Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Nanhe Mujahid Ran Mein Ja Kar Tum Nahi Aaye

Syed Ali Zia Rizvi

Urdu
UrduAli AsgharMuharram
Nanhe Mujahid Ran Mein Ja Kar Tum Nahi Aaye is a historic devotional noha attributed to Anees Pehersari. The verses remember a grieving mother calling for infant Ali Asghar after Karbala. Read Roman Urdu lyrics, Urdu script and line-aligned English translation.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Noha
Occasion
Muharram
Original
Urdu

Lyrics

Nanhe Mujahid Ran Mein Ja Kar Tum Nahi Aaye Lyrics

WA
Now Playing
AZADARIVERSE · LISTEN & READ

Nanhe Mujahid Ran Mein Ja Kar Tum Nahi Aaye

Nanhe Mujahid Ran Mein Ja Kar Tum Nahi Aaye

Syed Ali Zia Rizvi

YouTube loads when you open Listen.

Nanhe Mujahid Ran Mein Ja Kar Tum Nahi Aaye

Syed Ali Zia Rizvi

LYRICS

No verified timing yet · read alongside the video

Nanneh Mujahid ran meiN ja kar Tum nahiN aaye
Shah to aaye Jaan e Maadar, Tum nahiN aaye
Nanneh Mujahid ran meiN ja kar Tum nahiN aaye

Kab se khadi hooN khaime ke dar par
AakhoN meiN le kae ashkoN ke sagar
Pesh karooN aa jao jo Asghar, Tum nahiN aaye
Nanneh Mujahid ran meiN ja kar Tum nahiN aaye

Tumne isharoN me yeh kaha tha
De do raza maqtal ka khudara
Kar ke fatha MaiN aaon ga lashkar, Tum nahiN aaye
Nanneh Mujahid ran meiN ja kar Tum nahiN aaye

Pyaas se rota hai yehi jaana
Zidd ko koi bhi na pehchana
De di raza woh bhi tumhe Dilbar, Tum nahiN aaye
Nanneh Mujahid ran meiN ja kar Tum nahiN aaye

Haste hue khaimoN se sidhare
Pesh e nazar haiN saare nazare
Ho gaya kya maidan mein jaa kar, Tum nahiN aaye
Nanneh Mujahid ran meiN ja kar, Tum nahiN aaye

Teer laga hai kya gardan par
Jo nahin dekha Maa ko palat kar
Kaun si majboori thi Asghar, Tum nahiN aaye
Nanneh Mujahid ran meiN ja kar, Tum nahiN aaye

Qatl huwe jo zor o jafa se
Shaah utha kar laaye wo Laashe
AateN haiN tanha ran se Sarwar, Tum nahi aaye
Nanneh Mujahid ran meiN ja kar, Tum nahiN aaye

Kis ko sunaooN gi Main kahani

Yeh bhi na soocha Yousuf e Saani
Maa se kati gi raat yeh kyuNkar, Tum nahiN aaye
Nanneh Mujahid ran meiN ja kar Tum nahiN aaye

Khaali jo pahloo paooN gi Beta
Gham se phate ga mera kaleja
Raat bhi guzre gi ro ro kar, Tum nahiN aaye
Nanneh Mujahid ran meiN ja kar Tum nahiN aaye

Raat andheri dasht e bayabaN
Dar nahiN jaana rann meiN meri jaan
Kaise raho ge Maa se bichad ke, Tum nahiN aaye
Nanneh Mujahid ran meiN ja kar Tum nahiN aaye

Kaise jiye gi Baali Sakeena
Hai gham e furkat se woh Hazeena
Roti hai ab tak yaad me Khahar, Tum nahiN aaye
Nanneh Mujahid ran meiN ja kar Tum nahiN aaye

Itna ishara Mujhko bata do
Kiske qareeN ai Maahe e Laqa ho
Dhoondene aa jaye gi Maadar, Tum nahiN aaye
Nanneh Mujahid ran meiN ja kar Tum nahiN aaye

Tere bina Main chhain na paooN
Jhoola hai khali kisko jhulaooN
Kisko sulaooN looriyaN de kar, Tum nahiN aaye
Nanneh Mujahid ran meiN ja kar Tum nahiN aaye

CharoN taraf maidan meiN laashe
Karti hai shab aa ke yeh ishare
Kitna vehshat-naakh hai manzar, Tum nahiN aaye
Nanneh Mujahid ran meiN ja kar Tum nahiN aaye

Maa se zyaada kaun hai pyaara
Kisne diya hai aisa sahara
Bhool gaye aagosh e Madar, Tum nahiN aaye
Nanneh Mujahid ran meiN ja kar Tum nahiN aaye

Baad tumhare yeh hua Asghar
Chal gaya halq e Shaah pa khanjar
Jal gaye khaime chhin gayi chadar, Tum nahiN aaye
Nanneh Mujahid ran meiN ja kar, Tum nahiN aaye

Kab se huwe khaimo se sidhaare
Pesh e nazar hain saare nazaare

Kho gaye kya maidan meiN jaakar, Tum nahi aaye
Nanneh Mujahid ran meiN ja kar, Tum nahiN aaye

Kisne Anees* e gham ko pukara
Sunwaoo awaaz dubaara
Nauha yehi tha Banoo ke lab par, tum nahiN aaye
Nanneh Mujahid ran meiN ja kar Tum nahiN aaye

Shah to aaye Jaan e Maadar, Tum nahiN aaye

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Personalities
Ali Asghar, Imam Hussain, Bibi Rabab, Bibi Sakina
Occasion
Muharram
Original language
Urdu

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.