Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Manqabat

Dar-e-Najaf Se Hatunga Na Sang-e-Dar Ki Tarah

Anjuman-e-Zulfiqar-e-Haidery

Urdu
UrduImam AliMuharram
Dar-e-Najaf Se Hatunga Na Sang-e-Dar Ki Tarah expresses unwavering devotion to Imam Ali at the threshold of Najaf. The Manqabat honours the courage of Hazrat Abbas and reflects on Imam Hussain’s suffering, the sacrifice of Ali Akbar, and the grief of Sayyida Fatima Zahra’s family. Read the lyrics in Roman Urdu, Urdu and English.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide

Lyrics

Dar-e-Najaf Se Hatunga Na Sang-e-Dar Ki Tarah Lyrics

WA

Dar-e-Najaf Se Hatunga Na Sang-e-Dar Ki Tarah
Isi Sadaf Mein Rahunga Sada Gohar Ki Tarah

Wagha Mein Hazrat-e-Abbas The Pidar Ki Tarah
Jabeen Se Ghaiz Tapakta Tha Sher-e-Nar Ki Tarah

Chamakte Arsh Ke Taare The Sab Bani Hashim
Aur Un Mein Hazrat-e-Abbas The Qamar Ki Tarah

Juda Huye Shab-e-Meraj Kab Nabi-o-Ali
Baham The Arsh-e-Bari Par Dil-o-Jigar Ki Tarah

Jo Aaj Ghairat-e-Islam Ban Gaye Kal Ko
Uhud Mein Bhaag Rahe The Woh Jaanwar Ki Tarah

Salaami Qeemat-e-Ashk-e-Aza-e-Shah Na Pooch
Bikega Hashr Ke Bazaar Mein Gohar Ki Tarah

Jawan Pisar Ke Kaleje Se Kheench Li Barchhi
Hussain Kis Mein Hai Himmat Tere Jigar Ki Tarah

Bala Ke Dasht Mein Uryaan Pari Hai Laash-e-Hussain
Dayar-e-Shaam Mein Saidaniyon Ke Sar Ki Tarah

Chaman Kisi Ka Ho Taaraaj Yun Khuda Na Kare
Kisi Ka Ghar Na Lute Fatima Ke Ghar Ki Tarah

Details

Lyrics Details

Category
Manqabat
Personalities
Imam Ali, Hazrat Abbas, Imam Hussain, Ali Akbar, Sayyida Fatima Zahra, Prophet Muhammad
Occasion
Muharram
Themes
Devotion at the shrine of Imam Ali, Courage of Hazrat Abbas, Mourning for the family of Imam Hussain
Original language
Urdu

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.