Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Kya Hum Bhi Tumhein

Ali Shanawar

2014Urdu
2014Urdu
Kya Hum Bhi Tumhein is Ali Shanawar's 2014 noha written as a letter from Bibi Sughra to her brother Ali Akbar. Through memories of home, family gatherings, prayer and hopes for his wedding, she repeatedly asks whether her absent brother still remembers her.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Noha
Year
2014
Original
Urdu
Album
Allah Allah Min Raasil Hussain

Lyrics

Kya Hum Bhi Tumhein Lyrics

WA
Now Playing
AZADARIVERSE · LISTEN & READ

Kya Hum Bhi Tumhein

Kya Hum Bhi Tumhein

Ali Shanawar

YouTube loads when you open Listen.

Kya Hum Bhi Tumhein

Ali Shanawar

LYRICS

No verified timing yet · read alongside the video

Bhaiyya Ali Akbar
Bhaiyya Ali Akbar ×4

Sughra ne ye khat Akbar ko likha:
Kaise ho mere pyare Bhaiyya?
Bichhde hue arsa beet gaya
Kab tak ye behen dekhe rasta?

Jab ghar ko parinde jate hain
Kya hum bhi tumhein yaad aate hain? ×2

Lo qasid Sughra ghar se chala
Likha hai, batao aye Bhaiyya
Ab tak na khayal aaya mera?
Kya aisi hui hai mujhse khata?
Kya aise rooth ke jate hain?

Kya hum bhi tumhein yaad aate hain?

Sab chhod gaye humko tanha
Kis haal mein hoon, kya tumko pata?
Beemar ko de ab kaun dawa?
Aa jao jo tum, main paun shifa

Jab chain se sab so jate hain
Kya hum bhi tumhein yaad aate hain?

Jab Bali Sakina aur Asghar
Milte hain gale tumse hans kar
Aur sath mein ho Maa aur Padar
Bas itna bata Bhaiyya Akbar

Sab ghar mein hanste hansate hain
Kya hum bhi tumhein yaad aate hain?

Jab jab bhi musalle par Bhaiyya
Karte ho Namaz-e-Fajr ada
Beemar ke haq mein behr-e-shifa
Karte hain dua mere Baba

Sab apne hath uthate hain
Kya hum bhi tumhein yaad aate hain?

Qasim jo Sakina ko Bhaiyya
Deta hai koi la kar tohfa
Dono se gale mil kar Baba
Dete hain dua lekar bosa

Aur pyar se sar sehlate hain
Kya hum bhi tumhein yaad aate hain?

Jab ghar mein khushi ka ho sama
Sab ek jagah hon peer-o-jawan
Khush dekh ke sab ko ho Amma
Aa jaye koi ghar mein mehman

Jab dastarkhwan bichhate hain
Kya hum bhi tumhein yaad aate hain?

Hasrat hai tera sehra dekhun
Maa jaye tera matha choomun
Batein to bohat hain, kya likhun?
Nadar hoon Bhaiyya, kya bhejun?

Ahbab jo tohfe late hain
Kya hum bhi tumhein yaad aate hain?

Jab zikr kabhi hota hoga
Maa jaye tumhari shadi ka
Khush hongi Sakina aur Kubra
Bandhega Ali Akbar sehra

Khushiyon ke phool khil aate hain
Kya hum bhi tumhein yaad aate hain?

Kya aur likhun, kya batlaun?
Dil cheer ke kaise dikhlaun?
Khud aao ke tumko bulwaun
Bhaiyya, main tumhein kaise paun?

Bas tanha ashk bahate hain
Kya hum bhi tumhein yaad aate hain?

Qasid jo khat-e-Sughra laya
Ek Baap kamar thame tha khada
Bhai ke labon par thi Sughra
Ro ro ke Shanawar aur Raza

Khat Sughra ka dohrate hain

Bhaiyya Ali Akbar
Bhaiyya Ali Akbar

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Year
2014
Original language
Urdu
Album
Allah Allah Min Raasil Hussain

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.