Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Hussain Akela Hai

Nadeem Sarwar

2023Urdu
2023Urdu
Hussain Akela Hai is a 2023 Noha recited by Nadeem Sarwar, with poetry by Nadeem Sarwar and Jawad Jaffri and special thanks to Dr. Hilal Naqvi. This emotional kalaam depicts the time of Asr on Ashura, when Imam Hussain (AS) stands alone in the battlefield of Karbala and calls “Hal Min Nasirin Yansurna” after the martyrdom of his companions and loved ones. Read the Roman Urdu lyrics, Urdu lyrics, and English translation on AzadariVerse.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide

Lyrics

Hussain Akela Hai Lyrics

WA
Now Playing
AZADARIVERSE · LISTEN & READ

Hussain Akela Hai

Hussain Akela Hai

Nadeem Sarwar

YouTube loads when you open Listen.

Hussain Akela Hai

Nadeem Sarwar

LYRICS

No verified timing yet · read alongside the video

Hussain

Asr ka waqt hai
Asr ka waqt hai, ab koi bhi baqi na raha
Haye maqtal mein Hussain Ibn-e-Ali hai tanha
Door tak goonj rahi hai
Koi hai
Door tak goonj rahi hai, mere Maula ki sada

Hal Min Nasirin Yansurna
Koi hai? Koi hai?
Nahi koi nahi
Hussain akela hai ×2

Hal Min Nasirin Yansurna
Koi hai? Koi hai?
Nahi koi nahi ×2
Hal Min Nasirin Yansurna
Nahi koi nahi ×2

Shohada-e-Karbala utho
Ansar-e-Bawafa utho
Ghere hain Ashqiyaan utho
Deta hoon main sada utho
Koi hai? Koi hai?
Nahi koi nahi ×2
Hal Min Nasirin Yansurna
Nahi koi nahi ×2

Lashkar tamam so chuka
Pyaaron ko apne kho chuka
Dil para para ho chuka
Sab ko Hussain ro chuka
Koi hai? Koi hai?
Nahi koi nahi ×2

Hussain akela hai
Door tak goonj rahi hai, mere Maula ki sada
Nahi koi nahi ×2

Abbas meri jaan utho
Meri bhi jang dekh lo
Ghurbat mein mera saath do
Ye aakhri sada suno
Koi hai? Koi hai?
Nahi koi nahi ×2
Hal Min Nasirin Yansurna
Nahi koi nahi ×2

Kitna ghareeb ho gaya
Beta Ali Ameer ka
Aawaz doon kise bhala
Koi nahi Hussain ka
Koi hai? Koi hai?
Nahi koi nahi ×2

Hussain akela hai
Door tak goonj rahi hai, mere Maula ki sada
Nahi koi nahi ×2

Jo paas tha main de chuka
Wada mera wafa hua
Main na raha to kya hua
Baqi rahegi yeh sada
Koi hai? Koi hai?
Nahi koi nahi ×2

Hal Min Nasirin Yansurna
Nahi koi nahi ×2

Waqt-e-Namaz ho gaya
Bali pe Shimr hai khada
Khanjar qareeb aa gaya
Goonji Sada-e-Fatima
Koi hai? Koi hai?
Nahi koi nahi ×2

Hussain akela hai
Door tak goonj rahi hai, mere Maula ki sada
Koi hai? Koi hai?
Nahi koi nahi

Hussain akela hai

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Year
2023
Original language
Urdu

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.