Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Tum Shaam Aana Baba

Nadeem Sarwar

2024Urdu
2024Urdu
Tum Shaam Aana Baba is a 2024 Noha from Nadeem Sarwar’s 45th album / 1446 AH, recited in Urdu and Saraiki. Written by Nadeem Sarwar and Jawad Jaffri, this emotional kalaam presents the voice of Bibi Sakina (SA) in the prison of Sham, calling Imam Hussain (AS) and describing her loneliness, captivity, wounds, and longing after Karbala. Read the Roman Urdu/Saraiki lyrics, Urdu/Saraiki script, and English translation on AzadariVerse.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Noha
Year
2024
Original
Urdu

Lyrics

Tum Shaam Aana Baba Lyrics

WA
Now Playing
AZADARIVERSE · LISTEN & READ

Tum Shaam Aana Baba

Tum Shaam Aana Baba

Nadeem Sarwar

YouTube loads when you open Listen.

Tum Shaam Aana Baba

Nadeem Sarwar

LYRICS

No verified timing yet · read alongside the video

Haaye Sakina, haaye haaye Masooma ×2

Main Karb-o-Bala nahi aa sakti Baba Baba
Tum Shaam aana Baba ×2
Main Karb-o-Bala nahi aa sakti Baba Baba
Tum Shaam aana Baba ×2

Ab milne apni beti se ×2
Zindan aana Baba
Tum Shaam aana Baba

Zindan yeh mujh ko raas nahi
Ab jeene ki koi aas nahi
Bechain hoon tum jo paas nahi ×2
Haaye bechain hoon tum jo paas nahi
Nahi tum ko haal suna sakti Baba Baba
Tum Shaam aana Baba ×2

Main kam-sin Sayyedzadi aan
Tedi Baba main Shehzadi aan
Tere baad main Baba rul gayi aan ×2
Haaye tere baad main Baba rul gayi aan
Main mittiyan te nai so sakdi Baba Baba
Tum Shaam aana Baba ×2

Baba Abbas nahi, Akbar bhi nahi
Aur paas mera Asghar bhi nahi
Pardes hai, apna ghar bhi nahi ×2
Haaye pardes hai, apna ghar bhi nahi
Nai dil apna behla sakti Baba Baba
Tum Shaam aana Baba ×2

Haan, bade mushkil safar nibhaye hain
Har mor pe pathar khaye hain
Be-jurm tamache khaye hain ×2
Haaye be-jurm tamache khaye hain
Nai zakhm tumhein dikhla sakti Baba Baba
Tum Shaam aana Baba ×2

Mera kunba ae sara qaidi
Baqir, Sajjad bhira qaidi
Main aap vi haan Baba qaidi ×2
Haaye main aap vi haan Baba qaidi
Main rassiyan nai khulwa sakti Baba Baba
Tum Shaam aana Baba ×2

Main jab se aap se bichhri hoon
Bas aap ki yaad mein roti hoon
Din raat sadain deti hoon ×2
Haaye din raat sadain deti hoon
Main aap ke bin nahi reh sakti Baba Baba
Tum Shaam aana Baba ×2

Haaye Sakina (SA), haaye haaye Masooma ×3
Baba Baba
Tum Shaam aana Baba

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Year
2024
Original language
Urdu

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.