Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Baab E Hussain Alamdaar

Irfan Haider

2016Urdu
2016UrduImam HussainMuharram
Baab E Hussain Alamdaar is a 2016 noha recited by Irfan Haider, honouring Hazrat Abbas as Bab-e-Hussain, the gate of Imam Hussain. It celebrates his generosity, his Alam and his association with Azadari, including the remembrance of Karbala, mourning gatherings and the eighth of Muharram.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Noha
Year
2016
Personalities
Imam Hussain
Occasion
Muharram, Ashura
Original
Urdu
Album
Karbala Mojizah Hai, Vol. 25

Lyrics

Baab E Hussain Alamdaar Lyrics

WA
Now Playing
AZADARIVERSE · LISTEN & READ

Baab E Hussain Alamdaar

Baab E Hussain Alamdaar

Irfan Haider

YouTube loads when you open Listen.

Baab E Hussain Alamdaar

Irfan Haider

LYRICS

No verified timing yet · read alongside the video

Abbas Abal-Fazl (×4)
Ya Sayyidi Ya Abbas
Ya Sayyidi Ya Abbas
Ya Sayyidi Ya Abbas
Ya Sayyidi Ya Abbas
Ya Sayyidi Ya Abbas (×4)

Kuch Aise Saleeqe Se Ata Karta Hai Ghazi
Duniya Yeh Samajhti Hai Khuda Baant Raha Hai
Teri Hifazat Mein Rahein Saare Azadar, Wallah
Baab-e-Hussain Alamdaar (×4)

Hum Rahein Ya Na Rahein Dard Ki Tasveer Rahe
Matam-e-Shabbir Rahe
Wallah...
Kya Hai Qaza, Baqa, Fana, Hawa
Bas Yeh Diya Jalta Rahe
Har Areeze Pe Likha Tera Naam
Zikr-e-Shabbir Karein Subh-o-Shaam
Hai Azadaron Ka Bas Yehi Kaam
Baab-e-Hussain Alamdaar (×4)

Ae Wafadar Dil-e-Madar-e-Shabbir Ke Chain
Tera Laqab Baab-e-Hussain
Wallah...
Tujh Ko Parha, Likha, Suna, Kaha
Khwab-e-Ali Khwab-e-Hussain
Tu Ata Karta Hai Ab Ata Kar
Mausam-e-Gham Ki Fiza Ata Kar
Har Jagah Farsh-e-Aza Ata Kar
Baab-e-Hussain Alamdaar (×4)

Jo Hai Saughat-e-Aza Zinda Rahe Ta-Abad
Chahiye Bas Itni Madad
Wallah...
Tera Haram, Karam, Hasham, Alam
Hai Tere Hone Ki Sanad
Tu Sakhi Ibn-e-Sakhi Wafadar
Aa Gaye Dar Pe Tere Gunahgar
Sani-e-Sher-e-Khuda Madadgar
Baab-e-Hussain Alamdaar (×4)

Jhoola, Taboot, Alam Aur Yeh Paani Ki Sabeel
Dete Hain Hum Ko Yeh Daleel
Wallah...
Donon Jahan, Jinan, Yahan, Wahan
Tu Hai Gham-e-Sheh Ka Wakeel
Jab Jahan Dekhein Alam Kahein Hum
Duniya Ho Jaye Fana Rahe Gham
Matam-e-Sheh Ki Sada Na Ho Kam
Baab-e-Hussain Alamdaar (×4)

Le Ke Haathon Pe Alam Aag Pe Hum Chalte Rahe
Aur Dua Karte Rahe
Wallah...
Zakhm-e-Aza, Qama, Buka, Wafa
Ahl-e-Aza Karte Rahe
Ho Yeh Zanjeer-Zani Hamdam
Aur Rahe Khooni Qaba Yehi Hum
Yaani Aabad Rahe Tera Gham
Baab-e-Hussain Alamdaar (×4)

Rasm-e-Saqqayi Ada Aath Muharram Ko Karein
Haziri Hum Karte Rahein
Wallah...
Ban Ke Faqeer, Ameer, Wazir, Aseer
Ja Ke Tere Dar Pe Kahein
Tu Duaon Ko Asar Ata Kar
Khali Godi Ko Pisar Ata Kar
Rizq, Aulaad, Hunar Ata Kar
Baab-e-Hussain Alamdaar (×4)

Keh Ke Jo Baab-e-Hussain Maange Dua Hogi Qubool
Kehta Hai Yeh Ibn-e-Rasool
Wallah...
Tera Akhi, Wali, Wasi, Sakhi
Yeh Hai Dil-o-Jaan-e-Batool
Yeh Wazifa Ho Tere Labon Par
Teri Sun Lenge Dua Payambar
Wird Yeh Shaam-o-Sahar Kiya Kar
Baab-e-Hussain Alamdaar (×4)

Zindagi Bhar Yehi Mazhar-o-Irfan Dua
Zinda Rahein Ahl-e-Aza
Wallah...
Noha, Aza, Fughan, Quran, Bayan
Jaari Rahe Yeh Silsila
Yeh Kahein Ahl-e-Sukhan Meri Jaan
Soz-Khwan, Ahl-e-Qalam, Noha-Khwan
Tu Azadaron Ka Hai Qadardan
Baab-e-Hussain Alamdaar (×4)

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Year
2016
Personalities
Imam Hussain
Occasion
Muharram, Ashura
Original language
Urdu
Album
Karbala Mojizah Hai, Vol. 25

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.