Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Yeh Hai Mera Abbas

Nadeem Sarwar

2026Urdu
2026Urdu
Yeh Hai Mera Abbas is a powerful Noha dedicated to Hazrat Abbas Alamdar (AS), the loyal standard-bearer of Imam Hussain (AS) in Karbala. The kalaam highlights the bravery, loyalty, sacrifice, and spiritual greatness of Abbas, describing him as the reflection of Haider’s courage, the support of Sakina, and the symbol of devotion to Hussain. Read the Roman Urdu lyrics, Urdu lyrics, and English translation of Yeh Hai Mera Abbas on AzadariVerse.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Noha
Year
2026
Language
Urdu
Original
Urdu

Lyrics

Yeh Hai Mera Abbas Lyrics

WA
Now Playing
AZADARIVERSE · LISTEN & READ

Yeh Hai Mera Abbas

Yeh Hai Mera Abbas

Nadeem Sarwar

YouTube loads when you open Listen.

Yeh Hai Mera Abbas

Nadeem Sarwar

LYRICS

No verified timing yet · read alongside the video

Alamdar Alamdar
Maula Maula Alamdar ×2

Sar-ta-pa wafa hai ye, sheron mein pala hai ye
Haider ki sada hai Abbas
Jauhar woh dikha dega
Qaatil ko mita dega, toofan bhi utha de Abbas

Yeh hai mera Abbas ×2

Salaari, Alamdar
Sardaari, Alamdar
Jarraari, Alamdar
Qarrari, Alamdar

Abbas ki hai isliye duniya ye deewani
Abbas ke hai khoon mein Haider ki jawani
Abbas dua-e-dil-e-Zehra ki nishaani
Abbas mein Hasnain ke jazbon ki rawaani
Lagta hai Ali... Lagta hai Ali aa gaye duniya mein dobara
Yeh hai mera Abbas ×2

Dekha na jahan walon ne ye shaan ka Ghazi
Ye le gaya duniya ke dileron se bhi baazi
Karte hain salaam iski ibaadat ko namaazi
Kya kam hai ye rutba ke Hussain isse hai raazi
Woh sher-e-jaree... Woh sher-e-jaree hai jo kisi se nahi haara
Yeh hai mera Abbas ×2

Hai kaun jo har tarah mukammal nazar aaye
Hai kaun jo har rishta-e-ehsaas nibhaye
Hai kaun jo maqtal ko wafaon se sajaye
Kiska hai alam jiske hain phaile hue saaye
Baazu bhi nahi... Baazu bhi nahi phir bhi hai duniya ka sahara
Yeh hai mera Abbas ×2

Jab ghere tha Abbas ko woh lashkar-e-keena
Abbas ke seene mein dharakti thi Sakina
Seene pe kabhi mashk, kabhi mashk pe seena
Jab paani hi beh jaaye toh phir kaahe ka jeena
Ab zinda palatna... Ab zinda palatna nahi, Ghazi ko gawara
Yeh hai mera Abbas ×2

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Year
2026
Languages
Urdu
Original language
Urdu

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.