Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Allah Jane Yeh Duniya Kaisi Hai

Irfan Haider

2019Urdu
2019UrduImam HussainMuharram
Allah Jane Yeh Duniya Kaisi Hai is a 2019 Urdu noha recited by Irfan Haider. In the voice of Bibi Sakina, it describes the cruelty she endured after Karbala, her longing for Imam Hussain, her isolation in captivity and her fear of the dark prison of Shaam. Read the lyrics in Roman Urdu, Urdu and English on AzadariVerse.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Noha
Year
2019
Occasion
Muharram, Shaam-e-Ghareeban
Original
Urdu

Lyrics

Allah Jane Yeh Duniya Kaisi Hai Lyrics

WA
Now Playing
AZADARIVERSE · LISTEN & READ

Allah Jane Yeh Duniya Kaisi Hai

Allah Jane Yeh Duniya Kaisi Hai

Irfan Haider

YouTube loads when you open Listen.

Allah Jane Yeh Duniya Kaisi Hai

Irfan Haider

LYRICS

No verified timing yet · read alongside the video

Haaye...

Jab Sakina Ko Sar-e-Hazrat-e-Shabbir Mila
Munh Pe Munh Rakh Ke Sakina Ne Kiya Tha Nauha
Baba, Yeh Zalim Duniya...
Baba, Yeh Zalim Duniya...

Kabhi Nehr Pe Pehra Lagati Hai
Kabhi Pyason Ko Tarpati Hai
Mehman Ko Khoon Rulati Hai
Sadat Ko Qaidi Banati Hai
Haaye...

Sadat Ki Ghurbat Pe Bhi Khamosh Hai Duniya
Arre Sach Hai Bari Ehsan-Faramosh Hai Duniya
Beti Ko Saath Baap Ke Rehne Nahi Deti Hai
Allah Jane Yeh Duniya Kaisi Hai

Beti Ko Saath Baap Ke Rehne Nahi Deti Hai
Allah Jane Yeh Duniya Kaisi Hai
Baba, Allah Jane Yeh Duniya Kaisi Hai

Baba Yahan Rone Pe Tamachon Ki Saza Hai
Ashkon Pe Bhi Faryad Pe Bhi Pehra Laga Hai
Bin Baap Ki Bachchi Ko Tarapne Nahi Deti Hai
Allah Jane Yeh Duniya Kaisi Hai

Baba Mere Kaanon Se Rawan Khoon Hai Abhi Tak
Taqdeer Meri Mujh Se Khafa Kyun Hai Abhi Tak
Ghar Loot Ke Bhi Chain Se Jeene Nahi Deti Hai
Allah Jane Yeh Duniya Kaisi Hai

Baba Jo Guzarti Hai Tumhein Kaise Bataoon
Sab Log Alag Qaid Hain Main Qaid Alag Hoon
Ek Lamha Bhi Ghar Walon Se Milne Nahi Deti Hai
Allah Jane Yeh Duniya Kaisi Hai

Baba Yeh Andhera Hi Mujhe Qatl Karega
Lagta Hai Yeh Zindan Meri Qabr Banega
Zindan Se Ghar Kyun Mujhe Jaane Nahi Deti Hai
Allah Jane Yeh Duniya Kaisi Hai

Baba Phuphi Amma Ki Judaai Pe Hoon Muztar
Sajjad Mere Saath Hai Na Saath Hai Baqir
Aankhon Se Mere Ashk Bhi Behne Nahi Deti Hai
Allah Jane Yeh Duniya Kaisi Hai

Baba Mere Har Dard Ka Irfan Hai Tum Ko
Ae Mazhar-e-Yazdan Ke Pisar Mujh Ko Bacha Lo
Jeena To Kuja Chain Se Marne Nahi Deti Hai
Allah Jane Yeh Duniya Kaisi Hai

Beti Ko Saath Baap Ke Rehne Nahi Deti Hai
Allah Jane Yeh Duniya Kaisi Hai
Baba, Allah Jane Yeh Duniya Kaisi Hai

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Year
2019
Personalities
Imam Hussain, Imam Zainul Abidin, Imam Baqir
Occasion
Muharram, Shaam-e-Ghareeban
Original language
Urdu

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.