Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Roz-e-Ashura

Nadeem Sarwar

2025Urdu
2025Urdu
Roz-e-Ashura is a 2025 Noha recited by Nadeem Sarwar from his 46th album. This powerful kalaam reflects on the tragedy of Ashura, the martyrdom of Imam Hussain (AS), the grief of Bibi Zainab (SA), and the eternal message that every day is Ashura and every land is Karbala. Read the Roman Urdu lyrics, Urdu lyrics, and English translation of Roz-e-Ashura on AzadariVerse.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Noha
Year
2025
Original
Urdu

Lyrics

Roz-e-Ashura Lyrics

WA
Now Playing
AZADARIVERSE · LISTEN & READ

Roz-e-Ashura

Roz-e-Ashura

Nadeem Sarwar

YouTube loads when you open Listen.

Roz-e-Ashura

Nadeem Sarwar

LYRICS

No verified timing yet · read alongside the video

Ya Hussain
Kullu Yawmin Ashura, Kullu Arzin Karbala
Ya Hussain, Ya Hussain
Kullu Yawmin Ashura, Kullu Arzin Karbala
Ya Hussain, Ya Hussain

Allah Allah
Allah Allah Roz-e-Ashura
Karo matam, karo gham, aur parho Noha
Arsh walon ne kiya
Farsh walon ne kiya
Chand taron ne kiya
Ya Hussain, Hussain Hussain, Ya Hussain ×2

Jab basi, jab basi
Jab basi Karb-o-Bala, woh hai Ashoor ka din
Jis ka gham kam na hua, woh hai Ashoor ka din
Yaad mein jis ki sada
Bichhta hai Farsh-e-Aza
Hota matam hai bapa
Para para hai dil-e-Zahra
Karo matam, karo gham, aur parho Noha

Allah Allah
Allah Allah Roz-e-Ashura
Karo matam, karo gham, aur parho Noha
Kullu Yawmin Ashura, Kullu Arzin Karbala
Ya Hussain, Ya Hussain
Ya Hussain, Hussain Hussain, Ya Hussain
Ya Hussain, Hussain Hussain, Ya Hussain

Momino, momino
Momino socho zara, dus Muharram jo hua
Ghar Nabi Paak ka tha, jo tha lakhon mein ghira
Jin pe har zulm hua
Jinko paani na diya
Pyasa hi maar diya
Aal-e-Ahmad ka ujad jana
Karo matam, karo gham, aur parho Noha

Allah Allah
Allah Allah Roz-e-Ashura
Karo matam, karo gham, aur parho Noha
Arsh walon ne kiya
Farsh walon ne kiya
Chand taron ne kiya
Ya Hussain, Hussain Hussain, Ya Hussain
Ya Hussain, Hussain Hussain, Ya Hussain

Haan suno, haan suno
Haan suno Ashura, Bibi Zainab se zara
Samne jis ke luta ghar, Sar-e-Karb-o-Bala
Jiska kuch bhi na bacha
Jiska dil tukde hua
Jiska ghar qaidi bana
Kaise Zainab ne ye sab dekha
Karo matam, karo gham, aur parho Noha

Allah Allah
Allah Allah Roz-e-Ashura
Karo matam, karo gham, aur parho Noha
Kullu Yawmin Ashura, Kullu Arzin Karbala
Ya Hussain, Ya Hussain
Ya Hussain, Hussain Hussain, Ya Hussain
Ya Hussain, Hussain Hussain, Ya Hussain

Woh Hussain, woh Hussain
Woh Hussain jiski sada La Ilaha Illallah
Zer-e-khanjar bhi kaha La Ilaha Illallah
Imtehan aisa diya
Apna sab waar diya
Koi baqi na raha
Jiska pamaal hua lasha
Karo matam, karo gham, aur parho Noha

Allah Allah
Allah Allah Roz-e-Ashura
Karo matam, karo gham, aur parho Noha
Arsh walon ne kiya
Farsh walon ne kiya
Chand taron ne kiya
Ya Hussain, Hussain Hussain, Ya Hussain
Ya Hussain, Hussain Hussain, Ya Hussain

Ba-Khuda, ba-Khuda
Ba-Khuda yaad rahe, kya hai Tehzeeb-e-Aza
Ho Azadari bapa, aur namazein bhi ada
Lab pe Ya Allah rahe
Ya Rasulallah rahe
Ya Ali Maula rahe
Aise hota rahe Ashura
Karo matam, karo gham, aur parho Noha

Allah Allah
Allah Allah Roz-e-Ashura
Karo matam, karo gham, aur parho Noha
Kullu Yawmin Ashura, Kullu Arzin Karbala
Ya Hussain, Ya Hussain
Ya Hussain, Hussain Hussain, Ya Hussain
Ya Hussain, Hussain Hussain, Ya Hussain

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Year
2025
Original language
Urdu

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.