Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Allah Allah Mere Allah

Irfan Haider

2014Urdu
2014UrduImam Zainul AbidinMuharram
Allah Allah Mere Allah, also known by its refrain Har Mod Pe Qatl Hua Sajjad, is a moving noha recited by Irfan Haider. It portrays the suffering of Imam Zainul Abidin (AS) after Ashura through the sorrowful words of Bibi Zainab (SA), remembering the burning tents, the captivity of the Ahlulbayt, the journey through Kufa and Shaam and the burial of Bibi Sakina (SA). Read the Roman Urdu lyrics, Urdu script and English translation.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Noha
Year
2014
Occasion
Muharram, Shaam-e-Ghareeban
Original
Urdu
Album
Aie Gul E Narjis Biya Biy, Vol. 22

Lyrics

Allah Allah Mere Allah Lyrics

WA
Now Playing
AZADARIVERSE · LISTEN & READ

Allah Allah Mere Allah

Allah Allah Mere Allah

Irfan Haider

YouTube loads when you open Listen.

Allah Allah Mere Allah

Irfan Haider

LYRICS

No verified timing yet · read alongside the video

Haaye, Haaye

Allah Allah Allah Mere Allah (×2)
Sajjad, Haaye Sajjad

Guzri Jahan Jahan Se Sayyedaniyan Khule Sar
Har Mod Pe Qatl Hua Sajjad

Hua Pehla Qatl Mere Baba Sajjad Ka Khaime Ke Andar
Haaye, Haaye, Haaye
Bhai Ki Sada-e-Halmin Par Labbaik Na Keh Paya Uth Kar
Phir Uske Baad Baba Ek Zinda Laash Ban Kar
Har Mod Pe Qatl Hua Sajjad

Allah Allah Allah Mere Allah
Guzri Jahan Jahan Se Sayyedaniyan Khule Sar
Har Mod Pe Qatl Hua Sajjad

Yeh Shaam-e-Ghareeban Mein Baba Zainab Pe Qayamat Tooti Thi
Haaye, Haaye, Haaye
Jab Nok-e-Sina Se Aada Ne Mere Sar Se Chadar Chhini Thi
Us Din Se Dil Mein Lekar Be-Chadari Ka Khanjar
Har Mod Pe Qatl Hua Sajjad

Allah Allah Allah Mere Allah
Guzri Jahan Jahan Se Sayyedaniyan Khule Sar
Har Mod Pe Qatl Hua Sajjad

Woh Raat Kati Aur Aayi Sahar, Phir Qaidi Bani Har Sayyedani
Haaye, Haaye, Haaye
Jab Dekhi Mere Shaanon Mein Rasan, Ghairat Ke Khuda Ki Saans Ruki
Karbobala Se Nikla Do Baar Qatl Ho Kar
Har Mod Pe Qatl Hua Sajjad

Allah Allah Allah Mere Allah
Guzri Jahan Jahan Se Sayyedaniyan Khule Sar
Har Mod Pe Qatl Hua Sajjad

Jab Aayi Muhibbon Ki Basti, Taqseem Ridaein Hone Lagi
Haaye, Haaye, Haaye
Nau Baar Ridaein Humko Mili, Nau Baar Ridaein Chhini Gayi
Karbal Se Ta Ba Koofa, Koofa Se Shaam Ja Kar
Har Mod Pe Qatl Hua Sajjad

Allah Allah Allah Mere Allah
Guzri Jahan Jahan Se Sayyedaniyan Khule Sar
Har Mod Pe Qatl Hua Sajjad

Wahan Eid Manayi Jaati Thi, Aaine Lagaye Jaate The
Haaye, Haaye, Haaye
Sadaat Ki Aamad Par Baba, Bazaar Sajaye Jaate The
Bazaar Mein Jo Pahunchi Aal-e-Nabi Khule Sar
Har Mod Pe Qatl Hua Sajjad

Allah Allah Allah Mere Allah
Guzri Jahan Jahan Se Sayyedaniyan Khule Sar
Har Mod Pe Qatl Hua Sajjad

Darbar-e-Sitam Ka Woh Manzar Main Bhool Nahi Sakti Baba
Haaye, Haaye, Haaye
Hai Kaun Aseeron Mein Zainab, Jab Aake Sitamgar Ne Poochha
Aise Kai Masaib Qalb-e-Hazeen Pe Seh Kar
Har Mod Pe Qatl Hua Sajjad

Allah Allah Allah Mere Allah
Guzri Jahan Jahan Se Sayyedaniyan Khule Sar
Har Mod Pe Qatl Hua Sajjad

Na Baap Ko Apne Maqtal Mein Sajjad Kafan De Paya Tha
Haaye, Haaye, Haaye
Be-Ghusl-o-Kafan Hi Zindaan Mein Lachaar Behen Ko Dafnaya
Ho Kar Riha Wahan Se, Is Gham Ka Zehar Pee Kar
Har Mod Pe Qatl Hua Sajjad

Allah Allah Allah Mere Allah
Guzri Jahan Jahan Se Sayyedaniyan Khule Sar
Har Mod Pe Qatl Hua Sajjad

Irfan Aur Mazhar Rote Hue Jab Shaam Ki Raahon Se Guzre
Haaye, Haaye, Haaye
Bazaar-e-Jafa Darbar-e-Sitam Har Gaam Yeh Jumle Yaad Aaye
Yasrab Ki Aurton Se Kyun Keh Rahi Thi Muztar
Har Mod Pe Qatl Hua Sajjad

Allah Allah Allah Mere Allah
Guzri Jahan Jahan Se Sayyedaniyan Khule Sar
Har Mod Pe Qatl Hua Sajjad

Sajjad...
Har Mod Pe Qatl Hua...

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Year
2014
Personalities
Imam Zainul Abidin, Imam Hussain
Occasion
Muharram, Shaam-e-Ghareeban
Themes
Aseeri-e-Ahlulbayt
Original language
Urdu
Album
Aie Gul E Narjis Biya Biy, Vol. 22

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.