Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Manqabat

Hayya Ala Khayril Amal

Anjuman-e-Zulfiqar-e-Haidery

Urdu
UrduImam AliEid-e-Ghadeer
Hayya Ala Khayril Amal is a devotional call to remember righteous action, the guardianship of Imam Ali, the message of Ghadir Khumm and the example of Imam Hussain in standing against injustice.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Manqabat
Occasion
Eid-e-Ghadeer, Muharram
Original
Urdu

Lyrics

Hayya Ala Khayril Amal Lyrics

WA

Hayya Ala Khayril Amal
Hai Waqt Abhi Naadaan Sambhal
Qudrat Ka Hai Qanoon Atal
Meezan-e-Mawaddat Par Kal Ko Tul Jaayega Har Ek Amal

Woh Sehra Woh Aawaaz-e-Azaan
Maulai Ke Ahd-o-Paimaan
Chaudah Sau Baras Guzre Ab Tak
Deta Hai Sada Khumm Ka Maidaan

Main Jiska Maula Hoon Us Ka
Hai Mere Baad Ali Maula
Palaan-e-Shutar Ke Mimbar Se
Dete Hain Sada Mehboob-e-Khuda

Kaandhon Pe Ali Haathon Pe Ali
Kaabe Mein Kabhi Mimbar Se Kabhi
Aalam Ko Nabi-e-Akram Ne
Batlaaya Yeh Hai Mera Wasi

Zaahir Mein Kabhi Baatin Mein Kabhi
Andaaz Wahi Atwaar Wahi
Yeh Bughz-e-Ali Ki Beemaari
Is Waqt Bhi Hai Us Waqt Bhi Thi

Jangal Jangal Sehra Sehra
Basti Basti Qarya Qarya
Aalam Mein Payaam-e-Haq Ban Kar
Goonjegi Qayamat Tak Yeh Sada

Haq Baat Kaho Haq Baat Suno
Haq Pehchaano Gumraah Na Ho
Mazloom Ki Nusrat Mein Zaalim Se
Nafrat Ka Elaan Karo

Har Soo Na Bhatak Har Dar Pe Na Jaa
Kyun Phirta Hai Maara Maara
Ab Bhi Hain Khuli Haq Ki Raahein
Deti Hain Sadaayein Karb-o-Bala

Details

Lyrics Details

Category
Manqabat
Personalities
Imam Ali, Prophet Muhammad, Imam Hussain
Occasion
Eid-e-Ghadeer, Muharram
Themes
Call to righteous deeds, Ghadir Khumm and Wilayat, Justice and moral courage
Original language
Urdu

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.