Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Main Hussain hun

Ali Shanawar

2013Urdu
2013Urdu
Main Hussain hun is a 2013 Ali Shanawar noha written by Raza Sirsavi. The poem presents repeated cries of Imam Hussain during the final moments of Ashura, invoking his thirst, his relationship to the Prophet and concern for the women of his family.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Noha
Year
2013
Original
Urdu
Album
Chalay Aao Aey Zawwaro

Lyrics

Main Hussain hun Lyrics

WA
Now Playing
AZADARIVERSE · LISTEN & READ

Main Hussain hun

Main Hussain hun

Ali Shanawar

YouTube loads when you open Listen.

Main Hussain hun

Ali Shanawar

LYRICS

No verified timing yet · read alongside the video

Main Hussain hun

Goonji ba-waqt-e-Asr sada:
Main Hussain hun

Kato na mera khushk gala
Main Hussain hun

Sookhi hui hain
Shimr, mere halq ki ragein
Aahista tu chhuri ko chala
Main Hussain hun

Amma,
Kisi ne pani ki
Ek boond bhi na di
Main baar baar kehta raha:
Main Hussain hun

Katta hua gala mera
Dekha na jayega
Nana,
Main hun nawasa tera
Main Hussain hun

Be-bazuon ki lash
Tadap kar ulat gayi
Aayi Furaat par jo sada:
Main Hussain hun

Zanu pe rakh ke sar ko
Kaha ek zaeef ne:
Akbar kahan hai?
Jald bata
Main Hussain hun

Aye Shaamiyon
Kafan na diya
Mujhko gham nahin
De do meri behen ko rida
Main Hussain hun

Mehsoos ab bhi hota hai
Ye zairin ko
Rauze se aa rahi hai sada:
Main Hussain hun

Aisa laga Raza ki
Shanawar se Fatima
Kehti hain baar baar:
Suna
Main Hussain hun

Goonji ba-waqt-e-Asr sada:
Main Hussain hun

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Year
2013
Original language
Urdu
Album
Chalay Aao Aey Zawwaro

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.