Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Hoga Ya Hussain

Nadeem Sarwar

2023Urdu
2023Urdu
Hoga Ya Hussain is a 2023 Noha recited by Nadeem Sarwar, with poetry by Nadeem Sarwar and Jawad Jaffri and special thanks to Dr. Hilal Naqvi. This powerful kalaam presents the universal message of Imam Hussain (AS), declaring that every age, every nation, and every awakened heart will call Ya Hussain. It reflects on Karbala, the sacrifice of Shabbir, the coming of Imam-e-Zamana (AJTF), and the eternal spread of Hussainiyat across the world. Read the Roman Urdu lyrics, Urdu lyrics, and English translation on AzadariVerse.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide

Lyrics

Hoga Ya Hussain Lyrics

WA
Now Playing
AZADARIVERSE · LISTEN & READ

Hoga Ya Hussain

Hoga Ya Hussain

Nadeem Sarwar

YouTube loads when you open Listen.

Hoga Ya Hussain

Nadeem Sarwar

LYRICS

No verified timing yet · read alongside the video

Kaisa pyara naara hai yeh, har dil ne pukara hai yeh
Maula yeh hamara hai yeh Maula Ya Hussain
Mere Maula, sab ne dil se maana hai yeh, yeh sab ne jis ko paana hai yeh
Yeh hum sab ka khazana hai yeh Maula Ya Hussain

Maula hamara jis ke dil mein bhi rahega, Hurr ki tarah se us ka dil bhi yeh kahega
Tum be-misaal Maula, tum la-zawaal Maula, har dil se aa rahi hai Maula yeh sada
Hoga jab bedaar ye zamana Ya Hussain ×2
Saare jahan ke lab par hoga hoga Ya Hussain ×2

Hoga jab bedaar ye zamana Ya Hussain
Saare jahan ke lab par hoga hoga Ya Hussain
Hota tha Ya Hussain, hota hai Ya Hussain
Hota rahega Ya Hussain Ya Hussain
Hussain Ya Hussain ×3

Teri qurbani Maula deti hai gawahi
Har dil pe hogi Maula teri Badshahi ×2
Tera hi naam hoga, tera paighaam hoga ×2
Sab ke dilon mein hogi zinda Karbala
Ghar ghar hoga aap ka jab aana Ya Hussain ×2
Saare jahan ke lab par hoga hoga Ya Hussain ×2
Hoga jab bedaar ye zamana Ya Hussain ×2
Saare jahan ke lab par hoga hoga Ya Hussain ×2

Shah Ast Hussain, Badshah Ast Hussain
Wallah Deen Ast Hussain, Deen Panah Ast Hussain
Hoga Ya Hussain, hoga hoga Ya Hussain

Aisa hai aisa mere Maula ka gharana
Rab ne banaya jis ki khatir yeh zamana ×2
Sayyed Sultan ka ghar, Kull-e-Iman ka ghar ×2
Naukar hain jis ke ghar ka sara yeh jahan
Samjhega jab aap ka gharana Ya Hussain ×2
Saare jahan ke lab par hoga hoga Ya Hussain ×2

Jo na kiya kisi ne tum ne kar dikhaya
Raah-e-Khuda mein Maula ghar ka ghar lutaya
Raah-e-Khuda mein Maula ghar ka ghar lutaya
Tum par salaam Maula, har subh-o-shaam Maula ×2
Tum sa nahi hai Maula koi doosra
Hoga har insan jab tumhara Ya Hussain ×2
Saare jahan ke lab par hoga hoga Ya Hussain ×2

Aa dekh zara yeh Karb-o-Bala kya Noor-e-Khuda ka bikhra hai
Hairaan karoron aankhein hain, har simt Hussain ka jalwa hai
Kal jalta hua ek sehra tha, ab Jannat ka ik tukda hai
Kal Pak Hussain akela tha, ab us ke saath zamana hai
Jo beet gaya, jo aayega, har daur tumhara Ya Hussain
Maula hai hamara Ya Hussain, hum sab ka hai naara Ya Hussain

Hoga Ya Hussain, hoga hoga Ya Hussain ×2

Jaari tha, jaari hai, aur jaari hi rahega
Har gham pe gham tumhara bhaari hi rahega ×2
Tum par qurbaan Maula, hum sab ki jaan Maula ×2
Tum hi rahoge Maula seenon mein sada
Dil jab hoga aap ka thikana Ya Hussain ×2
Saare jahan ke lab par hoga, hoga Ya Hussain ×2

Jab bhi aayenge Maula Imam-e-Zamana
Un ke labon pe hoga Noha Karb-o-Bala ka ×2
Har dil bedaar hoga, Sheh ka zaawar hoga ×2
Saari duniya mein hoga Zikr-e-Karbala
Matam hoga aap ka phir aisa Ya Hussain ×2
Saare jahan ke lab par hoga, hoga Ya Hussain ×2

Shabbir ke jaisa duniya mein, na aaya tha na aayega
Allah se aisa ishq bhala, ab kar ke kaun dikhaega ×2
Quran Shah-e-Wala ki tarah, naize par kaun sunaega
Ab Karb-o-Bala jaisi basti, na koi aur basaega ×2

Ya Shah-e-Zaman, aye zakhmi badan
Tera Deen bhi tu bhi sachcha hai, tu zinda hai painda hai
Yeh sara zamana kehta hai
Har dil ne pukara, Ya Hussain
Har aankh ka tara, Ya Hussain
Har qoum ka naara, Ya Hussain
Maula hai hamara, Ya Hussain ×6

Hussain...

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Year
2023
Original language
Urdu

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.