeh gham kis ka hai
Saari duniya ke liye gham ki fiza aam karein
Kya khabar tum na raho
Kya khabar hum na rahein
Aao ek kaam karein, Karbala aam karein

Tum bhi seene mein yeh gham le ke chalo, hum bhi chalein
Tum bhi inkaar-e-sitam le ke chalo, hum bhi chalein
Tum bhi haq ka yeh hasham le ke chalo, hum bhi chalein
Tum bhi Ghazi ka alam le ke chalo, hum bhi chalein
Har zamaane ke liye zikr-e-wafa aam karein
Kya khabar tum na raho
Kya khabar hum na rahein
Aao ek kaam karein, Karbala aam karein

Ek eijaaz to tareekh ne dekha na suna
Jo diya noor ke haathon shab-e-Ashoor bujha
Sab shaheedon ke dilon mein woh diya ja ke jala
Aaj bhi roshni deta hai wohi ek diya
Har andhere mein wohi ek diya aam karein
Kya khabar tum na raho
Kya khabar hum na rahein
Aao ek kaam karein, Karbala aam karein

Paas Shabbir ke apne bhi hain, aghyaar bhi hain
Khaandaan-e-Bani Hashim bhi hai, ansaar bhi hain
Hurr bhi hai, Jaun bhi hai, Akbar-e-jarraar bhi hai
Jaan dene ke liye subh se tayyaar bhi hain
Aise maqtal ki fiza ko ba-Khuda aam karein
Kya khabar tum na raho
Kya khabar hum na rahein
Aao ek kaam karein, Karbala aam karein

Qaafila reh gaya ek dasht-e-bala mein pyaasa
Jin ki meeraas thi Kausar unhein paani na mila
Yeh sabeelen unhi pyaason se wafa hain ba-Khuda
Koi pyaasa na rahe, thi yeh Sakina ki dua
Har zameen par yeh Sakina ki dua aam karein
Kya khabar tum na raho
Kya khabar hum na rahein
Aao ek kaam karein, Karbala aam karein

Rehnuma qatl hua, qatl qayaadat na hui
Ek Imam aur barha, khatm Imamat na hui
Jism raunde gaye, paamaal shariat na hui
Chaadarein chhin gayin, baatil ki hukoomat na hui
Yeh Muhammad ke gharaane ki wafa aam karein
Kya khabar tum na raho
Kya khabar hum na rahein
Aao ek kaam karein, Karbala aam karein

Mere Maula mere Aaqa yeh tera gham na ruke
Kitne toofaan bhi Hilal aaye magar hum na ruke
Aye azadaar yeh majlis yeh Muharram na ruke
Waqt kitna hi badal jaaye yeh maatam na ruke
Yeh shaheedon ka hai maatam ba-Khuda aam karein
Kya khabar tum na raho
Kya khabar hum na rahein
Aao ek kaam karein, Karbala aam karein

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Year
2002
Personalities
Imam Hussain, Sayyida Zainab, Bibi Sakina, Hazrat Abbas, Hazrat Hurr, Ali Akbar
Occasion
Muharram, Ashura
Themes
Azadari, Spread the message of Karbala, Justice and sacrifice
Original language
Urdu
Album
Karbala Aam Kare (Volume 22, 2002)

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.