Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Bibi Zehra Yeh Dua Hai

Irfan Haider

2005Urdu
2005UrduSayyida Fatima ZahraMuharram
Bibi Zehra Yeh Dua Hai is an Urdu noha recited by Irfan Haider, reflecting on a mourning assembly's prayer to Bibi Fatima Zahra for protection and blessings. Read the Roman Urdu text, Urdu script and English meaning.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Noha
Year
2005
Occasion
Muharram
Original
Urdu
Album
Bibi Zehra Yeh Dua Hai

Lyrics

Bibi Zehra Yeh Dua Hai Lyrics

WA
Now Playing
AZADARIVERSE · LISTEN & READ

Bibi Zehra Yeh Dua Hai

Bibi Zehra Yeh Dua Hai

Irfan Haider

YouTube loads when you open Listen.

Bibi Zehra Yeh Dua Hai

Irfan Haider

LYRICS

No verified timing yet · read alongside the video

Ya Fatima, Umm-e-Abiha
Bint-e-Payambar, Khair-un-Nisa
Ya Zehra, Ya Zehra
Tu hai Siddiqa, tu Tahira aur
Tu hi shafi-e-roz-e-jaza
Aye meri Bibi, waqt-e-madad hai
Har maatami ke dil ki sada hai

Bibi Zehra yeh dua hai (×2)
Aap ke darbaar mein, Bibi Zehra yeh dua hai

Dast-e-dua ko jab bhi uthaaya
Maanga hai teri chaadar ka saaya
Ya Zehra (×2)
Waqt-e-musibat mein har Hussaini
Bas naam tera honton pe laaya
Aye meri Bibi, tang-dast hoon main
Yeh kehke daaman phaila diya hai

Bibi Zehra yeh dua hai (×2)
Aap ke darbaar mein, Bibi Zehra yeh dua hai

Woh Bibi jis ki hai god khaali
Chaukhat pe teri hai woh sawaali
Ya Zehra (×2)
Mujhko bhi de de Asghar ka sadqa
Maine tere dar se lau laga li
Aye meri Bibi, jin godiyon mein
Aulaad hai, woh teri ataa hai

Bibi Zehra yeh dua hai (×2)
Aap ke darbaar mein, Bibi Zehra yeh dua hai

Jo maaen, behnein be-aasra hon
Farsh-e-aza par mahw-e-buka hon
Ya Zehra (×2)
Tu unke pardon ki laaj rakhiyo
Jo teri Zainab ki zaakira hon
Aye meri Bibi, zinda rahe woh
Bhai jo behnon ka aasra hai

Bibi Zehra yeh dua hai (×2)
Aap ke darbaar mein, Bibi Zehra yeh dua hai

Jo tifl ro kar padhte hain noha
Har aathvin ko bante hain saqqa
Ya Zehra (×2)
Har roshni ki hai yeh zamaanat
Yeh hai charaagh-e-bazm-e-aza
Aye meri Bibi, bujhne na paaye
Aun-o-Muhammad ka waasta hai

Bibi Zehra yeh dua hai (×2)
Aap ke darbaar mein, Bibi Zehra yeh dua hai

Jo apne beton ka bhool kar gham
Karti ho tere Akbar ka maatam
Ya Zehra (×2)
Un maaon ko tu de sabr, Bibi
Woh phir na dekhein aulaad ka gham
Aye meri Bibi, us maa ko koi
Gham na ho jis ko yeh gham mila hai

Bibi Zehra yeh dua hai (×2)
Aap ke darbaar mein, Bibi Zehra yeh dua hai

Hai yaad ab tak pur-dard manzar
Pyaase ki gardan, zaalim ka khanjar
Ya Zehra (×2)
Hum tere pyaase bete ka sadqa
Yun maangte hain farsh-e-aza par
Aye meri Bibi, aabaad rakhna
Woh ghar ke jis mein farsh-e-aza hai

Bibi Zehra yeh dua hai (×2)
Aap ke darbaar mein, Bibi Zehra yeh dua hai

Shabbir ki woh mazloom dukhtar
Zindaan se jo na jaa saki ghar
Ya Zehra (×2)
Sadqe mein uske hum par karam kar
Be-jurm qaidi kehte hain ro kar
Aye meri Bibi, ab yeh aseeri
Ho khatm Abid ka waasta hai

Bibi Zehra yeh dua hai (×2)
Aap ke darbaar mein, Bibi Zehra yeh dua hai

Irfan-o-Mazhar yeh chaahte hain
Mil jaaye humko bas yeh sa'aadat
Ya Zehra (×2)
Jo aakhri hai hujjat Khuda ki
Ho jaaye humko uski ziyaarat
Aye meri Bibi, yeh baat woh hai
Jo har Hussaini ki iltijaa hai

Bibi Zehra yeh dua hai (×2)
Aap ke darbaar mein, Bibi Zehra yeh dua hai

Aap ke darbaar mein, kar qubool uftaad

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Year
2005
Personalities
Sayyida Fatima Zahra, Imam Hussain, Ali Asghar, Ali Akbar, Sayyida Zainab, Bibi Sakina, Imam Zainul Abidin, Imam Mahdi
Occasion
Muharram
Original language
Urdu
Album
Bibi Zehra Yeh Dua Hai

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.