Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Main Alamdar

Nadeem Sarwar

2024Urdu
2024Urdu
Main Alamdar is a 2024 Noha from Nadeem Sarwar’s 45th album, dedicated to Hazrat Abbas Alamdar (AS). Written by Nadeem Sarwar, Jawad Jaffri, and Dr. Hilal Naqvi, this powerful kalaam presents Abbas as the Alamdar of Hussain, the protector of the thirsty children, and the symbol of loyalty at the river of Furat. Read the Roman Urdu lyrics, Urdu lyrics, and English translation on AzadariVerse.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide

Lyrics

Main Alamdar Lyrics

WA
Now Playing
AZADARIVERSE · LISTEN & READ

Main Alamdar

Main Alamdar

Nadeem Sarwar

YouTube loads when you open Listen.

Main Alamdar

Nadeem Sarwar

LYRICS

No verified timing yet · read alongside the video

Alamdar Alamdar
Dekho woh taraayi mein hai ek Mard-e-Wafadar
Alamdar Alamdar
Rakhe hai alam dosh pe pyason ka tarafdar
Alamdar Alamdar

Dekho woh taraayi mein hai ek Mard-e-Wafadar
Rakhe hai alam dosh pe pyason ka tarafdar
Hai goonji isi she’r ki Ghazi ki ye lalkaar
Gar ijazat de Hussain, Arsh hila sakta hoon
Is alam se nayi tareekh bana sakta hoon
Han main Alamdar ×2

Main hoon Abbas-e-Ali
Main wafaon ka wali
Baat jab meri chali
Goonj utha Ali Ali

Han meri wafa Ali
Aada Ali, sada Ali
Han meri aba Ali
Qaba Ali, nawa Ali

Main agar chahoon to ×2
Ek Hashr utha sakta hoon
Jalwa-e-Haider-e-Karrar dikha sakta hoon
Han main Alamdar ×2

Abbas Ya Abbas Ya Abbas Ya Alamdar

Main Alamdar-e-Hussain
Main hoon Salar-e-Hussain
Main Wafadar-e-Hussain
Main hoon Ghamkhwar-e-Hussain

Han mera Shah-e-Umam
Jaan-o-Dilam Hussain Hussain
Han mera jah-o-hasham
Mera bharam Hussain Hussain

Shan-e-Shabbir hai kya ×2
Aaj bata sakta hoon
Tum ko Adab-e-Hussaini main sikha sakta hoon
Han main Alamdar ×2

Ye muqaddar hai mera
Ye alam mujh ko mila
Main Alamdar-e-Wafa
Haider-e-Haider-e-Haider-e-Karb-o-Bala

Ye alam khula rahe
Utha rahe, saja rahe
Ye alam jama rahe
Dāta rahe, sada rahe

Isi darya pe alam ×2
Apna saja sakta hoon
Aur kate haathon se parcham ye utha sakta hoon
Han main Alamdar ×2

Abbas Ya Abbas Ya Abbas Ya Alamdar

Main to aaya hi nahi
Jang ladne ke liye
Mashk bharni hai mujhe
Pyase bachchon ke liye

Han ye wada hai Sakina se
Nibhana hai mujhe
Pani lena hai
Kisi se bhi na ladna hai mujhe

Mujh ko ladna jo pada ×2
Kya hoon bata sakta hoon
Ghaat se lakhon ke lashkar ko bhaga sakta hoon
Han main Alamdar ×2

Aaya darya pe Jari
Kaanp uthi Fauj-e-Shaqi
Ye hai Abbas-e-Jari
Ya hai Waqa‘i Ali

Bhaag uthi Fauj-e-Jafa
Ghazi jidhar jidhar mura
Jis ka munh jidhar utha
Bhaga gira nahi ruka

Bola Abbas-e-Jari ×2
Tegh utha sakta hoon
Karbala mein tumhein Siffin dikha sakta hoon
Han main Alamdar ×2

Abbas Ya Abbas Ya Abbas Ya Alamdar

Bhar ke mashkiza chala
Jab Alamdar-e-Wafa
Aa gayi Fauj-e-Jafa
Ghir gaya Maula mera

Han woh mashkiza chheda
Baazu kata, pani baha
Ghazi reti pe gira
Shor-e-Qayamat tha bapa

Aayi Ghazi ki sada ×2
Jaan luta sakta hoon
Kaise pani ke bina khaimon mein jaa sakta hoon
Han main Alamdar ×2

Gar ijazat de Hussain, Arsh hila sakta hoon
Is alam se nayi tareekh bana sakta hoon
Han main Alamdar, han main Alamdar

Abbas Ya Abbas Ya Abbas Ya Alamdar

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Year
2024
Original language
Urdu

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.