Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Bibi Masooma E Qum

Irfan Haider

2016Urdu
2016UrduImam Musa KazimShahadat Imam Musa Kazim
Bibi Masooma E Qum is a 2016 Urdu noha recited by Irfan Haider. It portrays the grief of Bibi Fatima Masooma, the daughter of Imam Musa al-Kazim, during her father's imprisonment. The refrain asks whether her beloved father will return by Eid, expressing the anguish of separation, captivity and longing.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Noha
Year
2016
Personalities
Imam Musa Kazim
Occasion
Shahadat Imam Musa Kazim
Original
Urdu
Album
Karbala Mojizah Hai, Vol. 25

Lyrics

Bibi Masooma E Qum Lyrics

WA
Now Playing
AZADARIVERSE · LISTEN & READ

Bibi Masooma E Qum

Bibi Masooma E Qum

Irfan Haider

YouTube loads when you open Listen.

Bibi Masooma E Qum

Irfan Haider

LYRICS

No verified timing yet · read alongside the video

Ek Bachchi Jo Thi Musa-e-Kazim Ke Dil Ka Chain
Har Eid Pe Karti Thi Musalle Pe Ja Ke Bain

Karti Hai Rab Se Dua Ae Shah-e-Uqda-Kusha, Haaye Baba Jaan
Ab Ke Baras Eid Pe Aaiye Bahr-e-Khuda
Baap Kabhi Beti Se Hote Nahi Yun Juda (×2)
Bibi Masooma-e-Qum Ka Tha Yeh Noha
Kya Ab Ke Baras Aaoge Baba?

Chaudah Baras Aap Ke Qaid-e-Sitam Mein Kate, Haaye Baba Jaan
Qaid Bhi Aisi Jahan Aap Rukoo Mein Rahe
Aur Yahan Mere Lab Mail-e-Faryad The (×2)
Main Yahan Aap Wahan Karte Hain Noha
Kya Ab Ke Baras Aaoge Baba?

Logon Se Maine Suna Aisi Hai Qaid-e-Jafa, Haaye Baba Jaan
Ghairon Ki Zanjeer Bhi Parhti Rahe Marsiya
Waqt Ki Zanjeer Ne Qaid Mujhe Bhi Kiya (×2)
Maine Paigham Hawaon Se Yeh Bheja
Kya Ab Ke Baras Aaoge Baba?

Qaid Ki Tareekiyan, Qaid Ki Tanhaiyan, Haaye Baba Jaan
Meri Tarah Raat Din Karti Hain Tum Par Fughan
Donon Hain Zindan Mein, Aap Wahan Main Yahan (×2)
Yeh Batao Ke Mujhe Dene Dilasa
Kya Ab Ke Baras Aaoge Baba?

Uth Gaya Tera Padar Maine Suni Jab Khabar, Haaye Baba Jaan
Tooti Umeedein Meri Qalb Hua Nohagar
Koh-e-Sitam Gir Para Dukhtar-e-Mazloom Par (×2)
Reh Gaya Phir Bhi Fazaon Mein Yeh Noha
Kya Ab Ke Baras Aaoge Baba?

Tang Hai Mujh Par Zameen Zabt Ka Yara Nahi, Haaye Baba Jaan
Aur Yeh Furqat Ka Gham Aur Yeh Qalb-e-Hazeen
Aap Nahi Aayenge Kya Main Yeh Kar Loon Yaqeen (×2)
Noha Din Raat Yehi Karti Hoon Baba
Kya Ab Ke Baras Aaoge Baba?

Zakhmi Kaleja Mera Karta Rahega Buka, Haaye Baba Jaan
Ab To Chale Aaiye Aa Gayi Sar Par Qaza
Zeb-e-Musalla Hoon Main Sun Lo Meri Iltija (×2)
Baba Bin Aap Ke Bekaar Hai Jeena
Kya Ab Ke Baras Aaoge Baba?

Bibi Ka Yeh Marsiya Mazhar-o-Irfan Ka
Gham Yeh Kisi Beti Ko Ab Na Dikhaye Khuda
Maine Sahe Hain Jo Gham Jaanta Hai Dil Mera (×2)
Ek Misra Hai Masaib Ka Sahifa
Kya Ab Ke Baras Aaoge Baba?

Bibi Masooma-e-Qum Ka Tha Yeh Noha
Kya Ab Ke Baras Aaoge Baba? (×3)

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Year
2016
Personalities
Imam Musa Kazim
Occasion
Shahadat Imam Musa Kazim
Original language
Urdu
Album
Karbala Mojizah Hai, Vol. 25

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.