Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Manqabat

Wato Izzo Mantasha

Nadeem Sarwar

2009Urdu
2009UrduImam Ali
Wato Izzo Mantasha is a devotional Urdu Hamd recited by Nadeem Sarwar, with poetry credited to Rehan Azmi. Released in 2009 as part of the album Watou Izzo Mantasha, the kalam takes its central refrain from Surah Aal-e-Imran, verse 26: Wa Tu'izzu Man Tasha Wa Tu'zillu Man Tasha. The verses praise Allah's sovereignty, mercy and power to bestow honour, recount the blessings granted to the Prophets, and remember the devotion of Imam Ali, Hazrat Abbas, Hurr and Salman al-Farsi. The composition concludes with a prayer for knowledge, prosperity and continued service to the Ahlulbayt.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Manqabat
Year
2009
Personalities
Imam Ali
Original
Urdu
Album
Watou Izzo Mantasha

Lyrics

Wato Izzo Mantasha Lyrics

WA
Now Playing
AZADARIVERSE · LISTEN & READ

Wato Izzo Mantasha

Wato Izzo Mantasha

Nadeem Sarwar

YouTube loads when you open Listen.

Wato Izzo Mantasha

Nadeem Sarwar

LYRICS

No verified timing yet · read alongside the video

Wa Tu'izzu Man Tasha Wa Tu'zillu Man Tasha

Aye Khuda-e-Panjtan, aye Khuda-e-Do Jahan
Yeh zameen ki wus'atein, yeh wiqar-e-aasmaan
Tere faiz se gayi yeh nazar jahan jahan
Teri kainaat mein thi buland yeh sada
Wa Tu'izzu Man Tasha Wa Tu'zillu Man Tasha

Woh aisa mehrbaan ke jiski nahin misaal
Had se zyada rakhta hai makhlooq ka khayal
Chahe jise urooj de, chahe jise zawaal
Uski isi ada pe to kehte hain Ambiya
Wa Tu'izzu Man Tasha Wa Tu'zillu Man Tasha

Izzat mili yeh khaak ko Aadam bana diya
Phir ilm aur kamaal se usko saja diya
Sajde ka pehle usko saleeqa sikha diya
Aur phir usi ko laaiq-e-sajda bana diya
Wa Tu'izzu Man Tasha Wa Tu'zillu Man Tasha

Kashti ko jisne Nooh ki saahil ata kiya
Moosa ko baam-e-Toor pe jalwa dikha diya
Murde jilaaye, Eesa ko yeh mojiza diya
Dast-e-Khaleel se bana Kaaba to yeh khula
Wa Tu'izzu Man Tasha Wa Tu'zillu Man Tasha

Yeh wasf-e-khaas sirf Muhammad ko hai mila
Mushtaq-e-deed-e-Abad ka Ma'bood ho gaya
Hukm-e-Khuda se waqt ko thehra diya gaya
Meraj par suni gayi manoos ek sada
Wa Tu'izzu Man Tasha Wa Tu'zillu Man Tasha

Tareekh mein ajeeb hai Hijrat ka waqia
Tegh-o-sina ki zad pe tha Mehboob-e-Kibriya
Woh waqt Mustafa ki hifazat ka waqt tha
Yeh keh ke kaun bistar-e-Ahmad pe so gaya
Wa Tu'izzu Man Tasha Wa Tu'zillu Man Tasha

Har ek ke naseeb mein deen ka alam kahan
Pehle Ali sa sher janam de to koi maa
Abbas jaisi chahiye isko kalaiyaan
Aati hai is alam ke pharere se yeh sada
Wa Tu'izzu Man Tasha Wa Tu'zillu Man Tasha

Kirdaar ek Hurr ka bhi hai kainaat mein
Jannat khareedi jisne faqat ek raat mein
Dozakh ki aag baithi rahi uski ghaat mein
Bola woh sar pe baandh ke rumaal-e-Fatima
Wa Tu'izzu Man Tasha Wa Tu'zillu Man Tasha

Aatish-kade ko chhod ke Salman chal diya
Rehmat Khuda ki saath thi, raasta bhi mil gaya
Ahmad ne aur Ali ne use bhai keh diya
Izzat mili to fakhr-e-Suleman ban gaya
Wa Tu'izzu Man Tasha Wa Tu'zillu Man Tasha

Teri nematon mein aye Khuda koi kami na ho
Mohtaaj Momineen mein Ya Rab koi na ho
Fuqdaan-e-ilm bachchon mein mere kabhi na ho
Kar sarfaraz mujhko, mere bakht ko jaga
Wa Tu'izzu Man Tasha Wa Tu'zillu Man Tasha

Ya Rab ba-haqq-e-Fatima Zahra hai yeh dua
Hai Sarwar-o-Rehan ki tujhse yeh ilteja
Jab tak juda hua hai yeh saanson ka silsila
Zahra ke khandaan ki karte rahein sana
Wa Tu'izzu Man Tasha Wa Tu'zillu Man Tasha

Details

Lyrics Details

Category
Manqabat
Year
2009
Personalities
Imam Ali
Original language
Urdu
Album
Watou Izzo Mantasha

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.