Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Mere Bhai Abbas

Irfan Haider

2020Urdu
2020UrduImam HussainMuharram
Mere Bhai Abbas is a 2020 Urdu noha recited by Irfan Haider and written by Allama Syed Akhtar Abbas Zaidi Al-Arabi. It voices Bibi Zainab's sorrow upon returning towards Karbala after captivity in Shaam, remembering Hazrat Abbas as the protector of the Ahlulbayt and lamenting the hardships endured without him.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Noha
Year
2020
Occasion
Muharram, Arbaeen
Original
Urdu

Lyrics

Mere Bhai Abbas Lyrics

WA
Now Playing
AZADARIVERSE · LISTEN & READ

Mere Bhai Abbas

Mere Bhai Abbas

Irfan Haider

YouTube loads when you open Listen.

Mere Bhai Abbas

Irfan Haider

LYRICS

No verified timing yet · read alongside the video

Haaye (×2)

Qafila Ho Gaya Jab Shaam Ke Zindan Se Riha
Karbala Aane Hi Wali Thi Suno Ahl-e-Aza
Khud Ko Naqe Se Gira Kar Yehi Zainab Ne Kaha
Abbas Abbas Bhaiya Abbas
Lut Gayi Fatima Zahra Ki Kamayi Abbas
Haaye Seh-Roz Ke Pyase Mere Bhai Abbas (×2)

Jaan Parde Ki Hifazat Ke Liye Dete The
Naam Sunte Hi Mera Nazrein Jhuka Lete The
Abbas Abbas Bhaiya Abbas
Main Teri Koi Ada Bhool Na Paayi Abbas
Haaye Seh-Roz Ke Pyase Mere Bhai Abbas

Yaad Baba Ki Jo Tarpati Thi Aksar Mujh Ko
Dekh Leti Thi Tera Chehra Bula Kar Tujh Ko
Abbas Abbas Bhaiya Abbas
Ab Kahan Jaye Museebat Ki Satayi Abbas
Haaye Seh-Roz Ke Pyase Mere Bhai Abbas

Pusht-e-Sajjad Pe Tehreer Hain Rahon Ke Sitam
Naam Le Le Ke Tera Rote Rahe Ahl-e-Haram
Abbas Abbas Bhaiya Abbas
Phir Bhi Shikwa Na Koi Honton Pe Laayi Abbas
Haaye Seh-Roz Ke Pyase Mere Bhai Abbas

Us Ke Rukhsaron Ki Badli Hui Rangat Haaye
Jis Ne Har Mor Pe Zalim Se Tamache Khaye
Abbas Abbas Bhaiya Abbas
Har Tamache Pe Sada Ek Hi Aayi Abbas
Haaye Seh-Roz Ke Pyase Mere Bhai Abbas

Koi Sunta Na Tha Rahon Mein Shikayat Meri
Kaash Tu Dekhta Ek Baar Woh Halat Meri
Abbas Abbas Bhaiya Abbas
Khoon-Aalood Thi Zainab Ki Kalayi Abbas
Haaye Seh-Roz Ke Pyase Mere Bhai Abbas

Al-Gharaz Qafila Darbar-e-Jafa Jab Pahuncha
Meri Aawaz Ko Ghairon Ne Suna Wawaila
Abbas Abbas Bhaiya Abbas
Jurm Kya Tha Jo Saza Maine Yeh Paayi Abbas
Haaye Seh-Roz Ke Pyase Mere Bhai Abbas

Rok Lo Akhtar-o-Irfan-e-Aza Apna Sukhan
Faisla Kar Chuki Abbas-e-Dilawar Ki Behen
Abbas Abbas Bhaiya Abbas
Tere Tukron Pe Palenge Yeh Khudayi Abbas
Haaye Seh-Roz Ke Pyase Mere Bhai Abbas

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Year
2020
Personalities
Imam Hussain, Imam Zainul Abidin
Occasion
Muharram, Arbaeen
Original language
Urdu

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.