Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Aye Baba Hussaina

Irfan Haider

2017Urdu
2017UrduImam HussainMuharram
Aye Baba Hussaina is an Urdu noha recited by Irfan Haider, portraying Bibi Sakina's search for Imam Hussain on the night of Shaam-e-Ghareeban. The verses describe her thirst, the loss of her father, the burning tents and her longing to rest upon his chest again. Read the Roman Urdu lyrics, Urdu script and English translation on AzadariVerse.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Noha
Year
2017
Personalities
Imam Hussain
Occasion
Muharram, Ashura, Shaam-e-Ghareeban
Original
Urdu

Lyrics

Aye Baba Hussaina Lyrics

WA
Now Playing
AZADARIVERSE · LISTEN & READ

Aye Baba Hussaina

Aye Baba Hussaina

Irfan Haider

YouTube loads when you open Listen.

Aye Baba Hussaina

Irfan Haider

LYRICS

No verified timing yet · read alongside the video

Shaam-e-Ghareeban (×2)
Ae Shaam-e-Ghareeban

Jab Shaam-e-Ghareeban Mein Yaad-e-Padar Aayi
Aur Ghabra Ke Sakina Sar-e-Maqtal Chali Aayi
Daaman Tha Jala Aur Labon Par Tha Yeh Noha
Ae Baba Hussaina (×2)

Ayna Ayna Ae Baba Hussaina (×2)
Roti Hai Sakina, Pyasi Hai Sakina
Ayna Ayna Ae Baba Hussaina

Hain Aap Jahan Baba, Mujh Ko Bula Lijiye
Ek Baar Mujhe Apne Seene Pe Sula Lijiye
Bin Aap Ke Duniya Mein Bekaar Hai Yeh Jeena
Ayna Ayna Ae Baba Hussaina (×2)
Roti Hai Sakina, Pyasi Hai Sakina
Ayna Ayna Ae Baba Hussaina

Hain Kaan Mere Zakhmi, Aur Khoon Bhi Hai Jaari
Khaimon Ki, Ridaon Ki, Karti Hoon Azadari
Kuch Der Sukoon Paoon, Mil Jao Agar Baba
Ayna Ayna Ae Baba Hussaina (×2)
Roti Hai Sakina, Pyasi Hai Sakina
Ayna Ayna Ae Baba Hussaina

Kis Samt Tumhein Dhoondhoon, Maqtal Mein Bhatakti Hoon
Baba Ki Samajh Kar Main Har Laash Pe Girti Hoon
Imdaad Karo Meri, Batlao Mujhe Rasta
Ayna Ayna Ae Baba Hussaina (×2)
Roti Hai Sakina, Pyasi Hai Sakina
Ayna Ayna Ae Baba Hussaina

Kuch Der Lipat Kar Main Bas Aap Ke Laashe Se
Woh Dard Sunaungi Baad Aap Ke Jo Paaye
Har Baat Bataoon Main, Mil Jaaye Agar Laasha
Ayna Ayna Ae Baba Hussaina (×2)
Roti Hai Sakina, Pyasi Hai Sakina
Ayna Ayna Ae Baba Hussaina

Is Dasht Mein Roti Hoon, Sab Chahne Walon Ko
Har Samt Andhera Hai, Tarsi Hoon Ujalon Ko
Baad Aap Ke Ae Baba, Tareek Hai Yeh Duniya
Ayna Ayna Ae Baba Hussaina (×2)
Roti Hai Sakina, Pyasi Hai Sakina
Ayna Ayna Ae Baba Hussaina

Shabbir Ke Nauhe Se Phir Goonj Utha Sehra
Ho Tere Masaib Par Qurban Tera Baba
Ek Teer Laga Dil Par Sun Kar Yeh Tera Girya
Ayna Ayna Ae Baba Hussaina (×2)
Roti Hai Sakina, Pyasi Hai Sakina
Ayna Ayna Ae Baba Hussaina

Irfan Bhi Rota Hai, Is Baat Pe Mazhar Bhi
Roti Thi Sakina Bhi, Aur Laasha-e-Sarwar Bhi
Aawaz-e-Padar Sun Kar Us Samt Chali Dukhiya
Ayna Ayna Ae Baba Hussaina (×2)
Roti Hai Sakina, Pyasi Hai Sakina
Ayna Ayna Ae Baba Hussaina

Ae Baba Hussaina (×2)

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Year
2017
Personalities
Imam Hussain
Occasion
Muharram, Ashura, Shaam-e-Ghareeban
Original language
Urdu

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.