Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Bhaiyya Sajjad

Irfan Haider

2015Urdu
2015UrduImam HussainMuharram
Bhaiyya Sajjad is a 2015 Urdu noha recited by Irfan Haider. It presents Ali Akbar's final message to his brother Imam Zainul Abidin for their sister Fatima Sughra, explaining why he could not return home. The verses recount the sacrifices at Karbala and Ali Akbar's duty towards Imam Hussain.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Noha
Year
2015
Occasion
Muharram, Ashura
Original
Urdu
Album
Allah Bake Min Kule Fanee, Vol. 24

Lyrics

Bhaiyya Sajjad Lyrics

WA
Now Playing
AZADARIVERSE · LISTEN & READ

Bhaiyya Sajjad

Bhaiyya Sajjad

Irfan Haider

YouTube loads when you open Listen.

Bhaiyya Sajjad

Irfan Haider

LYRICS

No verified timing yet · read alongside the video

Haaye...

Rukhsat Se Kuch Der Pehle Akbar Ko Yaad Aayi Sughra
Kehne Lage Ro Ke Akbar Sajjad Ke Paas Ja Kar
Sun Lo Wasiyat Baradar (×2)

Bhaiyya Sajjad (×3)
Sughra Se Ja Ke Kehna (×2)

Main Aane Wala Tha Sughra (×2)
Ke Nainawa Mein Nikal Aaya Aaftab-e-Daham
Qareeb Aa Ke Rafeeqon Se Bole Shah-e-Umam
Yahin Mazar Banenge (×2)
Yahin Pe Soyenge Hum
Ghareeb-e-Zahra Ko Ghere Hue Hain Ahl-e-Sitam
Sughra Se Ja Ke Kehna
Main Is Liye Na Aaya
Bhaiyya Sajjad (×2)
Sughra Se Ja Ke Kehna (×2)

Main Aane Wala Tha Sughra (×2)
Ke De Diya Mere Baba Ne Mujh Ko Hukm-e-Azaan
Udhar Musalle Pe Mahv-e-Dua Phuphi Aur Maa
Kamar Hussain Ki Sadmon (×2)
Se Ho Chuki Thi Kamaan
Zara Si Der Mein Laashon Se Saj Gaya Maidan
Sughra Se Ja Ke Kehna

Main Aane Wala Tha Sughra (×2)
Ke Yak-Ba-Yak Meri Aankhon Ne Dekha Yeh Manzar
Chale Furaat Ki Janib Phuphi Ke Lakht-e-Jigar
Chacha Ke Paas Khari Hai (×2)
Sakina Tashna-Jigar
Kamar Mein Patka Sajaye Hai Qasim-e-Muztar
Sughra Se Ja Ke Kehna

Main Aane Wala Tha Sughra (×2)
Ke Maine Dekha Shah-e-Karbala Hai Mahv-e-Buka
Sabab Jo Rone Ka Poochha To Bole Wawaila
Hussain Zulm Ke Jangal (×2)
Mein Reh Gaya Tanha
Main Lut Gaya Mera Ghazi Diler Maara Gaya
Sughra Se Ja Ke Kehna

Main Aane Wala Tha Sughra (×2)
Ke Mujh Se Baba Ne Aa Kar Kaha Ae Noor-e-Nazar
Akhi Ki Laash Uthani Hai Tum Chalo Le Kar
Chacha Ke Baad Hi Chalna (×2)
Hussain Par Khanjar
Main Aise Waqt Mein Aata Watan Agar Khwahar
Sughra Se Ja Ke Kehna

Main Aane Wala Tha Sughra (×2)
Ke Baad-e-Qatl-e-Alamdar-e-Karbala Dekha
Ghira Hai Zulm Ke Narghe Mein Ibn-e-Sher-e-Khuda
Tu Hi Bata Ke Nibhata (×2)
Main Kis Tarah Wada
Udhar Behen Ki Mohabbat Idhar Tha Farz Mera
Sughra Se Ja Ke Kehna

Main Aane Wala Tha Sughra (×2)
Ke Mujh Se Dard Ke Irfan Ne Kaha Akbar
Jafa Ke Dasht Mein Tu Hai Rasool Ka Mazhar
Tere Baghair Adhoora (×2)
Hai Nama-e-Mehzar
Hussain Tera Bhi Laasha Uthayenge Ro Kar
Sughra Se Ja Ke Kehna
Main Is Liye Na Aaya
Bhaiyya Sajjad (×2)
Sughra Se Ja Ke Kehna

Main Aane Wala Tha Sughra...

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Year
2015
Personalities
Imam Hussain, Imam Zainul Abidin
Occasion
Muharram, Ashura
Original language
Urdu
Album
Allah Bake Min Kule Fanee, Vol. 24

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.