Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Sakina Shaam Mein

Nadeem Sarwar

1994Urdu
1994UrduImam HussainMuharram
Sakina Shaam Mein is a 1994 Urdu noha recited by Nadeem Sarwar, with poetry by Shaukat Bilgrami, from Tu Hai Bara Rehman, Vol. 14. Its central lament, Sakina Shaam Mein Mar Kar Yehi Samjha Gayi Logon, mourns the death of Bibi Sakina (SA) during captivity in Damascus, her longing for Imam Hussain (AS), and the profound grief of Imam Zainul Abidin (AS) and the surviving family.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Noha
Year
1994
Occasion
Muharram, Safar
Original
Urdu
Album
Tu Hai Bara Rehman, Vol. 14

Lyrics

Sakina Shaam Mein Lyrics

WA
Now Playing
AZADARIVERSE · LISTEN & READ

Sakina Shaam Mein

Sakina Shaam Mein

Nadeem Sarwar

YouTube loads when you open Listen.

Sakina Shaam Mein

Nadeem Sarwar

LYRICS

No verified timing yet · read alongside the video

Sakina, Sakina ×2

Sakina Shaam mein mar kar yehi samjha gayi logon ×2
Judaai baap ke seene ki mujhko kha gayi logon
Sakina Shaam mein mar kar yehi samjha gayi logon ×2

Qafas, ghurbat, udaasi, Shimr ka dar, pyaas ki shiddat ×2
Sitam itne hue masoom ko maut aa gayi logon
Sakina Shaam mein mar kar yehi samjha gayi logon ×2
Judaai baap ke seene ki mujhko kha gayi logon

Woh maa jo dhoop mein aksar Ali Asghar ko roti thi ×2
Sakina ki qaza us par qayamat dha gayi logon
Sakina Shaam mein mar kar yehi samjha gayi logon ×2
Judaai baap ke seene ki mujhko kha gayi logon

Bandhe haathon pe ek beemar laaya behan ki mayyat ×2
Yeh aulaad-e-Nabi par kaisi ghurbat chha gayi logon
Sakina Shaam mein mar kar yehi samjha gayi logon ×2
Judaai baap ke seene ki mujhko kha gayi logon

Behan ki laash haathon pe liye Sajjad kehte the ×2
Gulistaan-e-Imamat ki kali murjha gayi logon
Sakina Shaam mein mar kar yehi samjha gayi logon ×2
Judaai baap ke seene ki mujhko kha gayi logon

Padar ki khoon bhari gardan pe bachchi ne jo lab rakhe ×2
Yeh manzar dekh kar to khud qaza ghabra gayi logon
Sakina Shaam mein mar kar yehi samjha gayi logon ×2
Judaai baap ke seene ki mujhko kha gayi logon

Chacha, Baba, baradar, sab ke sab to Karbala soye ×2
Sakina ko na jaane Shaam kaise bha gayi logon
Sakina Shaam mein mar kar yehi samjha gayi logon ×2
Judaai baap ke seene ki mujhko kha gayi logon

Likho Shaukat, padho Sarwar, batao saari duniya ko ×2
Ali ki laadli poti shahadat paa gayi logon
Sakina Shaam mein mar kar yehi samjha gayi logon ×2
Judaai baap ke seene ki mujhko kha gayi logon

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Year
1994
Personalities
Imam Hussain, Imam Zainul Abidin
Occasion
Muharram, Safar
Original language
Urdu
Album
Tu Hai Bara Rehman, Vol. 14

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.