Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Mera Imam Hussain

Nadeem Sarwar

2024Urdu
2024Urdu
Mera Imam Hussain is a 2024 Noha from Nadeem Sarwar’s 45th album / 1446 AH. Written by Nadeem Sarwar, Jawad Jaffri, and Dr. Hilal Naqvi, this powerful kalaam declares the spiritual rank of Imam Hussain (AS) as the Imam, guide, king, and eternal symbol of divine love. It reflects on Karbala, the sacrifice of Shabbir, the seventy-two martyrs, and the unmatched courage of Hussain on the day of Ashura. Read the Roman Urdu lyrics, Urdu lyrics, and English translation on AzadariVerse.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide

Lyrics

Mera Imam Hussain Lyrics

WA
Now Playing
AZADARIVERSE · LISTEN & READ

Mera Imam Hussain

Mera Imam Hussain

Nadeem Sarwar

YouTube loads when you open Listen.

Mera Imam Hussain

Nadeem Sarwar

LYRICS

No verified timing yet · read alongside the video

Imam Hussain Imam ×4

Sab ko khabar hai, sab ko pata hai
Phir bhi hai lazim
Yaad dilana, yaad dilana
Ya Hussain

Ho chuka hai faisla, Hussain Imam Hussaina
Sab ne yehi keh diya, Hussain Imam Hussaina
Aisa zamane mein koi aa nahi sakta
Kaun hai woh Badshah? Haan, mera Imam Hussain ×2

Aisa zamane mein koi aa nahi sakta
Kaun hai woh Badshah? Haan, mera Imam Hussain ×2
Bol Imam Hussain, Imam Hussain, Imam Hussain ×2

Mil kar kaho momino, mera hai mera Hussain
Har qoum ki hai sada, apna hai apna Hussain

Pak Muhammad ka nawasa mera Maula
Haider-e-Karrar ka beta mera Maula
Kitnon ki dhadkan mein dharakta mera Maula
Kitnon ke ghar ka hai ujala mera Maula
Naaz-e-Ali Murtaza, Hussain Imam Hussaina
Jaan-o-Dil-e-Fatima, Hussain Imam Hussaina
Shan-e-Hussain aur koi jaan nahi sakta
Waris-e-Salle Ala, haan mera Imam Hussain ×2
Bol Imam Hussain, Imam Hussain, Imam Hussain ×2

Mera wird-e-zabaan, rahat-e-jaan Maula Hussain
Mera dil hai, mera sara jahan Maula Hussain
Hussain Imam Hussain, Ya Hussain Imam Hussain

Karb-o-Bala saltanat Ishq-e-Khuda hai
Sayyed-o-Sadaat ki mehnat ki sila hai
Jab se qadam Aal-e-Muhammad ne rakha hai
Khaak bhi is shehar ki ab khaak-e-shifa hai
Wali-e-Karb-o-Bala, Hussain Imam Hussaina
Waris-e-Khaak-e-Shifa, Hussain Imam Hussaina
Kis ne banaya ise Jannat ka nazara
Kaun hai woh rehnuma? Haan, mera Imam Hussain ×2
Bol Hussain Imam Hussain, Hussain Imam Hussain ×2

Mil kar kaho momino, mera hai mera Hussain
Har qoum ki hai sada, apna hai apna Hussain

Bad hai na Karbala Ashoor vo Sehra
Samna lakhon se bahattar ka hua tha
Kaam woh Shabbir ne phir kar ke dikhaya
Ek ne nau lakh ke lashkar ko haraya
Kaam bada kar diya, Hussain Imam Hussaina
Marhaba Sad-Marhaba, Hussain Imam Hussaina
Khaak mein batil ke iradon ko milaya
Kaun tha woh soorma? Haan, mera Imam Hussain ×2
Bol Imam Hussain, Imam Hussain, Imam Hussain ×2

Haan mera wird-e-zabaan, rahat-e-jaan Maula Hussain
Haan mera dil hai, mera sara jahan Maula Hussain
Hussain Imam Hussain, Ya Hussain Imam Hussain

Is tarah Shabbir ne wade ko nibhaya
Rab ki raza ke liye ghar-bhar lutaya
Pyare fida kar diye, kuch bhi na bachaya
Ishq-e-Khuda kya hai, yeh duniya ko bataya
Bol utha sara jahan, Hussain Imam Hussaina
Aap sa koi kahan, Hussain Imam Hussaina
Itna bada kaam koi kar nahi sakta
Naam lo woh kaun tha? Haan, mera Imam Hussain ×2
Bol Imam Hussain, Imam Hussain, Imam Hussain ×2

Mil kar kaho momino, mera hai mera Hussain
Har qoum ki hai sada, apna hai apna Hussain

Aap sa rutba to koi paa nahi sakta
Arey ban ke Hussain aur koi aa nahi sakta
Aisi misaal aur koi laa nahi sakta
Itni bulandi pe koi jaa nahi sakta
Ek hai, bas ek tha, Hussain Imam Hussaina
Ek rahega sada, Hussain Imam Hussaina
Arey koi bhi is baat ko jhutla nahi sakta
Kaun hai jo chha gaya? Haan, mera Imam Hussain ×2
Bol Imam Hussain, Imam Hussain, Imam Hussain ×2

Haan mera wird-e-zabaan, rahat-e-jaan Maula Hussain
Haan mera dil hai, mera sara jahan Maula Hussain
Hussain Imam Hussain, Ya Hussain Imam Hussain

Maula ko sadmon se guzarte hue dekha
Bhai ko, beton ko bichharte hue dekha
Jaan se pyaron ko tarapte hue dekha
Samne gulshan ko ujarty hue dekha
Wah kaleja tera, Hussain Imam Hussaina
Wah tera hausla, Hussain Imam Hussaina
Itne sitam aur koi seh nahi sakta
Yaad rahega sada, haan mera Imam Hussain ×2

Ya Hussain
Haan mera Imam Hussain ×3

Haye sar-e-Karb-o-Bala jis ko sukoon mila nahi
Haan mera Imam Hussain ×2
Jis ka to kuch raha nahi, jis ka to kuch bacha nahi
Haan mera Imam Hussain ×2
Lakhon se jo daba nahi, maut se jo dara nahi
Jis ka woh sar kaat to gaya, kat ke bhi sar jhuka nahi
Haan mera Imam Hussain ×2

Imam Hussain Ya Hussain, Imam Hussain Ya Hussain
Aye be-kafan Imam Hussain Ya Hussain
Aye be-watan Imam Hussain Ya Hussain
Wa Khastatan Imam Hussain Ya Hussain
Lahu-badan Imam Hussain Ya Hussain
Aye be-kafan Imam Hussain Ya Hussain
Aye be-watan Imam Hussain Ya Hussain
Aye Jaan-e-Man Imam Hussain Ya Hussain
Shah-e-Zaman Imam Hussain Ya Hussain

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Year
2024
Original language
Urdu

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.