Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Ammay Babayam Kujaast

Irfan Haider

2021Urdu and Persian
2021Urdu and PersianImam HussainMuharram
Ammay Babayam Kujaast is a 2021 Urdu and Persian noha recited by Irfan Haider, with poetry credited to Allama Syed Akhtar Abbas Zaidi Al-Arabi. Its recurring Persian question, meaning 'Aunt, where is my father?', portrays Bibi Sakina's search for Imam Hussain after Karbala, her suffering during captivity and her longing for her father's protection.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Noha
Year
2021
Occasion
Muharram, Ashura
Original
Urdu and Persian

Lyrics

Ammay Babayam Kujaast Lyrics

WA
Now Playing
AZADARIVERSE · LISTEN & READ

Ammay Babayam Kujaast

Ammay Babayam Kujaast

Irfan Haider

YouTube loads when you open Listen.

Ammay Babayam Kujaast

Irfan Haider

LYRICS

No verified timing yet · read alongside the video

Sakina Ki Sada Goonji
Ammay Jaanam, Ammay Jaan

Maine Rukhsaron Pe Zalim Se Tamache Khaye
Aag Daman Mein Lagi, Chhin Gaye Durr Bhi Haaye
Aap Ko Meri Qasam Hai Yeh Bataye Mujh Ko
Aise Hota Hai Yateemon Se Sulook?
Haaye Haaye...

Ammay, Ammay Babayam Kujaast?
Ammay Babayam Kujaast?

Dukhtar-e-Shah-e-Shaheedan Ne Tarap Kar Yeh Kaha
Chhin Gayi Sar Se Rida, Khaimon Mein Kuchh Bhi Na Raha
Wawaila... Wawaila
Aise Aalam Mein Apne Baba Ko Dhoondhoon Main Kahan?
Ammay Babayam Kujaast? (×4)
Ammay Babayam Kujaast? (×4)

Shiddat-e-Gham Se Na Mar Jaoon Sar-e-Dasht-e-Bala
Har Taraf Laashe Hi Laashe Hain, Kahan Jaoon Bhala?
Wawaila... Wawaila
Mere Baba Hain Jahan Mujh Ko Bhi Le Jao Wahan
Ammay Babayam Kujaast? (×8)

Woh Jo Soyi Na Kabhi Baba Ke Seene Ke Siwa
Us Ko Ek Khaak Ke Bistar Pe Bhi Sone Na Diya
Wawaila... Wawaila
Taziyanon Se Jagate Hain Sitamgar Yahan
Ammay Babayam Kujaast? (×8)

Haaye Baba Ne Bare Naazon Se Paala Hai Mujhe
Aur Yahan Shimr Ne Durron Se Bhi Maara Hai Mujhe
Wawaila... Wawaila
Apne Baba Ko Dikhaungi Yeh Zakhmon Ke Nishan
Ammay Babayam Kujaast? (×8)

Mujh Se Kyun Rooth Gaye Baba, Thi Kya Meri Khata?
Kaash Ho Jaati Main Asghar Ki Tarah Un Pe Fida
Wawaila... Wawaila
Ro Diye Ahl-e-Haram Sun Ke Yeh Bachchi Ka Bayan
Ammay Babayam Kujaast? (×8)

Aayi Jab Gyarah Muharram Ki Sahar, Wa Ghurbata
Qafila Aal-e-Muhammad Ka Soo-e-Shaam Chala
Wawaila... Wawaila
Ek Shehzadi Thi Ro Ro Ke Jo Karti Thi Fughan
Ammay Babayam Kujaast? (×8)

Aable Paon Mein The Aur Gale Mein Thi Rasan
Kitni Lachar Thi Pardes Mein Akbar Ki Behen
Wawaila... Wawaila
Qaidkhane Mein Bhi Rehti Thi Yunhi Nauha-Kunan
Ammay Babayam Kujaast? (×8)

Haaye Sajjad Ne Ae Akhtar-o-Irfan-e-Aza
Apni Hamsheer Ko Dafnate Hue Di Yeh Sada
Wawaila... Wawaila
Khoon Kaanon Se Sakina Ke Abhi Tak Hai Rawan
Ammay Babayam Kujaast? (×8)

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Year
2021
Personalities
Imam Hussain, Imam Zainul Abidin
Occasion
Muharram, Ashura
Original language
Urdu and Persian

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.