Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Manqabat

Dekhna Ho Jo Tujhe Haq Ke Wali Ka Chehra

Anjuman-e-Zulfiqar-e-Haidery

Urdu
UrduImam AliEid-e-Ghadeer
Dekhna Ho Jo Tujhe Haq Ke Wali Ka Chehra is a devotional Manqabat praising Imam Ali and his spiritual authority, with imagery recalling Ghadeer Khumm. Later couplets turn to the sacrifice of Imam Hussain, the loss of Ali Akbar, and the suffering of Bibi Sakina after Karbala. Read the Roman Urdu, Urdu-script and English texts.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Manqabat
Occasion
Eid-e-Ghadeer, Muharram
Original
Urdu

Lyrics

Dekhna Ho Jo Tujhe Haq Ke Wali Ka Chehra Lyrics

WA

Dekhna Ho Jo Tujhe Haq Ke Wali Ka Chehra
Khum Ke Maidan Mein Aa Dekh Ali Ka Chehra

Kal Yeh Chehra Na Bhula Dena Zamane Walon
Aaj Pehchaan Lo Ahmad Ke Wasi Ka Chehra

Main Hoon Masroof-e-Ibadat To Farishte Chup Hain
Qabr Mein Dekh Raha Hoon Main Ali Ka Chehra

Noor-e-Khaliq Ke Hain Do Jalwe Muhammad-o-Ali
Dono Soorat Mein Jhalakta Hai Usi Ka Chehra

Jin Nigaahon Mein Ali Baste Hon Un Aankhon Mein
Kya Samayega Bhala Aur Kisi Ka Chehra

Ufaq-e-Sabr Pe Ayyub Ke Dhundlay Hain Nuqoosh
Jagmagata Hai Hussain Ibn-e-Ali Ka Chehra

Khoon Bhari Zulfon Ko Chehre Se Hata Kar Shabbir
Haye Kis Yaas Se Takte Hain Akhi Ka Chehra

Pyaar Se Jisko Nabi Choom Liya Karte The
Hai Sar-e-Nok-e-Sinaan Aaj Usi Ka Chehra

Jis Ke Chehre Se Tu Yeh Be-Adabi Karta Hai
Are Zalim Yeh Hai Farzand-e-Nabi Ka Chehra

Umm-e-Laila Ki Raheen Hasratein Dil Ki Dil Mein
Mil Gaya Khaak Mein Hum-Shakl-e-Nabi Ka Chehra

Chhin Gaye Kaanon Se Masoom Sakina Ke Gohar
Reh Gayi Dekhti Hasrat Se Phuphi Ka Chehra

Details

Lyrics Details

Category
Manqabat
Personalities
Imam Ali, Prophet Muhammad, Imam Hussain, Hazrat Abbas, Ali Akbar, Bibi Sakina
Occasion
Eid-e-Ghadeer, Muharram
Themes
Virtues and spiritual authority of Imam Ali, Ghadeer Khumm, Grief and sacrifice at Karbala
Original language
Urdu

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.