Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Kaisi Ye Shaam Aayi

Irfan Haider

2023Urdu
2023UrduMuharram
Kaisi Ye Shaam Aayi is a 2023 Noha recited by Irfan Haider, describing the tragic night of Shaam-e-Ghareeban after the martyrdom of Imam Hussain (AS). The poetry portrays the grief of Bibi Zainab (SA), Imam Zainul Abidin (AS), and Bibi Sakina (SA), the burning tents, and the suffering of the surviving family in Karbala. Read Roman Urdu lyrics, Urdu lyrics and English translation on AzadariVerse.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Noha
Year
2023
Occasion
Muharram, Ashura, Shaam-e-Ghareeban
Original
Urdu

Lyrics

Kaisi Ye Shaam Aayi Lyrics

WA
Now Playing
AZADARIVERSE · LISTEN & READ

Kaisi Ye Shaam Aayi

Kaisi Ye Shaam Aayi

Irfan Haider

YouTube loads when you open Listen.

Kaisi Ye Shaam Aayi

Irfan Haider

LYRICS

No verified timing yet · read alongside the video

Chhane Lagi Shaam-e-Ghareeban
Haaye Qayamat Ka Hai Samaan ×2

Khaima-e-Sadat Se Utha Dhuaan ×2
Haaye Qayamat Ka Hai Samaan

Chhane Lagi Shaam-e-Ghareeban
Haaye Qayamat Ka Hai Samaan ×2

Ya Hussain

Kaisi Yeh Shaam Aayi Aulad-e-Syeda Par ×2
Sajjad Ro Rahe Hain Zainab Se Munh Chhupa Kar

Kaisi Yeh Shaam Aayi Aulad-e-Syeda Par ×2

Sajjad Se Lipat Kar Kehti Rahi Sakina
Ehsaas Ho Raha Hai Main Ho Gayi Yateema
Zalim Dara Raha Hai Naiza Dikha Dikha Kar

Ek Simt Be-Kafan Hai Bhai Ka Us Ke Laasha
Abbas Ki Behen Ka Baqi Raha Na Parda
Ab Sochti Hai Zainab Maange Kafan Ya Chadar

Jo Ghar Mein Do Qadam Bhi Paidal Nahi Chali Hai
Ek Din Mein Wohi Zainab Abbas Ban Gayi Hai
Pehre Pe Aa Gayi Hai Tanha Alam Utha Kar

Baazu Kahin Pare Hain Laasha Kahin Para Hai
Zainab Ki Bebasi Par Ghazi Tarap Raha Hai
Roti Hai Bekasi Bhi Farsh-e-Aza Bichha Kar

Laashon Ke Darmiyan Woh Baba Ko Dhoondhti Hai
Munh Apna Peet Kar Yeh Faryad Kar Rahi Hai
Qadmon Pe Hi Sula Lo Baba Mujhe Bula Kar

Jab Aa Gaye Najaf Se Beti Ko Milne Baba
Zaanu Pe Rakh Ke Sar Yeh Kehne Lagi Woh Dukhiya
Zainab Ujar Gayi Hai Karbobala Basa Kar

Khaimon Ke Saath Jhoola Bistar Bhi Jal Gaya Hai
Namoos-e-Mustafa Ko Bhaagi Kaha Gaya Hai
Yeh Jo Le Gaye Be-Zaban Ko Qaidi Humein Bana Kar

Guzregi Kaise Yawar Maqtal Se Shahzadi
Irfan Bekasi Mein Abid Ne Shab Guzari
Zainab Ka Naam Lega Zalim Woh Muskura Kar

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Year
2023
Occasion
Muharram, Ashura, Shaam-e-Ghareeban
Original language
Urdu

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.