Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Manqabat

Nabi Nabi Hoga

Nadeem Sarwar

2004Urdu
2004UrduProphet MuhammadMuharram
Nabi Nabi Hoga by Nadeem Sarwar is a manqabat from the 2004 Volume 24 recording, reflecting on praise of the prophet and imam ali and karbala. Read Roman Urdu, Urdu script and English translation with preserved refrains.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Manqabat
Year
2004
Occasion
Muharram
Original
Urdu
Album
Shah Astt Hussain (Volume 24, 2004)

Lyrics

Nabi Nabi Hoga Lyrics

WA
Now Playing
AZADARIVERSE · LISTEN & READ

Nabi Nabi Hoga

Nabi Nabi Hoga

Nadeem Sarwar

YouTube loads when you open Listen.

Nabi Nabi Hoga

Nadeem Sarwar

LYRICS

No verified timing yet · read alongside the video

A'oozu billaahi minash-shaitaanir-rajeem
Bismillaahir-Rahmaanir-Raheem
Saari taareefein us Khuda-e-buzurg-o-bartar ke naam
Ke jis ke qabza-e-qudrat mein kaainaat ka har nizaam hai
Durood-o-salaam Muhammad wa Aal-e-Muhammad par
Allahumma salli alaa Muhammadin wa Aal-e-Muhammad ×3
Ya Nabi Allah, ya Habeeb Allah, ya Kaleem Allah
Ya Shafee Allah, ya Rasool Allah, ya Nabi Allah
Ya Rasool Allah ×4

Zameen jab na thi, na aasmaan koi
Na chaand-taare the, na kehkashaan koi
Huroof bhi na the, na thi zabaan koi
Tha aise aalam mein bhi mehrbaan koi ×2
Khuda bas aise mein yeh keh raha hoga
Mere hawaale se jo tazkira hoga
Nabi Nabi hoga ×2; chaman chaman hoga, kali kali hoga

Habeeb mera hai libaas-e-rehmat mein
Banaayi hai duniya isi ki chaahat mein
Sanaa isi ki hai kalaam-e-qudrat mein
Durood isi par hai meri ibaadat mein ×2
Jo sakhtiyaan jhele meri muhabbat mein
Shafee-e-Mehshar bhi faqat yehi hoga
Nabi Nabi hoga ×2; chaman chaman hoga, kali kali hoga

Woh mere bandon ko mera pata dega
Woh be-sahaaron ko bhi aasra dega
Woh zakhm khaayega magar dua dega
Isi ka kunba to gala kata dega ×2
Hussain sab apne diye bujha dega
Andhera jab phaile woh roshni hoga
Nabi Nabi hoga ×2; chaman chaman hoga, kali kali hoga

Nabi ka rauza hai hamaare seenon mein
Haseen-o-yakta hai woh sab haseenon mein
Isi ka charcha hai falak-nasheenon mein
Jali hai naam iska sabhi saheefon mein ×2
Likha hai naam iska sabhi safeenon mein
Ab hum ko toofaan se na dar koi hoga
Nabi Nabi hoga ×2; chaman chaman hoga, kali kali hoga

Duaayein karte hain tere waseele se
Mareez jitne hain unhein shifaa de de
Nabi ke sadqe mein yeh martaba de de
Yaqeen ki manzil ka tu raasta de de ×2
Nabi ke bachchon ki tu khaak-e-paa de de
Kahaan tere jaisa koi sakhi hoga
Nabi Nabi hoga ×2; chaman chaman hoga, kali kali hoga

Ya Ali Maula ×4
Imam-ul-Momineen, Imam-ul-Muttaqeen
Imam-us-Siddiqeen, Imam-ul-Aalimeen
Imam-ul-Awwaleen, Imam-ul-Aakhireen
Ya Qaahir-al-aduww, wa waliyy-al-wali
Ya Mazhar-al-ajaayib, ya Murtaza Ali ×2

Nabi ne maanga tha Khuda se ek naasir
Ali ki soorat mein hua hai woh zaahir
Nabi ne jab chaaha Ali hue haazir
Ali ki midhat se zabaan hai qaasir ×2
Ali sar-e-mimbar Salooni ka zaakir
Jahaan Nabi hoga, wahaan Ali hoga
Nabi Nabi hoga ×2; chaman chaman hoga, kali kali hoga

Ali ko bakhsha hai Khuda ne kya rutba
Nabi sa bhaai hai, Batool si zaujah
Ali nazar aaya Ali ka har beta
Nabi ki hikmat ka Ali hai darwaaza ×2
Na doosra Haider, na doosra Kaaba
Na ho saka pehle, na ab kabhi hoga
Nabi Nabi hoga ×2; chaman chaman hoga, kali kali hoga

Woh Asr-e-Ashura, Ali ka ek beta
Rasool the jis se, Rasool se jo tha
Tamaam laashon ko uthaata tha tanha
Jo zer-e-khanjar yeh bayaan deta tha ×2
Rahega deen ab to hamaare Nana ka
Zameen-e-maqtal par likha yehi hoga
Nabi Nabi hoga ×2; chaman chaman hoga, kali kali hoga

Ali ke kunbe par sitam hue kya kya
Kahin jale khaime, kahin luta parda
Kahin kate baazu, kahin chhida seena
Kisi ka maqtal mein bikhar gaya laasha ×2
Yeh zulm dekha to Khuda pukaar utha
Hussain jo keh de sada wohi hoga
Nabi Nabi hoga ×2; chaman chaman hoga kali kali hoga

Khayaal aata hai Rehan aur Sarwar
Bala ki garmi mein jab ek pyaase par
Chala raha hoga laeen jab khanjar
Tarap rahi hogi Hussain ki khwaahar ×2
Sada magar hogi Hussain ke lab par
Nabi Nabi hoga, Ali Ali hoga
Chaman chaman hoga, kali kali hoga

Ya Rasool Allah ×4
Sallallahu alaihi wa aalihi wa sallam

Details

Lyrics Details

Category
Manqabat
Year
2004
Personalities
Prophet Muhammad, Imam Ali, Imam Hussain, Sayyida Fatima Zahra
Occasion
Muharram
Themes
Praise of the Prophet and Imam Ali, Karbala, Milad-un-Nabi
Original language
Urdu
Album
Shah Astt Hussain (Volume 24, 2004)

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.