Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Mai Bhi Azadar Hoon Aur Tum Bhi

Irfan Haider

2020Urdu
2020UrduImam HussainMuharram
Mai Bhi Azadar Hoon Aur Tum Bhi is a 2020 Urdu noha recited by Irfan Haider and written by Allama Syed Akhtar Abbas Zaidi Al-Arabi. It portrays Imam Zainul Abidin's conversation with Imam Baqir during the sorrowful journey to Shaam, when he asks his son to continue mourning Imam Hussain and the martyrs of Karbala.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Noha
Year
2020
Occasion
Muharram, Shaam-e-Ghareeban
Original
Urdu

Lyrics

Mai Bhi Azadar Hoon Aur Tum Bhi Lyrics

WA
Now Playing
AZADARIVERSE · LISTEN & READ

Mai Bhi Azadar Hoon Aur Tum Bhi

Mai Bhi Azadar Hoon Aur Tum Bhi

Irfan Haider

YouTube loads when you open Listen.

Mai Bhi Azadar Hoon Aur Tum Bhi

Irfan Haider

LYRICS

No verified timing yet · read alongside the video

Allah Allah (×6)

Sajjad Aur Raah-e-Shaam...
Haan...

Jab Raah-e-Shaam Mein Thak Kar Ke
Pyason Ka Qafila Baith Gaya (×2)
Sajjad Bula Kar Baqir Ko
Dheeme Dheeme Yeh Kehta Tha...

Waada Karo...
Jab Tak Jiyenge...
Matam Karenge...
Dono Rahenge Sogwar...

Baqir Se Yehi Kehte Rahe Abid-e-Beemar
Haan Main Bhi Azadar Hoon Aur Tum Bhi Azadar (×2)

Main Aadam-e-Sadat Hoon Kehta Hai Zamana
Mar Jaoon Agar Raah Mein Yeh Bhool Na Jana
Ho Tum Hi Mere Baad Mere Waris-e-Dastar
Baqir Se Yehi Kehte Rahe Abid-e-Beemar
Haan Main Bhi Azadar Hoon Aur Tum Bhi Azadar (×2)

Baqir Zara Dhoondo Meri Hamsheer Kahan Hai
Baba Ka Jahan Sar Hai Yaqeenan Woh Wahan Hai
Keh Do Use Aage Hai Safar Aur Bhi Dushwar
Baqir Se Yehi Kehte Rahe Abid-e-Beemar
Haan Main Bhi Azadar Hoon Aur Tum Bhi Azadar (×2)

Asghar Ki Tarah Pyas Se Behaal Hua Hoon
Qasim Ki Tarah Main Bhi To Pamaal Hua Hoon
Akbar Ki Tarah Mere Bhi Seene Pe Hue Waar
Baqir Se Yehi Kehte Rahe Abid-e-Beemar
Haan Main Bhi Azadar Hoon Aur Tum Bhi Azadar (×2)

Hai Naam Ali Mera Muhammad Hai Tera Naam
Kyun Kar Na Mache Arsh Pe Yeh Dekh Ke Kohram
Hain Tere Rasan Haathon Mein Aur Main Hoon Giraftar
Baqir Se Yehi Kehte Rahe Abid-e-Beemar
Haan Main Bhi Azadar Hoon Aur Tum Bhi Azadar (×2)

Beta Yeh Irada Hai Khudawand-e-Jali Ka
Bazaaron Se Ab Hoga Guzar Bint-e-Ali Ka
Royega Humein Dekh Ke Naize Pe Alamdar
Baqir Se Yehi Kehte Rahe Abid-e-Beemar
Haan Main Bhi Azadar Hoon Aur Tum Bhi Azadar (×2)

Kya Kya Na Sitam Dhaye Hain Bazaar-e-Sitam Ne
Baalon Se Chhupa Rakha Tha Chehron Ko Haram Ne
Ghairat Ka Janaza Tha Sar-e-Majma-e-Aghyar
Baqir Se Yehi Kehte Rahe Abid-e-Beemar
Haan Main Bhi Azadar Hoon Aur Tum Bhi Azadar (×2)

Ae Akhtar-o-Irfan-e-Aza Ahl-e-Aza Se
Keh Do Ke Na Ghafil Rahein Matam Ki Sada Se
Hai Yehi Sada Marham-e-Zakhm-e-Dil-e-Beemar
Baqir Se Yehi Kehte Rahe Abid-e-Beemar
Haan Main Bhi Azadar Hoon Aur Tum Bhi Azadar (×2)

Allah Allah (×4)

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Year
2020
Personalities
Imam Hussain, Imam Zainul Abidin, Imam Baqir
Occasion
Muharram, Shaam-e-Ghareeban
Original language
Urdu

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.