Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Janab-e-Fatima Zahra

Shadman Raza

2019Urdu
2019UrduSayyida Fatima ZahraAyyam-e-Fatimiyah
Janab-e-Fatima Zahra is an Urdu Noha recited by Shadman Raza for the remembrance of Sayyida Fatima Zahra. The verses describe her distress, her sermon and her final days. Read the Roman Urdu sequence, Urdu script and English translation.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Noha
Year
2019
Occasion
Ayyam-e-Fatimiyah
Original
Urdu

Lyrics

Janab-e-Fatima Zahra Lyrics

WA
Now Playing
AZADARIVERSE · LISTEN & READ

Janab-e-Fatima Zahra

Janab-e-Fatima Zahra

Shadman Raza

YouTube loads when you open Listen.

Janab-e-Fatima Zahra

Shadman Raza

LYRICS

No verified timing yet · read alongside the video

Zahra, Fatima Zahra ×2
Fatima Zahra, Fatima Zahra
Khadi Hai Masjid-e-Nabawi Mein Ho Kar
Be-Kas-o-Muztar, Janab-e-Fatima Zahra
Fatima Zahra, Fatima Zahra
Main Zahra Hoon Mujhe Pehchaano ×2
Yeh Kehti Hain Woh Ro Ro Kar
Janab-e-Fatima Zahra
Khadi Hai Masjid-e-Nabawi Mein Ho Kar
Be-Kas-o-Muztar, Janab-e-Fatima Zahra
Fatima Zahra, Fatima Zahra

Rasan-Basta Gulu-e-Haider-e-Safdar Kabhi Dekha
Kabhi Dekha Hai Dar Jalta ×2
Shikasta Pasliyon Ko Thaam Kar
Kehti Hain Ghut Ghut Kar
Janab-e-Fatima Zahra
Khadi Hai Masjid-e-Nabawi Mein Ho Kar
Be-Kas-o-Muztar, Janab-e-Fatima Zahra
Fatima Zahra, Fatima Zahra

Woh Bachche Chhote Chhote Seham Kar Maadar Se Lipte Hain
Bahut Betaab Hote Hain ×2
Woh Bachchon Ko Sambhaale Ya Rakhe
Marham Woh Zakhmon Par
Janab-e-Fatima Zahra
Khadi Hai Masjid-e-Nabawi Mein Ho Kar
Be-Kas-o-Muztar, Janab-e-Fatima Zahra
Fatima Zahra, Fatima Zahra

Sar-e-Darbaar Aayi Qadmon Pe Chalti Hui Zahra
Magar Jab De Chuki Khutba ×2
Sahaara Le Ke Fizza Ka Gayi Baba Ki Turbat Par
Janab-e-Fatima Zahra
Khadi Hai Masjid-e-Nabawi Mein Ho Kar
Be-Kas-o-Muztar, Janab-e-Fatima Zahra
Fatima Zahra, Fatima Zahra

Masaib Mujh Pe Jo Toote Dinon Par Woh Agar Padte
To Din Raaton Mein Dhal Jaate ×2
Mujhe Tum Paas Bulwa Lo
Yehi Kehti Hain Ro Ro Kar
Janab-e-Fatima Zahra
Khadi Hai Masjid-e-Nabawi Mein Ho Kar
Be-Kas-o-Muztar, Janab-e-Fatima Zahra
Fatima Zahra, Fatima Zahra

Shikasta Pasliyon Ke Zakhm Mein Woh Dard Badhta Tha
Magar Posheeda Hi Rakha ×2
Namaazein Padh Rahi Thi Rakh Ke
Daayaan Haath Pehlu Par
Janab-e-Fatima Zahra
Khadi Hai Masjid-e-Nabawi Mein Ho Kar
Be-Kas-o-Muztar, Janab-e-Fatima Zahra
Fatima Zahra, Fatima Zahra

Falak Bhi Keh Raha Tha Yeh Aziyyat Dene Waalon Se
Yeh Kalma Padhne Waalon Se ×2
Jise Jhutla Rahe Ho Tum
Wohi Hai Juzv-e-Paighambar
Janab-e-Fatima Zahra
Khadi Hai Masjid-e-Nabawi Mein Ho Kar
Be-Kas-o-Muztar, Janab-e-Fatima Zahra
Fatima Zahra, Fatima Zahra

Shab-e-Rukhsat Hai Waqt-e-Aakhri Hai Dam Ukhadta Hai
Ke Sab Kunba Bichhadta Hai ×2
Utha Taareeki-e-Shab Mein
Janaza Haye Yeh Keh Kar
Janab-e-Fatima Zahra
Khadi Hai Masjid-e-Nabawi Mein Ho Kar
Be-Kas-o-Muztar, Janab-e-Fatima Zahra
Fatima Zahra, Fatima Zahra

Hai Bibi Ki Aza Ke Din Mein Hoon Qalb-e-Tapa Majid
Ho Kaise Shadmaan Majid ×2
Bas Ek Nauha Ho Lab Par
Haye Zahra Bint-e-Paighambar
Janab-e-Fatima Zahra
Khadi Hai Masjid-e-Nabawi Mein Ho Kar
Be-Kas-o-Muztar, Janab-e-Fatima Zahra
Fatima Zahra, Fatima Zahra

Zahra, Fatima Zahra

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Year
2019
Personalities
Sayyida Fatima Zahra, Imam Ali, Hazrat Fizza, Prophet Muhammad
Occasion
Ayyam-e-Fatimiyah
Themes
Suffering of Sayyida Fatima Zahra, Sermon of Fatima Zahra, Mourning for Fatima Zahra
Original language
Urdu

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.