Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Amaa Fizza Main Rounga

Irfan Haider

2014Urdu
2014UrduImam BaqirMuharram
Amaa Fizza Main Rounga is a moving noha recited by Irfan Haider, with poetry by Mazhar Abidi. The lament presents Imam Muhammad Baqir (AS) recalling the tragedy of Karbala before Amma Fizza, remembering the martyrs, the captivity of the Ahlulbayt, the suffering of Bibi Sakina (SA) and the painful return to Madina. Read the Roman Urdu lyrics, Urdu script and English translation.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Noha
Year
2014
Occasion
Muharram, Ashura
Original
Urdu
Album
Majura Ya Zahra Majura Ya Haideri 2014 - 15

Lyrics

Amaa Fizza Main Rounga Lyrics

WA
Now Playing
AZADARIVERSE · LISTEN & READ

Amaa Fizza Main Rounga

Amaa Fizza Main Rounga

Irfan Haider

YouTube loads when you open Listen.

Amaa Fizza Main Rounga

Irfan Haider

LYRICS

No verified timing yet · read alongside the video

Haaye, Haaye...
Haaye...

Sajjad Ka Beta, Shehzada Baqir
Jab Aaya Madine, Sota Hi Nahi Tha
Bas Rota Tha (×2)
Ek Shab Fizza Ne Aake Kaha
Shehzade, Kyun Sote Nahi Ho Mere Aaqazade?
Maula Baqir Ne Ro Ke Kaha
Amma...

Dekha Hai In Aankhon Ne Dada Ke Kate Sar Ko
Na Bhoolunga Main Woh Karbobala
Padhunga Sada Yahi Marsiya
Haan Main Rounga
Main Rounga Amma Fizza Main Rounga, Main Rounga (×2)

Dekha Hai In Aankhon Ne Jab Karbobala Pahunche
Darya Pe Lage Khaime, Darya Se Hate Khaime
Na Bhoolunga Main Woh Tifl-o-Jawan
The Tishna-Dahan, Lab-e-Alqama
Haan Main Rounga
Amma Fizza Main Rounga, Main Rounga (×2)

Dekha Hai In Aankhon Ne Ashoor Ka Woh Manzar
Laashe Hi Bayaban Se Sheh Laate Rahe Din Bhar
Na Bhoolunga Main Woh Ranj-o-Alam
Sar-e-Dasht-e-Gham Hue Sar Qalam
Haan Main Rounga
Amma Fizza Main Rounga, Main Rounga (×2)

Dekha Hai In Aankhon Ne Naizon Pe Shaheedon Ko
Aur Shaam-e-Ghareeban Mein Jalte Hue Khaimon Ko
Na Bhoolunga Main, Chhini Chadarein
Jali Masnadein, Mere Saamne
Haan Main Rounga
Amma Fizza Main Rounga, Main Rounga (×2)

Dekha Hai In Aankhon Ne Kaunain Ki Shehzadi
Jis Waqt Bani Qaidi, Ghazi Ko Bulati Thi
Na Bhoolunga Main, Haram Ka Safar
Chale Nange Sar, Rasan Pehen Kar
Haan Main Rounga
Amma Fizza Main Rounga, Main Rounga (×2)

Dekha Hai In Aankhon Ne Kaanton Pe Safar Karna
Un Shaam Ki Galiyon Mein Ek Qaidi Ka Khoon Rona
Na Bhoolunga Main, Saje Baam-o-Dar
Har Ek Gaam Par, Woh Naizon Pe Sar
Haan Main Rounga
Amma Fizza Main Rounga, Main Rounga (×2)

Dekha Hai In Aankhon Ne Us Waqt Aseeri Mein
Shabbir Ki Dukhtar Ko Jab Maanga Kaneezi Mein
Na Bhoolunga Main, Haram Ro Diye
Sabhi Karb Se Tadapne Lage
Haan Main Rounga
Amma Fizza Main Rounga, Main Rounga (×2)

Dekha Hai In Aankhon Ne Zindaan Ka Woh Manzar
Laasha Tha Sakina Ka Beemar Ke Haathon Par
Na Bhoolunga Main, Phuphi Ki Qaza
Kafan Ban Gaya, Woh Kurta Jala
Haan Main Rounga
Amma Fizza Main Rounga, Main Rounga (×2)

Dekha Hai In Aankhon Ne Zindaan Se Riha Ho Ke
Woh Ujde Hue Qaidi Jab Karbobala Pahunche
Na Bhoolunga Main, Ke Dadi Meri
Yeh Kehne Lagi, Behen Aa Gayi
Haan Main Rounga
Amma Fizza Main Rounga, Main Rounga (×2)

Dekha Hai In Aankhon Ne Irfan-e-Aza Ban Kar
Dekho Mere Chehre Ko Har Gham Ka Hai Yeh Mazhar
Na Bhoolunga Main, Kabhi Karbala
Woh Qaid-e-Jafa, Dayar-e-Saza
Haan Main Rounga
Amma Fizza Main Rounga, Main Rounga (×2)

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Year
2014
Personalities
Imam Baqir, Imam Hussain, Imam Zainul Abidin
Occasion
Muharram, Ashura
Original language
Urdu
Album
Majura Ya Zahra Majura Ya Haideri 2014 - 15

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.