Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Zinda Rahe Abbas

Nadeem Sarwar

2025Urdu
2025Urdu
Zinda Rahe Abbas Alamdar is a powerful Noha dedicated to Hazrat Abbas Alamdar (AS), the loyal standard-bearer of Imam Hussain (AS) in Karbala. The kalaam praises Abbas as the protector of Bibi Zainab’s (SA) chadar, the hope of Bibi Sakina (SA), and the symbol of loyalty, courage, and Alamdaari at the river of Furat. Read the Roman Urdu lyrics, Urdu lyrics, and English translation on AzadariVerse.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide

Lyrics

Zinda Rahe Abbas Lyrics

WA
Now Playing
AZADARIVERSE · LISTEN & READ

Zinda Rahe Abbas

Zinda Rahe Abbas

Nadeem Sarwar

YouTube loads when you open Listen.

Zinda Rahe Abbas

Nadeem Sarwar

LYRICS

No verified timing yet · read alongside the video

Jaan-e-Sakina bhi, Alamdar bhi
Chadar-e-Zainab ka Nigehdar bhi
Aal-e-Muhammad ka wafadar bhi
Sabr-e-Hussaini bhi, Zulfiqar bhi

Aisa na koi dekha
Na hai, na koi hoga
Bas ek hai, bas ek hai Jeedar Alamdar
Zinda rahe, zinda rahe Abbas Alamdar ×2

Har dam hai sadaon mein Alamdar
Zinda rahe, zinda rahe Abbas Alamdar

Hai Sabr-e-Dasht-e-Karbala
Jalal-e-Lashkar-e-Khuda
Alamdar ×4

Abbas salamat rahe ye naam tumhara
Ye naam jahan jis ne bhi jab jab hai pukara
Har baar ye dil tez dharakta hai hamara ×2
Ye naam hi aisa hai, Haider ke hi jaisa hai
Is naam se kitna hai hamein pyaar, Alamdar
Zinda rahe, zinda rahe Abbas Alamdar ×2

Kis shaan se Abbas alam tum ne uthaya
Kya khoob Alamdaari ka hai farz nibhaya
Phir aisa Alamdar zamane mein na aaya ×2
Goonjega sada naara, Abbas Alam wala
Tareekh pukaregi Alamdar Alamdar
Zinda rahe, zinda rahe Abbas Alamdar ×2

Hai kaun jo Shabbir ka har dam hai wafadar
Aawaz fizaon se ye aati ba-takrar
Abbas-e-Alamdar hai, Abbas-e-Alamdar ×2
Kya tum ne hasham paya, Maula se alam paya
Har hukm pe Aaqa ke hai tayyar Alamdar
Zinda rahe, zinda rahe Abbas Alamdar ×2

Kehti thin ye Zainab ke Khuda is se hai raazi
Ye hai meri chadar ka muhafiz, mera Ghazi
Is ke liye ek khel hai ye jaan ki baazi ×2
Ye jaan luta dega, faujon ko hata dega
Ban jayega khaimon ki ye deewar Alamdar
Zinda rahe, zinda rahe Abbas Alamdar ×2

Darya pe to lakhon hain khade zulm ke baani
Lekin ise mashkize mein lana bhi hai paani
Ab jaan se badh kar hai Sakina ki nishani ×2
Darya pe to jaana hai, mashkiza to bharna hai
Ab jo bhi ho dekhega wafadar Alamdar
Zinda rahe, zinda rahe Abbas Alamdar ×2

Bhoolenge na Abbas tera nehr pe aana
Darya pe alam gaadh ke naara ye lagana
Darya ye hamara hai, sune saara zamana ×2
Kya kaam kiya Wallah, Abbas Subhanallah
Yeh hai teri Shahi, teri Sarkar Alamdar
Zinda rahe, zinda rahe Abbas Alamdar ×2

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Year
2025
Original language
Urdu

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.