Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Ya Sayyada Ya Fatima

Shadman Raza

2019Urdu
2019UrduSayyida Fatima ZahraAyyam-e-Fatimiyah
Ya Sayyada Ya Fatima is a devotional Noha recited by Shadman Raza, with poetry by Baqar Zaidi. The Kalam praises the generosity and virtues of Sayyida Fatima Zahra (SA) and mourns the sufferings remembered during Ayyam-e-Fatimiyah.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Noha
Year
2019
Occasion
Ayyam-e-Fatimiyah
Original
Urdu

Lyrics

Ya Sayyada Ya Fatima Lyrics

WA
Now Playing
AZADARIVERSE · LISTEN & READ

Ya Sayyada Ya Fatima

Ya Sayyada Ya Fatima

Shadman Raza

YouTube loads when you open Listen.

Ya Sayyada Ya Fatima

Shadman Raza

LYRICS

No verified timing yet · read alongside the video

Assalamu Alaiki Ya
Sayyada, Tahira, Raziya, Marziya, Fatima

Ya Sayyada, Khair-un-Nisa ×2
Ya Marziya, Ya Fatima

Duniya Tumhari Khaak-e-Paa
Ya Marziya, Ya Fatima

Ya Sayyada, Khair-un-Nisa ×2
Ya Marziya, Ya Fatima

Chakki Chalayi Dehr Ki
Fuqara Ko Naan-o-Zar Diya
Khud Faqa-Kash Reh Reh Ke Bhi
Saa'il Ke Kaase Bhar Diye
Jo Kuch Bhi Tha Chup Chaap Woh ×2
Raah-e-Khuda Mein De Diya

Ya Sayyada, Khair-un-Nisa ×2
Ya Marziya, Ya Fatima

Ta'zeem Yun Baba Ne Ki
Umm-e-Abiha Ban Gayi
Is Waaste Ashraaf Ne
Ta'zeem Tere Ghar Ki Thi
Dar Par Tere Utre Malak ×2
Khud Chal Ke Taara Aa Gaya

Ya Sayyada, Khair-un-Nisa ×2
Ya Marziya, Ya Fatima

Tum Maalik-e-Lawlaak Ho
Aur Sahib-e-Aflaak Ho
Tum Tahira, Tum Marziya
Tum Rijz Se Bhi Paak Ho
Bas Ek Teri Dehleez Par ×2
Sajde Kare Sab Ambiya

Ya Sayyada, Khair-un-Nisa ×2
Ya Marziya, Ya Fatima

Jannat Ke Jo Sardaar Hain
Woh Aap Ke Hubdaar Hain
Jinka Zamana Muntazir
Woh Aap Ke Ghamkhwaar Hain
Shehzadi-e-Kaunain Ki ×2
Tauseef Kaise Ho Bhala

Ya Sayyada, Khair-un-Nisa ×2
Ya Marziya, Ya Fatima

Gham Tujh Pe Hain Itne Pare
Umm-e-Masaib Ho Gayi
Baba Ka Gham, Mohsin Ka Gham
Dil Mein Liye Hi Mar Gayi
Teri Shahadat Ka Sabab ×2
Darbaar Jaana Ho Gaya

Ya Sayyada, Khair-un-Nisa ×2
Ya Marziya, Ya Fatima

Baad-e-Muhammad Aap Par
Toote Masaib Kis Qadar
Pehlu Shikasta Kar Gaye
Jo Aag Laaye Tere Ghar
Ummat Ne Baba Ko Tere ×2
Ajr-e-Risalat Yun Diya

Ya Sayyada, Khair-un-Nisa ×2
Ya Marziya, Ya Fatima

Subbat Alayya Baba Jaan
Kehti Rahi Jab Fatima
Likhun Bhala Main Shadman
Kis Tarah Se Yeh Marsiya
Bint-e-Rasool-e-Paak Par
Jo Zulm Baqar Ho Gaya

Ya Sayyada, Khair-un-Nisa ×2
Ya Marziya, Ya Fatima

Assalamu Alaiki Ya
Sayyada, Tahira, Raziya, Marziya, Fatima
Haye Zahra

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Year
2019
Personalities
Sayyida Fatima Zahra, Prophet Muhammad
Occasion
Ayyam-e-Fatimiyah
Themes
Virtues of Sayyida Fatima Zahra, Generosity of Ahlul Bayt, Sufferings of Sayyida Fatima Zahra
Original language
Urdu

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.