Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Zamana Tumhara Ya Hussain

Nadeem Sarwar

2025Urdu
2025Urdu
Zamana Tumhara Ya Hussain is a 2025 Noha recited by Nadeem Sarwar from his 46th album. This powerful kalaam reflects the eternal call of Imam Hussain (AS) from Karbala, showing how the cry of “Hal Min” continues to echo across the world centuries after Ashura. The Noha highlights Hussain’s loneliness on the day of Karbala, the global devotion of Azadari, and the role of Bibi Zainab (SA) in spreading the message of Hussainiyat. Read the Roman Urdu lyrics, Urdu lyrics, and English translation of Zamana Tumhara Ya Hussain on AzadariVerse.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Noha
Year
2025
Original
Urdu

Lyrics

Zamana Tumhara Ya Hussain Lyrics

WA
Now Playing
AZADARIVERSE · LISTEN & READ

Zamana Tumhara Ya Hussain

Zamana Tumhara Ya Hussain

Nadeem Sarwar

YouTube loads when you open Listen.

Zamana Tumhara Ya Hussain

Nadeem Sarwar

LYRICS

No verified timing yet · read alongside the video

Ya Hussain Maula Ya Hussain ×4
Jag hai tumhara Maula, jag hai tumhara
Dekho Ya Hussain, saara jag hai tumhara
Ya Hussain Maula Ya Hussain ×2

Woh sada-e-Hal Min jo kal goonj rahi thi sehra mein ×2
Aaj talak, sadiyon se wohi goonj rahi hai duniya mein ×2
Aap akele thay Maula
Aap akele thay Maula
Ab saari duniya saath mein hai
Saath bhi aisa, ke ab sab ka jeena marna saath mein hai
Ya Maula Ya Hussain

Saara zamana, haan ye saara zamana hai tumhara Ya Hussain
Tum akele nahin ho Ya Hussain ×2

Ye zameen-o-aasmaan, keh rahi hai har zabaan
Keh raha hai har nazara Ya Hussain
Tum akele nahin ho Ya Hussain

Hussain Hussain Hussain
Maula Maula Hussain Hussain Hussain ×2

Roz-e-Ashura lakhon mein tanha Hussain humko bula rahe thay
Hal Min ka naara hai ye ishaara
Hussain sabko jaga rahe thay
Zinda raha hai, zinda rahega
Hal Min ka naara Hussain ka
Har dil ki dua, har lab pe sada
Ye khazana hai tumhara Ya Hussain
Tum akele nahin ho Ya Hussain ×2

Saara zamana, haan ye saara zamana hai tumhara Ya Hussain
Tum akele nahin ho Ya Hussain ×2

Ya Imam-e-Do-Jahan, Sheh Sawar-e-Karwan
Tum jahan ho hum wahan Ya Hussain
Hum sab ka hai naara, Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussain
Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussain

Kal thay akele Karb-o-Bala mein, Hussain koi na tha tumhara
Aur aaj aalam pukarta hai, Hussain hamara Hussain hamara
Badla hai kaisa, dekho nazara
Har dil thikana Hussain ka
Tum pe Maula subh-o-shaam
Saari qaumon ka salaam
Sab ne mil ke hai pukara Ya Hussain
Tum akele nahin ho Ya Hussain ×2

Saara zamana, haan ye saara zamana hai tumhara Ya Hussain
Tum akele nahin ho Ya Hussain

Ye zameen-o-aasmaan, keh rahi hai har zabaan
Keh raha hai har nazara Ya Hussain
Tum akele nahin ho Ya Hussain

Hussain Hussain Hussain
Maula Maula Hussain Hussain Hussain ×2

Karoron dil hain jo aaj Maula
Tumhari janib rawa-dawa hain
Labbaik Maula, Labbaik Maula
Yahi sada-e-zabaan zabaan hai
Har karwan mein, har ek zabaan mein
Naam aa raha hai Hussain ka
Sab ka pyara Ya Hussain
Sab ka naara Ya Hussain
Har zamana hai tumhara Ya Hussain
Tum akele nahin ho Ya Hussain ×2

Ya Imam-e-Do-Jahan, Sheh Sawar-e-Karwan
Tum jahan ho hum wahan Ya Hussain

Ye goonjega ×8
Haan naam Hussain ka goonjega
Sab galiyon mein, sab raahon mein
Sab shehron mein, maidanon mein
Dil ki dhadkan dhadkan mein, ghar ghar mein, aangan aangan mein
Sehraon mein, daryaaon mein
Sab zehnon mein, haan lehjon mein, naaron mein, baaton baaton mein
Naam Hussain ka goonjega

Saara zamana, haan ye saara zamana hai tumhara Ya Hussain
Tum akele nahin ho Ya Hussain

Ye zameen-o-aasmaan, keh rahi hai har zabaan
Keh raha hai har nazara Ya Hussain
Tum akele nahin ho Ya Hussain

Ya Hussain
Hussain Hussain Hussain
Maula Maula Hussain Hussain Hussain ×2

Salaam tum par Janab-e-Zainab
Hussain ban kar dikhaya tumne
Qadam qadam par suna ke khutbe
Hussainiyat ko badhaya tumne
Noha sunaya, matam karwaya
Parcham uthaya Hussain ka
Kabhi bar-sar-e-bazaar, kabhi bar-sar-e-darbar
Bibi Zainab ne pukara Ya Hussain
Tum akele nahin ho Ya Hussain ×2

Saara zamana, haan ye saara zamana hai tumhara Ya Hussain
Tum akele nahin ho Ya Hussain

Ya Imam-e-Do-Jahan, Sheh Sawar-e-Karwan
Tum jahan ho hum wahan Ya Hussain
Hum sab ka hai naara
Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussain ×2

Kya ba-wafa thay Hussain wale
Jo Karbala mein thay para para
Sada-e-Hal Min woh sun rahe thay
Hussain ka tha ye istighasa
Abbas aao, mujhko sambhalo
Koi raha na Hussain ka
Di shaheedon ne sada
Tum pe ho jayein fida
Mile jaan jo dobara Ya Hussain
Tum akele nahin ho Ya Hussain

Ya Hussain Maula Ya Hussain ×3
Jag hai tumhara Maula, jag hai tumhara
Dekho Ya Hussain, saara jag hai tumhara Maula

Haazir hai, haazir hai Maula
Maula Maula Hussain Maula
Pursa lo pursa hamara
Maula Maula Hussain Maula
Har dil mein hai gham tumhara
Maula Maula Hussain Maula
Ya Maula
Hum na bhoolenge Karbala
Hum na bhoolenge Ashura
Rahega sada ye naara Maula Maula Hussain Maula ×2
Haazir hai, haazir hai Maula, Maula Maula Hussain Maula ×4

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Year
2025
Original language
Urdu

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.