Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Manqabat

Karam Ki Inteha Hai Fatima

Nadeem Sarwar

2009Urdu
2009Urdu
Karam Ki Inteha Hai Fatima is a 2009 Urdu Manqabat recited by Nadeem Sarwar, with poetry by Mir Ahmed Naveed. Appearing in Watou Izzo Mantasha, it celebrates the spiritual virtues, purity and extraordinary position of Bibi Fatima Zahra (SA). Its verses explore her connection to Panjtan Pak, Hadith-e-Kisa, Wilayat, Imamate and the family of Prophet Muhammad (SAWW).Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Manqabat
Year
2009
Original
Urdu
Album
Watou Izzo Mantasha

Lyrics

Karam Ki Inteha Hai Fatima Lyrics

WA
Now Playing
AZADARIVERSE · LISTEN & READ

Karam Ki Inteha Hai Fatima

Karam Ki Inteha Hai Fatima

Nadeem Sarwar

YouTube loads when you open Listen.

Karam Ki Inteha Hai Fatima

Nadeem Sarwar

LYRICS

No verified timing yet · read alongside the video

Ya Sayyedati, Ya Maulati
Ya Fatima Bint-e-Muhammad Aghiseeni ×2
Ya Fatima Zahra, Ya Fatima Zahra ×6

Jo poochhiye ke kya hai Fatima ×2
Fatima
Karam ki inteha hai Fatima ×3

Hijab-e-Kibriyaai hai ×2
Kisi ki kab rasaai hai
Ke parda-e-Khuda hai Fatima
Karam ki inteha hai Fatima ×2

Woh shaamil-e-durood hai
Woh daakhil-e-durood hai
Woh manzil-e-durood hai
Woh qaabil-e-durood hai
Woh haasil-e-durood hai ×2
Woh haamil-e-durood hai
Ke markaz-e-Kisa hai Fatima
Karam ki inteha hai Fatima ×2

Ayaan hai woh, nihaan hai woh
Zamaan hai woh, makaan hai woh
Sada-e-Kun-Fakaan hai woh
Jahaan Khuda wahaan hai woh
Zameen hai aadmi ki maa ×2
Zameen ki bhi maa hai woh
Ke Fatir-us-Sama hai Fatima
Karam ki inteha hai Fatima ×2

Jo Panjtan simat gaye
To ek zaat ban gayi
Woh ek zaat phail kar
Yeh kainaat ban gayi
Yeh kainaat saj gayi ×2
Har ek baat ban gayi
Pata chala ke kya hai Fatima
Karam ki inteha hai Fatima ×2

Woh qaul hai, muqaala hai
Woh maadin-e-risaala hai
Ali ki hum-niwaala hai
Ali ki hum-pyaala hai
Hussain ka hawaala hai ×2
Hasan ko jisne paala hai
Woh paak Sayyeda hai Fatima
Karam ki inteha hai Fatima ×2

Risaalatein, Wilayatein
Imaamatein, Hidayatein
Sharaafatein, Najaabatein
Tahaaratein, Shahaadatein
Karaamatein, Sadaaqatein ×2
Ibaadatein, Riyaazatein
Inhi ka to sira hai Fatima
Karam ki inteha hai Fatima ×2

Woh jalwa-e-ghayaab hai
Woh noor ki kitaab hai
Khuda ka woh hijaab hai
Khuda ka woh naqaab hai
Ke juz Nabi-o-juz Ali ×2
Kahaan kisi ko taab hai
Khuda ka aaina hai Fatima
Karam ki inteha hai Fatima ×2

Usi ke hain yeh behr-o-barr
Usi ke hain yeh khushk-o-tarr
Usi ke hain shajar hajar
Usi ke hain gul-o-samar
Karun kuch aur mukhtasar ×2
Khuda to woh nahin magar
Khuda se kab juda hai Fatima
Karam ki inteha hai Fatima ×2

Meri sada sun aye Khuda
Dilon mein sabke noor rakh
Ke Sarwar-o-Naveed ko
Munafiqat se door rakh ×2
Ke haazir-o-huzoor rakh
Hamara waasta hai Fatima
Karam ki inteha hai Fatima ×2

Ya Fatima Bint-e-Muhammad Aghiseeni ×2
Aghiseeni, Aghiseeni, Aghiseeni

Details

Lyrics Details

Category
Manqabat
Year
2009
Original language
Urdu
Album
Watou Izzo Mantasha

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.