Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Aabaad Huwi Karbobala

Nadeem Sarwar

1994Urdu
1994UrduImam HussainMuharram
Aabaad Huwi Karbobala is a 1994 Urdu noha recited by Nadeem Sarwar, with poetry by Shaukat Bilgrami, from Tu Hai Bara Rehman, Vol. 14. Through the sorrowful voice of Bibi Zainab (SA), the noha mourns the devastation of her family in Karbala, the martyrdom of Imam Hussain (AS), the suffering of the children and the captivity of the surviving Ahlulbayt.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Noha
Year
1994
Personalities
Imam Hussain
Occasion
Muharram, Ashura
Original
Urdu
Album
Tu Hai Bara Rehman, Vol. 14

Lyrics

Aabaad Huwi Karbobala Lyrics

WA
Now Playing
AZADARIVERSE · LISTEN & READ

Aabaad Huwi Karbobala

Aabaad Huwi Karbobala

Nadeem Sarwar

YouTube loads when you open Listen.

Aabaad Huwi Karbobala

Nadeem Sarwar

LYRICS

No verified timing yet · read alongside the video

Aabaad hui Karbobala, ujda Madina
Barbaad hui main ×2
Zainab ko na raas aaya Muharram ka mahina
Barbaad hui main
Aabaad hui Karbobala, ujda Madina
Barbaad hui main ×2

Ek din tha ke is shehr ki karti thi main shahi
Aur aaj tabahi ×2
Be-ghusl pada mohr-e-nabuwwat ka nagina
Barbaad hui main
Aabaad hui Karbobala, ujda Madina
Barbaad hui main ×2

Kis laash pe ro'un, kise chhodun main baradar
Laashe hain bahattar ×2
Had yeh hai ke rone ki ijazat bhi mili na
Barbaad hui main
Aabaad hui Karbobala, ujda Madina
Barbaad hui main ×2

Asghar ka gala, bhai ka sar, seena-e-Akbar
Sab gauhar-o-chadar ×2
Is dasht mein loota gaya Zainab ka khazina
Barbaad hui main
Aabaad hui Karbobala, ujda Madina
Barbaad hui main ×2

Maaen bhi na pehchaan sakeen bachchon ke chehre
Bikhre hue sehre ×2
Hai khoon ke darya mein ghareebon ka safeena
Barbaad hui main
Aabaad hui Karbobala, ujda Madina
Barbaad hui main ×2

Ek aag hai khaimon mein, qayamat ka samaa hai
Ghazi tu kahan hai ×2
Dekho to rida chheen gaya Shimr kameena
Barbaad hui main
Aabaad hui Karbobala, ujda Madina
Barbaad hui main ×2

Chadar chheeni, durre liye, ab zulm na dhaao
Baba se milaao ×2
Naize ke tale baith ke roti hai Sakina
Barbaad hui main
Aabaad hui Karbobala, ujda Madina
Barbaad hui main ×2

Paaband-e-rasan bibiyaan, bazaar khule sar
Har mod pe patthar ×2
Masoom yateemon ka baha surkh paseena
Barbaad hui main
Aabaad hui Karbobala, ujda Madina
Barbaad hui main ×2

Shaukat sar-e-maqtal yeh kaha Bint-e-Ali ne
Zahra ki pali ne
Bhaiyya tere bin khaak hai teri behna ka jeena
Barbaad hui main
Aabaad hui Karbobala, ujda Madina
Barbaad hui main ×2

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Year
1994
Personalities
Imam Hussain
Occasion
Muharram, Ashura
Original language
Urdu
Album
Tu Hai Bara Rehman, Vol. 14

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.