Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Ay Mere Jawan Akbar

Irfan Haider

2005Urdu
2005UrduAli AkbarMuharram
Ay Mere Jawan Akbar is an Urdu noha recited by Irfan Haider, reflecting on a mother's lament over the martyrdom of Ali Akbar. Read the Roman Urdu text, Urdu script and English meaning.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Noha
Year
2005
Occasion
Muharram
Original
Urdu
Album
Bibi Zehra Yeh Dua Hai

Lyrics

Ay Mere Jawan Akbar Lyrics

WA
Now Playing
AZADARIVERSE · LISTEN & READ

Ay Mere Jawan Akbar

Ay Mere Jawan Akbar

Irfan Haider

YouTube loads when you open Listen.

Ay Mere Jawan Akbar

Irfan Haider

LYRICS

No verified timing yet · read alongside the video

Noha kare maa laash-e-Akbar par
Aray tum qatl hue beta, jeeti rahi maadar
Aye mere jawan Akbar (×2)
Veeran hua beta tere baad mera ghar
Aye mere jawan Akbar (×2)

Kya tujhko teri maa ne is din ke liye paala
Is maa ko zaeefi mein kyun chhod gaye beta

Aye mere jawan Akbar (×2)

Maa roti hai laash pe tere aaj khule sar

Aye mere jawan Akbar (×2)

Kehti thi phuphi Zainab, jab byaah rachaaungi
Akbar, teri dulhan ki poshaak banaaungi

Aye mere jawan Akbar (×2)

Afsos kafan bhi na tujhe aaya mayassar

Aye mere jawan Akbar (×2)

Beemaar behen Sughra takti hai tera rasta
Pardes mein tum aa kar kyun bhool gaye waada

Aye mere jawan Akbar (×2)

Itna bhi nahin socha ke mar jaayegi khwahar

Aye mere jawan Akbar (×2)

Hamshakl-e-Nabi tumko kehta tha jahaan saara
Zainab tere laashe par karti hai yehi noha

Aye mere jawan Akbar (×2)

Nana ki ziyaarat ko taras jaaungi dilbar

Aye mere jawan Akbar (×2)

Har dil ne kiya noha, har aankh hui purnam
Kohraam hai khaimon mein, Jannat mein bapa maatam

Aye mere jawan Akbar (×2)

Aur khaak udaate hain yehi kehke Payambar

Aye mere jawan Akbar (×2)

Phuphiyaan bhi tadapti hain, hamsheer bhi, maadar bhi
Dada bhi tere roye, Shabbir bhi, Shabbar bhi

Aye mere jawan Akbar (×2)

Sadaat ke khaimon mein qayaamat ka hai manzar

Aye mere jawan Akbar (×2)

Jab koi jawan laash nazar aayegi beta
Maa yaad tujhe karke tadap jaayegi beta

Aye mere jawan Akbar (×2)

Ek roz teri yaad mein mar jaayegi maadar

Aye mere jawan Akbar (×2)

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Year
2005
Personalities
Ali Akbar, Imam Hussain, Sayyida Zainab, Bibi Sughra, Prophet Muhammad, Imam Hasan
Occasion
Muharram
Original language
Urdu
Album
Bibi Zehra Yeh Dua Hai

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.