Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Tadap Kar Sayyad-e-Sajjad Roye

Shadman Raza

2017Urdu
2017UrduImam Zainul AbidinAshura
Tadap Kar Sayyad-e-Sajjad Roye is an Urdu Noha recited by Shadman Raza. Its verses portray Imam Zainul Abidin (AS) grieving while burying Hazrat Abbas (AS), and recalling the suffering of the survivors of Karbala.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Noha
Year
2017
Occasion
Ashura
Original
Urdu

Lyrics

Tadap Kar Sayyad-e-Sajjad Roye Lyrics

WA
Now Playing
AZADARIVERSE · LISTEN & READ

Tadap Kar Sayyad-e-Sajjad Roye

Tadap Kar Sayyad-e-Sajjad Roye

Shadman Raza

YouTube loads when you open Listen.

Tadap Kar Sayyad-e-Sajjad Roye

Shadman Raza

LYRICS

No verified timing yet · read alongside the video

Tadap Kar Sayyad-e-Sajjad Roye
Haye

Dafn Karne Ke Liye Laash-e-Shaheedan-e-Wafa
Karbala Aaye Ba-Ijaz-e-Imamat Maula
Chaar Su Bikhre Hue Tukron Ko Jis Dam Dekha
Phat Gaya Qalb-o-Jigar, Zabt Ka Yaara Na Raha

Lahad Mein Laasha-e-Abbas Rakh Kar ×2
Tadap Kar Sayyad-e-Sajjad Roye

Lahad Mein Laasha-e-Abbas Rakh Kar
Tadap Kar Sayyad-e-Sajjad Roye

Nigahon Mein Tha Ashura Ka Manzar
Tadap Kar Sayyad-e-Sajjad Roye

Lahad Mein Laasha-e-Abbas Rakh Kar
Tadap Kar Sayyad-e-Sajjad Roye

Kabhi Laashe Ke Tukre Choomte The
Kabhi Abbas Ka Sar Dhoondhte The
Tan-e-Be-Sar Ko Seene Se Laga Kar
Tadap Kar Sayyad-e-Sajjad Roye

Shikasta Jism Ke Boseeda Shaane
Uthaye Kis Tarah Allah Jaane
Chala Jab Qalb Par Furqat Ka Khanjar
Tadap Kar Sayyad-e-Sajjad Roye

Sitam Fauj-e-Sitamgar Dha Rahi Hai
Sakina Bhi Tamache Kha Rahi Hai
Chacha Abbas Se Yeh Baat Keh Kar
Tadap Kar Sayyad-e-Sajjad Roye

Jidhar Le Ja Rahe Hain Ja Raha Hoon
Musalsal Taziyane Kha Raha Hoon
Taras Khate Nahi Mujh Par Sitamgar
Tadap Kar Sayyad-e-Sajjad Roye

Badan Par Zakhm Jitne The Dikhaye
Hue Hain Zulm Kya Kya Sab Bataye
Bataya Hai Phuphi Amma Khule Sar
Tadap Kar Sayyad-e-Sajjad Roye

Chacha Ki Laash Ko Ek Aah Bhar Ke
Bohat Roye Supurd-e-Khaak Kar Ke
Bohat Chhoti Si Ek Turbat Bana Kar
Tadap Kar Sayyad-e-Sajjad Roye

Mukammal Ho Gaya Jis Dam Dafina
Kiya Talqeen Mein Zikr-e-Sakina
Bataya Chhin Gaye Kaanon Se Gauhar
Tadap Kar Sayyad-e-Sajjad Roye

Kabhi Dariya Kabhi Turbat Ko Dekha
Kabhi Nazdeek Se Ghurbat Ko Dekha
Sar-e-Maqtal Tarayi Se Palat Kar
Tadap Kar Sayyad-e-Sajjad Roye

Dua Maango Yeh Asif Sidq-e-Dil Se
Koi Dushman Bhi Aise Din Na Dekhe
Ke Jaise Shadman Haathon Ko Mal Kar
Tadap Kar Sayyad-e-Sajjad Roye

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Year
2017
Personalities
Imam Zainul Abidin, Hazrat Abbas, Bibi Sakina, Sayyida Zainab
Occasion
Ashura
Themes
Burial of Hazrat Abbas, Grief of Imam Zainul Abidin, The aftermath of Karbala
Original language
Urdu

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.