Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Zindan Se Jab Laut Key

Nadeem Sarwar

2011Urdu
2011Urdu
Zindan Se Jab Laut Key is Nadeem Sarwar's 2011 noha mourning Bibi Zainab after her release from captivity. The verses contemplate her return to an emptied home without Imam Hussain, Hazrat Abbas, Aun, Muhammad and the other loved ones lost in Karbala.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Noha
Year
2011
Original
Urdu
Album
Hamaray Hain Ya Hussain

Lyrics

Zindan Se Jab Laut Key Lyrics

WA
Now Playing
AZADARIVERSE · LISTEN & READ

Zindan Se Jab Laut Key

Zindan Se Jab Laut Key

Nadeem Sarwar

YouTube loads when you open Listen.

Zindan Se Jab Laut Key

Nadeem Sarwar

LYRICS

No verified timing yet · read alongside the video

Gham khayegi Zainab ×2
Mar jayegi Zainab ×2

Zindan se riha ho ke
Jo ghar jayegi Zainab
Bin Bhai ke jayegi
To mar jayegi Zainab

Zindan se riha ho ke

Ghar lut gaya
Pardes mein
Veeran hai duniya
Zindan se riha ho ke bhi
Zindan hai duniya

Is qaid se
Ghar ja ke bhi
Kya payegi Zainab?

Zindan se riha ho ke

Soona hai makan
Jisme woh shehdayi na honge
Ghar hoga
Magar ghar mein
Mere Bhai na honge

Ta-hashr
Yehi Bhai ka
Gham khayegi Zainab

Zindan se riha ho ke

Bachpan hai jahan
Aun-o-Muhammad ne guzara
Ab un dar-o-deewar ki
Tanhai ne mara

Ab unke na saye mein
Kabhi jayegi Zainab

Zindan se riha ho ke

Be-aas mujhe kar gaye
Bachche mere kamsin
Bin beton ke
Kehlayi to kehlayi main
Lekin

Bin Bhai ke
Duniya mein
Na kehlayegi Zainab

Zindan se riha ho ke

Is baat pe
Hairat hai bahut
Ahl-e-watan mein
Abbas se Bhai ki
Behen
Aur rasan mein

Roodad ye
Kis tarah se
Batlayegi Zainab?

Zindan se riha ho ke

Aaya na koi
Laut ke
Bhai tera Sughra
Soona hi rahega
Bani Hashim ka mohalla

Kya de ke dilase
Use behlayegi Zainab?

Zindan se riha ho ke

Haye roti hui
Jab jaungi
Nana ki lehad par
Aur majra poochegi
Wahan Rooh-e-Payambar

Kurta woh phata
Bhai ka
Dikhlayegi Zainab

Zindan se riha ho ke

Aaya na Hilal
Aisa kada waqt kisi par
Kis kis ke liye royegi
Ye bekas-o-muztar?

Kis kis ka wahan
Fatiha dilwayegi Zainab?

Zindan se riha ho ke

Gham khayegi Zainab
Mar jayegi Zainab

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Year
2011
Original language
Urdu
Album
Hamaray Hain Ya Hussain

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.